Tuesday 17 November 2015

ek lekh-shoshankari tyohaar

Mere mann mein bahut baar ye baat uthti hai ki hamare samaj mein jitne bhi tyohar hai lagbhag kaafi saare purush pradhan hai aur jinhe streeya bade hi chaaw se manati hai, yaha in tyoharo ka naam le kar unki manyta ko thess pahuchane ka uddeshya mera nahi hai par hint kaafi hoga batane ke liye,

Jane kab se mahilaye pursho ke liye kabhi patni ban vrat upwaas rakhti taki unki umar lambi ho aur WO jeete Ji suhagin rahe, kabhi bhai ke liye bhooki pyaasi rah puja karti hai taaki bhai ki aayu lambi ho aur WO uski raksha kare to kabhi putra ke liye mahilaye vrat upwas karti hai taaki unki aayu lambi ho,

Jaane kisne ye parampra banayi aur kabse mahilaaye isse manati as rahi hai WO bhi khushi khushi, par sawal ye hai mahilao ke liye koi tyohar kyu nahi bana aaj tak ya hua aaj tak, Jo aalochak hai mere vichaaro ke WO kahenge aakhir navtatri hai na mahilao ke liye par usme chhoti bschhiyo ka pujan apne swaarth sidhhi hetu log karte hai na unki lambi aayu aadi ke liye saath hi ek ms ek bahan ek patni ki lambi aayu aadi ke liye purush dwara koi anushthan wala koi tyohar nahi hai,

Agar dekha jaaye to iske peeche sadiyo pahle ki purush pradhan soch aur un par nirbharta rahi hai, jise dharm aur aastha ka naam le kar streeyo ko moorkh bana tyohar ya utsav ka roop de diya gaya, aur vidambna dekhiye aaj ki aadhunik aur padi likhi mahilaaye bhi is shoshankari riwazon ko khushi khushi aage bada ek nayi dabi kuchli peedi taiyaar kar rahi hai, aur is prakar ye sadiyo purani parsmpara aage bad rahi hai,

Par Jo bhi ho, bhale aaj ki naari har kaarya mein shashakt ho par in riwazo dwara wo nari ko 21vi sadi mein bhi peeche thakel rahi hai, mujhe lagta hai ab in tyoharo ka purana uddeshya tyaag kewal ek saath khushi manane ka uddeshya yaad rakhna chahiye tabhi shayad nari jaati ka paaramparik shoshan kam ho sakega aur samaj ko naya sandesh milega kyu ki is rudiwadi samaj se shoshankari tyohar to ruk nahi sakte, kam se kam shoshankari tatva kam ho sake ..


No comments:

Post a Comment