Thursday, 29 November 2012

Ishwar Vaani *10* Ishwar ki dhrashti mein Prem ka Arth

Shri Krishna ne Geeta mein kaha hai "iss sansar mein reh kar avam bhotik rishton mein ulajh kar moh mein fasne ka naam prem nhi hai",  ishwar kahte hai, "yadi hm kisi bhotik kaaya se athwa bhotik rishto se prem karte hai to jb wo ya hm duniya tyagte hai uske baad ye prem khatm ho jata hai, q ki wo prem nhi bas uss kaya k prati pal do pal ka lagaaw tha jo uske jane pe khatm ho gaya, kintu vaastavik prem  kisi ki kaaya k nasht hone pe b na mitne  wala hota hai, iske saath hi prem ka arth sneh, sahyog, vishwaas, samman, bhaavnao ka aadar, tyaag, samarpan tatha ek dusre ki khushi hai,yaha swaarth aur ummidon ka koi sthaan nhi hai, kintu aisa prem manav khud manav se nhi kr sakta, aur iss kaaran prem hi pidaah ka mukhya kaaran bnta hai,"  ishwar isliye kahte h ki mujse prem kro to mai tumhe wo sab dunga jo ek sachhe premi ko milna chahiye, ishwar kahte hain main tumhare iss bhotik roop se nhi apitu tumhari aatma se tumhe prem karta hoon, tum bhi mujhse hi prem karo," ishwar samast bhotikta se dur hme abhotikta se prem aur lagaaw ki shiksha dete hai jo nashwar nhi hai.."

i love you dear jesus..

"zindagi kat jaygi yu hi chalte-2 par manzil na mil payegi mujhe bin tere, bhatakte huye raahon mein thokare khub legengi par na sahi raasta nazar aayega mujhe bin tere, log badaynge apne haath mujhe sambhalne k liye par zindagi ki kashti ko beech saagar  mein wo bhi yu chhod jaynge mujhe bin tere, ae mere maalik bin tere adhura hai mera ye jeevan, waada karna hey parmeshwar zuda na mujhse kabhi tum hona,q ki sooni ho jaygi meri ye zindagi prabhu sirf bin tere.."i love you dear jesus.. these linez i've written only for you..

Wednesday, 28 November 2012

Mrityu ka Satya.....Ishwar Vaani *9-*ईश्वर वाणी -9



" ईश्वर  कहते हैं मृत्यु का अर्थ  किसी प्रिये का हमसे अलग होना नहीं है, मृत्यु तो वो स्थान है जहाँ हम जा कर ईश्वर की कृपा प्राप्त कर अथवा  प्रत्येक व्यक्ति अपने प्रिये जन से सदा सदा के लिए मिलन को प्राप्त होता है, किन्तु जिन आत्माओ को पुनर्जन्म प्राप्त हो जाता है तभी भी उसके उस भोतिक रूप और उस रूप में प्राप्त उन भोतिक रिश्तों के साथ भी उसके पिछले जन्म के अति प्रिये जन परमेश्वर के पास रहते हुए ईश्वर की कृपा  प्राप्त करते हैं और सदा आत्मिक रूप से उसके करीब तब तक रहते हैं जब तक की वो भी भोतिक शरीर के बंधनों से  मुक्ति प्राप्त नहीं करता है।" 





--
Thanks and Regards
 *****Archana**

Hey Parmeshwar..........For My Dear God...

"jo ruthe sansar mujhse fikar na mujko uski ho, jo chhod kar mujhko dur chala jaye chaahat na mujhe uski ho, jo rehna pade akela mujhko tamanna na kisi ko pane ki ho, jo pade sab kuch sehna na du ilzaam ye kisi ko, nahi hai fikar kisi ki mujhe jab mere hal pal saath tumhi ho, hey parmeshwar tumhi ho.. i love you god very much Dear God...."

 "tu jo hai to sab kuch hai, na koi kami hai..",


 "hey ishwar jaise aap Mahabharat mein Arjun k rath k sarthi bne the, waise hi mere jeevan rath k saarthi ban kar mujhe har galat rasthe par jane se bachana, sadaa mera aise hi maargdarshan karte rehna, kabhi meri galti par naraaz na hona, mujhe galat sahi ka bodh karate rahna prabhu, mujh par sada apni kripa bnaye rakhna hey parmeshwar.."

Monday, 26 November 2012

ruthe sanam ko manana achha lagta h(romanatic shayri)

"ruthe sanam ko manana achha lagta h, ruthe sanam ko satana achha lagta h, wo hote h khafa mujse meri iss adaa pe, par apni issi adaa se unhe lubhana achha lagta h.."

har k apne dil ki baazi (Sad Shayri)

har k apne dil ki baazi pyar na unka hm jeet sake, nam unhe kr k apni zindagi saari saath unka na pa sake, kya kahe unhe hm, hmne to ab unhi k diye gam mei haari apni zindagi saari, par wo jeet kar bhi mere ho na sake..

only for my dear one God (Jesus)

"samandar ki gehrai se le kar aakash ki unchai tak, suraj ki kiran se le chand ki roshani tak, din k ujaale se le kar raat k andhiyare tak, purab se le kar pashchhim tak, uttar se dakshin tak, charo dishao se le antriksh ki seema tak karte hai hm pyar sirf tumse.....

                                             i 
                                          love 
                                          you 


                                        Dear 
                                       Jesus 
                                        very 
                                       much"