Wednesday, 10 April 2013

kitnee jaldi waqt ke saath har rishta badal jaata hai


kitnee jaldi waqt ke saath har rishta badal jaata hai, jo hota hai kabhi paas jitna utnaa hi dur chala jaata hai, kabhi to lagta hai hume ki unke jaisa koi  nahi par badalte waqt ke saath hota hai ahsaas ki auron mein aur unme koi fark nahi, duniya ki sabse haseen cheez samajhte hain jiske saath ko pa kar kabhi par badlte waqt ke saath hota hai ahsaas ki iss rishte mein ab wo pahle wali baat nahi, aata hai khyaal dil mein fir kya ye sachhai hai rishte ki ya fir wo sachhai thi rishte ki jab wo rahte the dil ke itnaa kareeb jo ho chuke dur mujhse abhi, lagta hai waqt samajhne mein sachh ko, lagta hai waqt apnaane mein iss hakikat ko, par baldle waqt ke saath hi sab samajh aata hai kyon ki badalte waqt ke saath har rishta  badal jaata hai, jo hota hai kabhi paas jitna utnaa hi dur chala jaata hai....
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

Friday, 5 April 2013

है पता मुझे की वो तो है बेवफा



है पता मुझे की वो तो है बेवफा फिर भी क्यों आस उन्ही रहती हैं है दुनिया में इतने हसीं चेहरे पर फिर भी क्यों प्यास उन्ही की रहती है,
 
जानता है ये मन मेरा गुनाह कर रहे हैं हम उन्हें इस कदर चाह कर, जानता है ये दिल मेरा जुर्म कर रहे हैं हम उन्हें अपनी धडकनों में बसा कर, फिर भी क्यों  जाने ये पाप हम बार बार हैं करते जा रहे,है पता हमे की वो तो हैं बेवफा फिर भी जाने क्यों उन्ही से ही मोहब्बत करते हैं  हम जा  रहे, हैं जिसकी वज़ह से नम हमारी आँखे जाने क्यों उन्ही से मिलने की उम्मीद हमे आज भी रहती है, हूँ तनहा जिसकी वज़ह से आज मैं जाने क्यों हर पल दिल में याद भी बस उन्ही की रहती है, है पता मुझे खुद से ही कर रहे हैं धोका हम उन्हें याद के पर जाने क्यों इस धोखे के बाद भी मेरी हर सांस में बस आस  उन्ही रहती  है।
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

jisse pyar hum krte h wo to dil me humare rhte h


jisse pyar hum krte h wo to dil me humare rhte h, duniya ki nazro me ya khud ki nazro me wo bhle dur chale jaye hmse, par fir bhi dil ki gehraiyo me hmesha wohi rhte h, fir btaye  wo  bhala hmse kaise dur rhte h....

Thursday, 4 April 2013

sirf do baate karne se dost nhi ban jaata

sirf do baate karne se dost nhi ban jaata, kuch door saath chalne se koi saathi nahi ban jaata, milte hain bahut aise kuch dur tak saath chalne wale, par kuch dur saath chalne se koi hamsafar nahi ban jaata

Ishwar Vaani-24 **Ishwar kewal jeevit vayktiyon ke hote hain**

Kisi ne puchha Ishwar se ki Prabhu kya Ishwar kewal jeevit vayktiyon ke hote hain arthaat kewal jeevit vayakti hi unhe poojta hai ya Mrit vyaktiyon ke bhi utne hi poojniye hote hain jitne ki jeevit vayaktiyon ke liye??


Ishwar ne kaha: Ishwar kewal jeevit praaniyon ke liye hain arthaat kewal unhi ke udhhaar ke liye hain, Mrit vyakti athwaa praani se unka koi sarokaar hi nahi hai kyon ki Ishwar ki nazar mein koi bhi praani Mrityu nahi paata. Ishwar kahte hain kewal shareer chhodna marityu nahi hoti, jo tumhe mrit lagta hai wo mere paas hota hai kintu jo tumhare paas shashareer hota hai wo bhi mere kareeb hota hai, isliye meri nazar mein koi nahi marta, aur isliye Ishwar Mrit praaniyon ke nahi apitu kewal jeevit vyaktiyon ke hain....

Tuesday, 2 April 2013

Ishwar Vaani: Bali Pratha-23

humne Ishwar se puchha ki prabhu aap to sadaa Hinsa ke khilaaf rahe ho lekin fir bhi kahi kahi humne suna hai ki log aapko prasann karne hetu nirdosh praaniyon ki Bali dete hain, Prabhu kya aapne hi aisa unhe karne ko kaha hai, Prabhu kya aap isse prasann hote hain?? Ishwar ne kaha,


Desh/kaal/pristithiyon ke anuroop jo ghatnaaye ghati ye sab unn par nirbhar karta hai, kintu maine kisi bhi prakaar ki Hinsa avam kisi nirdosh ki mujhe prasann karne hetu Hatya jisse Bali ka naam logo dwaara diya gaya uska samarthan nahi kiya,


Ishwar kahte hain jo log aisa karte hain wo mera naam le kar kewal apne jeebh ke swaad hetu hi aisa karte hain avam unn logon ke poorvajon ne ye pratha chalaai kyon ki jab wo pratha chali tab waha shaakahaar ka abhaav tha, aur log apni bhookh shaant karne hetu maasahaar ko khaate the kintu waha inn praaniyon ki dasha bahut hi dayneeye thi, jinhe waha ke log kha kar apni bhookh shaant karte the waha inn nirdosh pashuon ki dasha behad kharab thi, to aise main Ishwar ne inn pashuo ki mukti hetu avam aise pashuo ko poojniye banane hetu hi leela ki, Ishwar kahte hain ki unn logo ki Bhogolik stithi aisee thi ki wo shaakahar ko apna hi nahi sakte the kintu iske saath anya praaniyon ki dasha avashya wo bad se badtar karte ja rahe the, Ishwar kahte hain unhi ko moksh dene hetu hi unhone aisi leela ki,


Ishwar kahte hain ki wo Hinsa ke khilaaf hain aur jaha kahi bhi bhogolik sitithi shaakahaar ko mahatva deti hai waha waha poorn roop se maasahaar ka tyaag karna chaahiye, apne dhaarkik riwaaz ka vaasta de kar iss pratha ko unhe aage nhi chalana chahiye apitu turant hi khatm kar dena chaahiye aur jo log aisa nahi karte wo Ishwariya Kripa ke paatra nahi bante kyon ki aise log Ishwar ko aage kar ke kewal apne Jeebh ka swaad dekhte hain, aur aisa karne wale sirf apne vishya mein sochte hain avam bhashya mein Ishwariya Krodh ka paatra ban kar dukh bhogte hain..

Ishwar Vaani, Ishwariya Kripa-22

Ishwar kahte hain yadi hum kisi par naaraz ho kar galat shabd yadi uske liye nikaalte hain athwa aisa vyavhaar uske saath karte hain jisse usse dukh ho, Ishwar kahte hain aisa hum isliye karte hain kyon ki humare mann ke andar wo baate pahle se hi maujood thi kintu humari naarajgi to bas ek bahaana ban gayi unn baaton ko baahar nikaalne ka.


Ishwar kahte hain yadi hum kisi ke liye bura bolte hain to khud hi apni Vaani se Ashudhh ho jaate hain, hum apni buri Vaani se itne Ashudhh ho jaate hain ki koi bhi pavitra teerth  ja kar bhi hum pavitra nhi hote, kintu yadi humne kisi ke liye bura kaha hai krodhvash kintu baad mein yadi hume apne krodh pe pachhtawa hai aur apne uss anuchit vayvhaar par bhi to hume uss shakhs se shhama maang leni chaahiye, hume uss shakhs ke bure vyavhaar fir bura nahi maanna chaahiye apitu sachhe dil se prayshchit ki bhaavna le kar shhama maangni chaahiye, yadi hum sachhe dil se prayshchit karenge aur uss shakhs se shhama maangege to hume swaam Ishwar Shham karenge.


   Ishwar kahte hain yadi humne krodhvash kisi ke liye kuch bura kaha kintu baad mein apni galti ka ahsaas hua aur nihswaarth bhaav se uss shakhs se shham maangna aur jhukna hume ye batata hai ki ab humara mann uss shakhs se liye Pak ho chuka hai, kintu yadi hum kisi ke saath bura vavhaar kar ke bhi shhama nahi maangte, koi dil mein praayshchit ki bhaavna nahi laate to iska abhipraaye humare dil mein abhi aur bhi burai chhipi hai, 

    Ishwar kahte hain jiske dil mein burai chhipi hai wo unki kripa ka paatra kabhi nahi ban sakta, kintu jo vayakti apne paapo ke praayshchit hetu doosre ko dukh pahuchaane wale dwaara bina shikaayat uska bura aacharan bhi khushi khushi sahan karta hai aisa vayakti Ishwariya Kripa ka paatra banta hai..