
Antriksh yaani ki space prarambh se maanav charcha ka vishary raha hai,
kahte hai jabse maanav ki utpatti hui aur usme sochne samjhane ki
shakti aayi tab se hi uske mann mein antriskh ko le kar kaafi saari
baatein uthne lagi, kabhi maanav sochta tha ki agar ye vishaal aakash
agar dharti par gir gaya to dharti nashat ho jaaygi, kabhi wo sochta ki
iss vishaal aasman k peeche kya hai, wo sochta ki aasman mein ye
taare, sooraj, chaand bina kisi sahare k kaise ruke huye hain, iss
tarah k aneko sawal uske mann mein uthte,
samay k saath inn sawalon k
atirikt ek aur sawal uske mann mein uthne lage wo ye ki dharti jaisee
duniya iss vishaal antriksh mein kahi hai, jaise jaise maanav tarakki
karta gaya iske saath wo apne sawalon k jawab khojne mein jut gaya, par
jitna hi wo antriskh k vishya mein uske mann k sawalon k jawab
dhoondta utnaa hi wo ulajhta jata, iss vishaal aasman aur anant
antriksh k vishay mein maanav ne kai krantikaari khoj ki lekin fir bhi
wo abhi tak unn sawalon k jawaab dhoondne mein asmarth hai jo maanav k
vikaas ki avastha mein uske dil mein uthte the,
kya Prathavi k atirikt kahi
aur bhi jeevan hai, kya doosri duniya hai, kya sachmuch waha pe jeevan
hai, kya sachmuch waha pe log rahte hai, kya wo prathvi vaashiyon se
jyada viksit hain, unhone abhi tak dharti par aakraman kyon nahi kiya,
kya wo shaantipriya hain ya unhe abhi tak prathvi k vishaya mein
jaankari hai nahi hai, kya hai ye udan tastraiya, kya ye doosre grah se
aaye huye praniyon k waahan hai, kya wo iske jariye hum par humesha
nazar rakhte hai, aakhir kyon wo abhi tak humare saamne nhi aaye, iss
vishaal anriksh ka aadi aur ant kya hai, aakhir kaise iss samanst
shristi ki utpatti huiii, kya ek din aisa bhi aayga ki samast
brahmand nasht ho jaayga aur fir se ek naye brahmand ki utpatti hogi,
aise na jaane kitne sawal hai antriksh k vishay mein maanav k dil mein,
wo khud ko aaj chahe jitna bhi vikshit kahe, khud ko kitna bhi gyaani
kahe par usse brahmand k vishay mein uske ghyaan abhi tak naganya hai,
wo jitna uske vishya mein jaanne ki cheshta karta hai aur daawa karta
hai ki usne antriksh k vishya mein falaa baat jaan li hai agle hi pal
usse lagta hai ki wo galat tha, iss tarah jaane kitne hi bhool bhuleya
aur sawalon se bana hai ye humara antrish,
yadi agar hume wakai mein
brahmand k vishaya mein kuch jaanna hai to isse aadhunik taknikon k
alawa sirf aadhyatmik gyaan k dwara hi jana ja sakta hai, sunne mein ye
baat kuch atpati se lagegi aur humare jo jane maane aadarniye
vegyaanik mahoday halaki isse ittifaak nahi rakhenge par yadi sachh
mein hume apni aakash ganga avam apne samanst bhrahmand k vishya mein
sahi jaankari haasil karni hai wo hume vegyaanik vidhiyon k atirikt
aadhyatm ka sahara lena hi padega, humare dharmik granthon mein likha
gaya hai ki jitna hum shrashti k vishya mein jaanne ki koshish karenge
utnaa hi hum ulajthe jaaynge, ye ek pahlei ki tarah hai jisse kewal
aadhyaatm k dwaara hi suljhya ja sakta hai,
humare dharmik granthon mein samasht shrashti k avishkaar se le kar
patan k vishya mein likha gaya hai, hum yadi apne adhoore ghyaan ka
guroor chhod kar vibhinn granthon mein likhe huye vachano pe chal kar
aadhunik taknik ka sahare le avam aur bhi jyada aadhunik taknik ka yadi
avishkaar kare to kuch had tak hum apne saur mandal k vishaya mein sahi
jaankari haasil kar sakte hain, haan kuch aalochak ye jaroor mujhse
kahenge ki jab wo granth likhe gaye the tab to maanav apni shuruaati
avastha mein tha, bhala unn granthon mein jo likha hai usse satya kaise
maana ja sakta hai, koi saboot nahi hai jo usme likha hai wo sataya
ho,wo pramanik nahi hai, aur jo pramanik nahi hai vigyaan usse sweekar
nahi karta, to unn sabhi vidhwaano se mujhe sirf itnaa hi kahna hai ki
jinn logon ne uss samay humare saur mandal avam samast brahmand k vishya
mein jo kuch b likha avam jana hai wo aadhyaatm ki shakti se hi jana
hai, iska saboot ye hai jo baat humare granthon mein maanav ki shuraati
avastha mein phle hi keh di gayi thi kuch vegyaanikon ne isko apni
jaanch mein sahi paya hai,
aadhyaatm ki shakti k
maadhyam se humare purwajon ne kaafi kuch humare brahmand k vishya mein
jaankariyan haasil kar li thi, par usse pramanik karne k liye unke
paas shayad suvidhao ki kami rahi hogi tabi wo usse pramanit nahi kar
sake, kintu aaj humare paas saadhan hai, aur kaafi kuch naye saadhan
juta sakne mein hum shaksham hain, yadi hum prachin aadhyaatmik ghyaan
aur aadhunik taknikon ko mila kar ek baar fir se antriksh k vishya mein
jaankari haasil karne ki koshish mein jut jaate hain to nishchit taur
par hum kaafi saari aise baatein jaan sakte hain jinse hum aaj tak
anjaan rahe hain, antriskh ki godd mein kai aise raaz dafan hain jinki
jaankari yadi hume sahi samay par mil jaaye to hum na kewal apnee
jeewan shelly ko sudhaar sakte hai blki brahmand ki surakha bhi kar
sakte hain,kintu aisa tabhi sambhav hai jab hum prachin gyaan aur
aadhunik gyaan ko donon ko ek saath le kar chale avam donon par hi puri
tarah vishwaas kare, tabhi hum apne barshon se maanav mann mein chal
rahe kai sawalon k jawab haasil kar sakenge.............Thanks And Regards
**Archana**