this is not only a hindi sher o shayri site, there is also u can see short stories, articals, poetry in ur own language yes off course in hindi......
Monday, 10 December 2012
Sunday, 9 December 2012
na chaah thi mujhe sone chandi ki....
na
chaah thi mujhe sone chandi ki, na chaah thi mujhe kisi afsaane ki,
chaah thi to bas ye hi ek kisi ka pyaar paane ki, shaayad kismat se
maine kuch jyaada hi mang liya, jo wo de na saki pyaar apno ka,usse
maine gerron se paane ki khwaaish ko bata diya, kismat se mujhe kabhi mil na saka pyaar kisi ka, jo bhi mujhe mila sirf ashko k siwa na usne kuch diya,maine to bas pyar manga tha par usne gam aur tanhai k siwa kuch na diya, na mil saka pyar mujhe kabhi kisi k chahe raha ho wo apno ka ya fir
gerron ka, nahi thi koi aur tamanna meri zindagi ki, afsos maine
tochaahat ki thi bas ek sachhi mohabbat ki, na chaah ki thi sone chaandi
ki, khata itni humse hui ki jo likha nahi uss rab ne taqdir-e-zindagi mein meri bas chaahat ki usse paane ki,chaah ki thi bas pyaar paane ki......
ki, khata itni humse hui ki jo likha nahi uss rab ne taqdir-e-zindagi mein meri bas chaahat ki usse paane ki,chaah ki thi bas pyaar paane ki......
kaash iss duniya me koi to aisa mil paata
kisi b shakhs k galat kadam (suicide, nashe ki lat, ekantwas, sanyas, chori, daketi, aatankwaad
etc) uthaane k pichhe koi ek shakhs ya ek kaaran nahi hota, kisi b
shakhs ko aisa krne k pichhe bahut saare log aur kaaran hote h, aur wo
shakhs jo aisa karne ka apna mann bnata h wo ye kadam uthaane k aakhiri waqt tak ye
sochta aur ummid krta h ki:-
kaash iss duniya me koi to aisa mil paata jisse mai apni dil ki har
baat khul k bta pataa, koi hota kaash mere saath jiske
saath mai apne saare gam bhool k khushi k chand lamhe bitata, koi hota
kaash mere paas jo mere kahe bina kuch meri aankhon se hi dil me
chhipe dard ko dekh pataa, kaash koi meri hassi me chhipi maayusi ki
wazah jaan pataa, kaash koi to itni bdi duniya me aisa hota jo apne
seene se laga k mujhe kuch pal k liye sahi par har dard se dur le
jataa, uskaa saath aur uska itna pyaar kaafi tha mujhe zinda rakhne k
liye, wo shakhs muje pta h na to pariwaar ka hota aur na rishtedar ka,
na wo padosi hota aur na dost hota, na wo premi hota aur na
jeevansaathi, sachh to ye h ki ye saare rishte hi mil kar majbur krte
h khud ko mitane k liye, par inn sabse alag wo kaash mil jataa muje jo
deta sirf pyaar, itna pyar kaash milta muje jo har baar zindagi ki jang
ladne aur jeetne ki taakat deta, iss berahm duniya mein har rishte se door kaash wo kahi to hota jo mujhe samajh paata, kaash ae meri badnasib zindagi wo
kahi to hota, wo benaam pyar ki moorat, wo anjaan c soorat kaash
khwaab nhi hakikat hota, kaash wo kahi to hota, khwabon me nhi shamil
meri tanha zindagi me hota, kaash wo kahi to hota.....

Saturday, 8 December 2012
bhool ja ab usse.......Sad Poetry....
ye
dil mera kise puraakrta hai, ae mere paagal mann tu kiski raah dekhta hai, jo
dete rahe hai ab tak tujhe sirf gam aur aansu tu unhi ki raah kyon taakta hai,
tujhe nahi hai pata iss zamane ka zara bhi, tujhe nahi koi khabar iss duniya
ki thodi bhi, log milte hai, ek rishta banaate hai, kuch unn rishton ko aaj ya
kal mein tod jaate hai aur kuch unhe kuch aur pal tak nibhaate hain par ant
mien anjaam to fir wo hi unhe chhod k jaana hi hota hai, ae mere paagal mann
kuch to ab samajh tu bhi, jinki rakhi hui hai aas tune milne ki, hai jo tere
mann ki gehrai mein ek wo ummid unka pyaar pane ki, tu jo sochta hai wo karte
hai tujhse hai pyaar, tujhe rakhenge apne dil mein aur denge har lamha
khushiyon ki bahaar,
to jaan le ae mere dil wo na to kabhi karte
the tujhse pyaar aur na kar sakenge kabhi tujhse pyaar, khushiyon ki bahaar to
door tujhe sirf denge aansu aur gam beshumaar, tujhe ab tak lagta tha ki wo
nahi hai auron jaise rishte bana kar unhe yu chhod kar jaane wale, par jaan le
ae mere paagal mann hai to wo bhi ek saadharn insaan, wo kaise kar sakte hai
maanav vayvhaar se khud ko alag, zazbaaton ko jaise insaan rondta hai apne
matlab k liye perron tale waise hi unhone bhi teri har baat aur usme chhipi har
bhaavna ko kuchla hai perron tale, nahi tha unhe matlab tujhse aur teri baaton
se, unhe jo tha matlab wo tha jo ek maanav ka apne vipreet k liye hota raha hai
aaj tak, ae mere paagal mann isliye tujhse baar baar meri ye hi ek vinati hai
bhool ja ab usse, bhool ja wo sab, bhool ja har pal jo jiya tha tune unke
saath, chala tha kuch door tu bhi unke, kuch dekhe the sang unke khwaab tune,
bhool ja ae mere paagal mann sab kuch tu bhool ja, aur agar na bhool saka tu
usse, milega dard har pal tujhe, ruaalate rahenge har pal wo tujhe, aankhon se
behati ye nadi ki dhaara na kabhi rukegi teri, inhe dekh kar humesha unke
chehare pe muskurahat bhi bani rahegi, har pal milegi sunapan aur tanhari
tujhe unse, na ho sakegi fir kabhi iske koi bharpai,
isliye
ae mere paagal mann kisi k liye nahi tu apne liye sab kuch bhool ja,
jeena seekh ja tu ab unke bina, rahna seekh ja tu ab unke bina, wo kaun sa door
ja kar tujhse tujhe yaad karte honge, wo kaun sa tujhe waha par pukaarte honge,
khush honge wo apne jeevan shelly mein waha fir tu kyon karta hai koi fikar
unki, jaise wo khush hai tujhse door ja kar, tu bhi ab unke bin khush hone ki
aadat bana le, soch le tu bhi ae mere paaagal mann, ek na ek din to unhe tujhse
door jana hi tha, wo tujhse door jaane ka ek aur kahar laate isse pahle hi tune
unpe koi ek to sitam kiya, unse mile anek dard mein se koi ek to unhe diya, jo
todte wo rishta tujhse na hota sahan tujhse, tune tod kar rishta ye ahsaan kiya
hai khud pe, bas ek fariyaad hai ae mere paagal mann jaise tune tod diya hai
rishta unse par saagar ki gehrai se bhi jyada jo tere mann ki gehrai hai usse
bhi kar de juda ab usse, bhool ja ab usse, jee le apne liye, bhool ja ab
usse.........
Thursday, 6 December 2012
kar du zindagi se juda tujhe ab.....
"meri har subah mein teri hi yaad hoti hai, meri har shaam mein teri hi baat hoti hai, dil kahta hai mera ki bhool jaau tujhe ab, kar du juda khud se tujhe ab, par jaise din dhal k hoti hai raat mujhe tadpati hai tere sang bite lamho ki har baat, kahta hai mera ye paagal mann bhool kar saare wo shikwe aa jau ab tere paas, tu bhi bhool kar saare wo gile aa jaye ab mere paas, par jab yaad aane lagti hai teri wo ruswaiyon ki kahaniya, tera dil todna aur fir door ja kar mujhe hi ilzaam dena, mujhe rula kar khud ka yu muskurana, baat baat pe tera mujhe hi satana, har baat pe mujhe hi galat batana, bin galti pe meri tera bewzah hi yu ruth jana, yaad kar teri wo baat purani tujhse juda fir mera ye mann hone lagta hai, aane lagati hai ye aawaz dil se fir tod du har rishta ab tujhse , bhool jau ab tujhe, kar du apni zindagi se ab alag tujhe....."
ye kaisa rishta tune hai
"ae mere maalik ye kaisa rishta tune unse
bnaya hai, wo krte hai har pal sitam, satate hain mujhe har dam, dete hain har waqt
aansu aur gam hai, fir bhi q wo hi itnaa yad aate hai hardam, jab jab koshish
krte hain unhe bhulane ki hum, dur jane ki unse hum, q fir bhi mujhe wo meri har
dhadkan k saath aankhon se aansu ban k chale aate hai, q yaad aa kar mujhe itna har pal tadpate hain.."
Tuesday, 4 December 2012
nahi h mohbbat ab tumse
q nahi dil se mere dur tum hote ho q nahi dil se mere dur tum hote ho, q nahi khwaabo se dur tum jaate ho, kya kiya h tumne mujpe ye jaadu,itnaa rulaate ho mujhe fir bhi q nhi meri yaadon se dur tum hote ho,koshish ki maie jitnee bhi tumhe bhulaane ki utne hi aansu ban kar tum chale aate ho..
nahi h mohbbat ab tumse
keh to diya hmne nahi h mohbbat ab tumse, q fir muje yad aate ho, dur q nhi hoti yad tumhari, q tadpaati hai har baat tumhari, ji chahta hai bhul kar saare puraane gile shikwe aa jau tumhare paas, tum bhi laut aao mere paas sab kuch bhula kar, par aati wo baat yaad tumhari, jab tumne na ki thi kadra hmari, dikha kar berukhi har baar, tod kar chale jaate the dil humara baar baar, pyaar humara sirf dil behlaane ka tha jariya tumhra, khush bahut hote the tum hume dukh pahucha kar, khush bahut hote the tum hume rula kar, mere askhon ko paani keh kar tum mushkurate the, inhe hum bewazah bahaa diya karte hain ye kahte the, yaad kar ke wo baat purani wo tumhari ruswaiya ki kahaani mere dil se aah nikalti hai aur bas ye hi aawaz aati hai iss toote huye dil k tukdon se nahi hai mohabbat ab tumse.....
Subscribe to:
Posts (Atom)