Saturday 28 November 2015

betiya kya nakusha (anchahi) hai- ek laikh

'Abhi haal hi mein maine ek lekh pada ki Maharashtra mein kuch sangthano ke sahyog se jin ladkiyo ko 'nakusha' bulaya jata tha ya mata-pita evam pariwar ne unhe ye naam diya tha unka naam pariwartan kiya ja raha hai aur kayi ladkiyo ka ho bhi gaya hai aur waha isse khush bhi hai,

'Nakusha' arthaat anchahi, Jo beti anchahi hoti hai usse is naam se pukara jata hai, par sawal ye hai betiya to anchahi hi hoti hai, jitni prathna beto ke janm ke liye log karte hai, unke liye vrat upwas unki lambi aayu ke liye karte hai beti ke liye koi nahi karta, sach to ye hai khud ko aadhunik kahne wale Bharat bane India ki soch wahi rudiwadi aur pichhdi hai, aurat ko doyam darza dena aur usse maatra bachha janne, ghrah karya wali naukrani, pati ki khaas dasi ke atirikt kuch aur nahi samjha jata,

Hal hi mein Taslima Nasrin Ji unka parichay dene ki jarurat mujhe nahi hai unke vichar pade, wo kahti nariwadi hote huye bhi wo beti ko janm nahi dena chahti, wo nahi chahti unki beti ke saath chhed-chhad, balatkar, dahej pradna jaiai ghatnaye ho, bhale usse gharbh mein maar diya jaye aur ye aurat ka hak hai kise WO janm de aur kise nahi, WO kahti hai is prakar ki ghatnao ke karan ladkiya 'nakusha' hain,

Par sawal ye uthta hai unhe janm na dena ek behtar vikalp hai, pahle mujhe bhi lagta tha bhed bhaw wale jivan se maut bhali, par kewal ladki kyon iski Bali chade, ek ladki/mahila ke saath durachar karne wala purush hai to dand usse mile,kyon beto ke janm par utsav sa mahol aur beti ke janm par gamgeen, aakhir jab beti ye soch ke anchahi ki uske saath kuch galat na ho jaye ya bhari dahej ka bojh sarr mad gaya, to beta janne par kyon nahi sochte ek aur balatkari aur dahej lobhi as gaya,

Samasya ka hal kisi bhi bhed bhaaw aur janm na dene ke faisle se nahi niklega, aur na hi pradhan mantri ke 'selfi with daughter' abhiyan se, samasya ka hal betiyo ko kanooni WO bhi sakhtai se betiyo ko petrak sampatti mein hak, shiksha mein barabari ka hak, career banane mein poorn adhikar, iske saath ek aur kanoon Jo mere bachpan se hi zahan mein raha hai, aur Maine bhi bhed-bhaaw ke dansh ko saha hai, wo ye ki bhed bhaaw karne wale mata-pita ke khilaaf kanooni karwahi, kam se kam 2 saal ki saza aur nagad zurmana, jisse sakhti se lagu kiya jaye, yadi aisa ho to kisi ladki ka naam na to 'nakusha' hoga aur na badna padega. Iske saath hi Jo unke saath kaisa bhi durvyavhar kare sakht karyawahi ho, tab shayad is desh mein nari hi sadiyo purani 'nakusha' sthiti mein sudhar ho..'



No comments:

Post a Comment