Wednesday, 2 January 2013

Ae janetamanna ae janejahan-sad poetry.ऐ जाने तमन्ना ऐ जाने जहाँ

ऐ जाने  तमन्ना ऐ जाने जहाँ तू ये तो  की तू है कहाँ, तुझे ढूँढता हूँ मैं यहाँ से वह तू ये तो बता की तू है कहाँ, तुझे ढूँढता हूँ मैं यहाँ से वहा , तू ये तो बता की तू है कहाँ,
 गया मैं हर उस शहर उस नगर जहाँ तू पहले रहता था कभी,ढूंडा तुझे हर उस  चौबारे और हर उस गली जहाँ तू पहले मुझे मिला था कभी,ढूंडा तुझे मैंने उस मोड़ पर जहाँ तूने कभी देखा था मुझे मुद कर कभी, ढूंडा तुझे हर बाग़ में ढूंडा हर बगिया में जहाँ तू आता था मुझसे मिलने कभी, हाथों में हाथ डाल कर तूने मुझसे किया था कोई वादा कभी, ढूंडा तुझे हर उस जगह जहाँ मिलते थे तेरे निशाँ मुझे हर पल हर कहीं,
ऐ जाने तम्मना ऐ जाने जहाँ तू ये तो बता की तू है कहाँ, तुझे ढूँढता हूँ मैंने यहाँ से वहां तू ये तो बता की तू है कहाँ,
अपनी हर धड़कन में बस सिर्फ नाम तेरा ही  सुनता हूँ मैं, देखता हूँ जिधर बस पाता तुझे आज भी उस तरफ हूँ मैं, जब लेना तुझे अपनी बाहों में  चाहू जाने कहाँ तू हो जाता है  गुम   , ओ ओ ओ तुझे ढूँढता हूँ मैं फिर हर कही,
नींद  मेरी आँखों   में आती ही नहीं बस जागते हुए भी ख्वाब तेरा ही देखता हूँ मैं, मिलता नही जब तू इन नजारों में कही तब तेरे संग जीए उन लम्हों की यादों में ही तुझे ढूँढता हूँ मैं फिर से यही हो न भले तू आज पास मेरे पर बीते लम्हों की यादों में ही सही तुझे अपने करीब आज भी पाता  हूँ मैं, ऐ जाने तमन्ना ऐ जाने जहाँ ,
ऐ मेरे हमसफ़र तू ये तो बता हुई थी क्या खता मुझसे जो हुआ तू आज यु खफा, तोड़ कर वो बंधन सारे प्यार के क्यों तू मुझसे जुदा हो गया, क्यों तू मुझसे यु रूठ गया, क्यों तू मुझे तनहा इस कदर छोड़ गया, वादा था तेरा ज़िन्दगी साथ जीने का आज तू  क्यों मुझे अकेला कर गया,कैसे जीयु  मैं तेरे बगेर ऐ जाने तमन्ना तू ये तो बता,क्यों तू मुझसे दूर इतना हो गया, क्यूं तू मुझसे खफा हो गया,कमी क्या लगी थी तुझे मेरे प्यार में, क्या खला  था तुझे मेरे इकरार में,ऐ जाने तमान्ना तू ये तो बता,ऐ जाने  तमन्ना ऐ जाने जहाँ तू ये तो  की तू है कहाँ, तुझे ढूँढता हूँ मैं यहाँ से वह तू ये तो बता की तू है कहाँ, तुझे ढूँढता हूँ मैं यहाँ से वहा , तू ये तो बता की तू है कहाँ,

Ae jaanetamanna ae janejahan tu ye to bata ki tu hai kahan, tujhe dhoondta hoon main yaha se waha tu ye to bata ki tu hai kahan, 
gaya main har uss shehar uss nagar jahan tu pahle rahta tha kabhi, dhoonda tujhe har uss chauraahe har uss gali jahan tu pahle mujhe mila tha kabhi, dhoonda tujhe maine uss mod par jahan tune kabhi dekha tha mujhe mud kar kabhi, dhoonda tujhe har baag mein dhoonda hare ek bagiya mein  jahan tu aata tha mujhse milne kabhi, haathon mein haath daal kar kiya tha tune bhi koi waada mujhse kabhi, dhoonda tujhe har uss jagah jahan milte the tere nishaan mujhe har pal kahin,

   Ae janetamanna ae janejahan tu ye to bata ki tu hai kahan, tujhe dhoondta hoon main yaha se waha tu ye to bata kit u hai kahan,


Apnee har dhadkan mein bas sirf naam tera hi sunta hoon main, dekhta jidhar bas paata  tujhe aaj bhi uss taraf hoon main, jab lena tujhe baahon mein apni main chaahu jane kahan tu ho jata hai gum, oooo tujhe dhoondta hoon main fir har kahi,


Neend meri aakhon mein aati hi nahi, bas jaagte huye bhi khwaab tere hi dekhta hoon main, milta nahi jab tu inn nazaaron mein kahin tab tere sang jeeye unn lamhon ki yaadon mein hi tujhe dhoonta hoon main fir se yahi, ho na bhale tu aaj paas mere par beete lamhon ki yaadon mein hi sahi tujhe apne kareeb aaj bhi paata hoon main, Ae jaanetamanna ae janejahan,


Ae mere hamsafar tu ye to bata hui thi kya khata mujhse jo hua tu mujhse aaj yu khafa, tod kar saare wade wo pyaar ke , tod kar wo bandhan saare pyaar ke kyon tu mujhse juda ho gaya, kyon tu mujhe yu tanha chhod gaya, wada tha tera zindagi saath jeene ka aaj tu kyon mujhe akela chhod gaya, kaise jiyu main tere bager ae jaanetamanna tu ye to bata, kyon tu mujhse hai itnee door  ho gaya, kyon tu mujhse khafa ho gaya, kami kya lagi thi tujhe mere pyaar mein, kya khala tha tujhe mere ikraar mein, ae janetamanne tu ye to bata,


 Ae jaanetamanna ae janejahan tu ye to bata ki tu hai kahan, tujhe dhoondta hoon main yaha se waha tu ye to bata ki tu hai kahan, Ae jaanetamanna ae janejahan tu ye to bata ki tu hai kahan, tujhe dhoondta hoon main yaha se waha tu ye to bata ki tu hai kahan,


thanks & regards
   Archana

Saturday, 29 December 2012

bas khul kar hasne ki chahat thi hmari-sad shayari


bas khul kar hasne ki chahat thi hmari, bas saath uska paane ki hasrat
thi hmari, nau rang zindagi hote hain usme se bas ek rang paane ki tamanna thi hmari,, jyada kuch nahi bas unhi ki tarah ek aam zindagi
jeene khwaaish thi iss dil me hmari,

    par na pasand aayi iss duniya ko
meri yu unki tarah zindagi jeene ki chaahat, badla liya sabhine mujhse
dikha k wafa ka chehara fir kar ke bewafai muje pal pal tadapta chhod diya,,
chalte chalte zindagi me ab tak jisko bhi hmne samjha tha apna aaj
ussi ne thukra kar diya mujhe begana, tha kasur bas itna sa mera jo
kari thi chahat khul kar hasne ki, thi hasrat dil me bas unke saath
chalne ki, zindagi ko hm bhi sab ki tarah jeena chahte the, bas shayad
ye hi baat meri kismat ya fir iss duniya ko khalne lagi thi, aaj kar k
tabah meri har khushi ko khud jashn me dube hai muje tabah krne wale,
ae khuda agar hai tu kahi iss sarzamin par to de unhe saza aisi jo na
lute kabi kisi ki koi khushi aur na kabi koi chhin le kisi ke hontho
se ab hassi..
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

uski nigahon mein basne ke kaabil khud ko jo na bnaya..


"usne mujme sirf kamiyo ke siwa aur kuch na dekha, mere pyar aur wafa ko bhi usne jaane kyon na dekha, jabki maine to usse uski kamiyo k saath hi apnaya tha, badle wo khud ko kabhi ye khyaal na dil mei kabi aaya tha, shayad isliye pyar mei hmare fasle bade aur aaj ruth kar ek dusre se hain dur ja khade, khata fir b uski nhi meri hi hai shayad jo maine khud ko uski nigahon mein basne ke kaabil khud ko jo na bnaya.."

Friday, 28 December 2012

meri chaahat ka ahsaas kaash tujhe ho jaaye

din ke ujaale se le kar raat ke andhere tak, shaam ki chhaaw se le kar subah ki dhoop tak, kal se le kar aaj tak, door se le kar paas tak karte hain hum tumhse itnee mohabbat, kaash ye jaan jaao meri iss chaahat ko tum meri saanson ke taar chhoot jaane tak, kaash tum laut aao mere paas mere sada ke liye neend ki aagosh mein jaane  tak, meri chaahat ka ahsaas kaash tujhe ho jaaye ae zaalim iss zindagi ke khatm hone tak ..................

--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

Thursday, 27 December 2012

kyon mud-mud kar aaj bhi hum tumhe dekhte hain-sad shayari

kyon mud-mud kar aaj bhi hum tumhe dekhte hain, karte hain khud se door tumhe fir bhi kyon itnaa kareeb tumhe hum paate hain, bhoolna chaahte hain tumhe hum par kyon fir tere diye har dard aaj bhi aansu ban kar meri aankhon se nikal aate hain, tod kar har rishta tujhse jaane kitni door chale aaye hain hum, par teri berukhi ke baad bhi tere hi lautne ki aas rakhte hain kyon aaj bhi dil mein hum, tujhse hi milne ka kyon intzaar karte hain har waqt bas hum, kaash teri galtiyon ka ahsaas tujhe ho jaaye,kaash tere diye har gam ka ahsaas tujhe ho jaaye,  ye hi soch kar har din jiya karte hain ab to bas hum....

क्यों मूड-मूड कर आज भी हम तुम्हे देखते हैं, करते हैं खुद से डोर तुम्हे फिर भी क्यों इतना करीब तुम्हे हम पाते हैं, भूलना चाहते हैं तुम्हे हम पर क्यों फिर तेरे दिए हर दर्द आज भी आँसू बन कर मेरी आँखों से निकल आते हैं, तोड़ कर हर रिश्ता तुझसे जाने कितनी डोर चले आए हैं हम, पर तेरी बेरूख़ी के बाद भी तेरे ही लौटने की आस रखते हैं क्यों आज भी दिल में हम, तुझसे ही मिलने का क्यों इंतज़ार करते हैं हर वक़्त बस हम, काश तेरी ग़लतियों का अहसास तुझे हो जाए,काश तेरे दिए हर गम का अहसास तुझे हो जाए,  ये ही सोच कर हर दिन जिया करते हैं अब तो बस हम....

chaahat hai bas itnee c apne rab ko paane ki........

jarurat nahi kisi afsaani ki, jarurat nahi kisi pemaane ki, jo mila  sake na Ishwar se mujhe jarurat nahi zamane ki, na hasrat hai iss dil ko dhan-doualat aur khazane ki, chaahat hai bas itnee c apne rab ko paane ki........

these lines for you my dear god..... i love you very much..........

Sunday, 23 December 2012

teri hi surat nazar aati h..

 q reh reh kar biti hui baate bahut yad aati h, q reh reh kar  har
ghadi muje tadpati h, toote huye dil k tukdo ko jab-2 dekha maine q aaj bhi
unme teri hi surat nazar aati h..