Wednesday, 9 September 2015

chori chori-geet


"Chori chori chupke chupke jaadu kar gaya, 
neend le gaya mera chenn le gaya,-2

Dheere-dheere mere dime bas gaya,
Dil le gaya koi dil le gaya,-2

Jaane kaise kab uska jaadu chal gaya,
Holey holey mere dilme bas gaya,

Duniya se begani anjaani kar gaya,
Chupkse apni deewani kar gaya,

Chori chori chupke chupke jaadu kar gaya,
Neend le gaya mera chenn le gaya-,2

Kaise kab wo dhandan mein bas gaya,
Saanso se ho kar rooh mein aa gaya,

WO ajnabi jaane ye kya kar gaya,
Dil le gaya mera dil gaya,

Din raat khyaalo mein koi kyon aane laga,
Ye hasin khwaab koi dikhane laga,

Har pal chehra uska hi mujhe to dikhne laga,
Dur ho kar bhi paas mujhe wo to lagne laga,

Dheere dheere mujhe ye kya ho gaya,
Jaane kaise kab dil uska ho gaya,


Chori-chori chupke chupke jaadu kar gaya,
Neend le gaya mera chenn le gaya-3

Monday, 7 September 2015

dil mein hai Hindustan


Ye lines un logo ke liye hai ya kahe un logo ke dil ki awaz hai jinki shadi bharat ya pak mein mulko ki deewar tod kar Ki jaati hai, par jab unse kisi ek mulk ko chunne ke liye kaha jaata hai tab unke dilme kya uthal puthal hoti h kise dost kahe kise dushman




"dil mein hai hindustan dhadkan mein pakistan, saans mein hai hindustan rag rag mein pakistan, zindagi hai hindustan rooh mein pakistan, kise dost kahu kise dushman, aankho mein hai Hindustan nazro mein Pakistan"

Sunday, 6 September 2015

meri shayri

"aa teri zindagi mein khushya hazar bhar du, Teri zindagi se har gam dur main kar du,
tere laboon par mushkan hazar kar du,
aa mere paas har dard se tujhe juda main kar du"



"Is hawa ke jhoke mein tum ho,
In fazao ki khushbu mein tum ho,
Jhup gaye ho in badlo mein kahi,
Falak ke har sitare mein tum ho"


"Mohabbat karna to aaya unhe,
Mohabbat nibha na sake WO,
Dil lagana to aaya unhe,
Dhadkano mein basa na sake WO"


"Mere har ahsaas mein tum ho,
Mere har zazbaat mein tum ho,
Door  raho chaahe jitna mujhse,
Meri har saans mein tum ho "

pauranik katha-12, pluto aur bali

Ek baar Athens ke varshik mahotsav me Pluto ko Jane ka avsar mila. Lekin waha ja kar Jo usne dekha use dekh kar bada dukhi hua. Log aastha k naam par nirih pashuo ki berahmi se hatya kar rahe the aur unke tadap-2 k pran tyagne par nach ga kar khushi manaa rahe the,

Ye sab dekh Pluto beech me hi isse chhod kar Jane lage tabhi kisi ne puchha kya hua, aap q ja rahe h, abhi to karyakram baaki h, abi aapko b ye hi krna h, aapko hmare devta ko Bali deni h,

Iske baad Pluto k liye Bali k liye bakra laya gaya, lekin Pluto ne use alag hata kar zamin par mitti ka bakra banya aur uski devta k samaksh Bali di,

Ye dekh kar athens k log bahut naraz huye, isse apne devta ka apman kahne lage, tab Pluto ne kaha Jo aisa Bali k naam par in nirih pashuo ki Bali dete h WO iske saath insaniyat ki b Bali dete h, ye sun kar waha k log bole ye pratha hmne nai hmare bujurgo ne chalai h, kya WO murkh the Jo ye ptatha chalai,

Pluto bole jisne b chalai ye pratha. Usne iske sath manavta aur uske gun ki hatya ki, manav ka GUn h daya Jo nirih pashuo ko bhakti k naam par bejan ishwar k samne jeete jagte pashu ki hatya kar de, WO insaan nahi. Usne puri tarah insaniyat ki hatya kar di h,

Iske baad puto bole tumhara ishwar nirjiv h uske liye jeete jaagte jeev ki hatya nai apitu maati k bane is nirjiv bakre ki Bali hi kaafi h, ye sun kar athens k log pluto se bahut prabhavit huge.
.

Note: aisa ham sabko karna chahiye, ishwar ko aage kar is prakar pashuo ki nirmam hatya par ROK lagni chahiye..

Amen




Wednesday, 2 September 2015

chhod aayi piya ki gali- aadhunik bahu par aadharit kavita

"Laaz sharm sab tyaag kar chhod aayi piya ki gali,
Wo laal chunar tyaag kar chhod aayi piya ki gali,

Tod ke khwaab sasural ke main to mayike chali ayi,
Kara ke vidayi sathiya ki chhod aayi piya ki gali,

Wo purane rashmo-riwaz saas-sasur ke charan,
Tod ke bandhan riwaazo ke chhod aayi piya ki gali,

Sujhaw unke na bhate lagte hardam kateele kaate,
Bhula ke un rishto ko chhod aayi piya ki gali,

Nanad ki baat tana lagti dewar ki baat besura gana,
Chubhti un aawazo ko tyaag chhod aayi piya ki gali,

Banati roti sewa karti par dhan daulat se haari main,
Kyon muft mein kaam karu chhod aayi piya ki gali,

Ma ki gaali pyaari lagti bhai ke bol suhaane lagte,
Thukra ke sasural ki seedi chhod aayi piya ki gali,

Bani dulhan waha ki doolhe ko Vida kara laayi,
Ghodi chade sanam le use chhod aayi piya ki gali,

Sapne jaane kitne toot kar bikhar gaye mere,
Ban kar sangini sanam ki chhod aayi piya ki gali

Rishta bana piya ka apno se juda use kar layi,
Maiyke na tyaga maine chhod aayi piya ki gali,

Sasural ko apnana na sikhaya ma ne bani ladli,
Le sang sanam ko chhod aayi piya ki gali,

Ma meri durga jagdamba bhai Ram Bharat milap,
Saas lage dushman mujhe chhod aayi piya ki gali,

Sasur dushmano ka sardar dewar lage dhokhebaz,
Mat-pita bhai bhale lage mere chhod aayi piya ki gali,

Nanad ko dekhte hi jalne lage dil aankh se aaye pani,
Main dulari sajan ki sath uske chhod aayi piya ki gali,

Naye rishte daste mujhko main bhookhi dhanki naari,
Daulat mein na tola mujhko jo chhod aayi piya ki gali,

Har roz naye gahne kapde roz chhappn bhog mile,
Ho dhan-daulat ka saath sada chhod aayi piya ki gali,

Mile dikbar ya rahe juda dil ko khwaish nahi kisiki,
Apni chaahato ki hi khaatir chhod aayi piya ki gali,

Toote dil kisi ka ya toote ghar ab chaahe,
Har rishto ko tyaag kar chhod aayi piya ki gali"







ateet ka tarana bahut yaad aata hai

"Ateet ka tarana bahut yaad aata hai,
Ghar wo purana bahut yaad aata hai,

Wo gaaw se shahar tak mitti ka rasta,
Raaho pe daudna bahut yaad aata hai,

Karachi ke in jharokho se unka jhakna,
Wo hasin chehra bahut yaad aata hai,

Lahore ki fizao mein unka gungunana,
Unki awaz ka jadu bahut yaad aata hai,

Salma ka Seeta sang Ram leela jana,
Sath yu nibhana bahut yaad aata hai,

Ram ka Rahim ko bhai kah kar bulana,
Hind hai ham bahut yaad aata hai,

Ghar wo purana maati ka aashiyanaa,
Ruksana ka aana bahut yaad aata hai,

WO aam ka pedd wo bagiya mein Jana,
huddang machana bahut yaad aata hai,

Sookhe patto par karr karr karte chalna,
Fasaado pe hasna bahut yaad aata hai,

Pandit ka mulla sang ek saath chalna,
Mohlle par btiiyana bahut yaad aata hai

Batwaare ne baat diye masjid gurdware,
Sang tyohar mnana bahut yaad aata hai,

Wo aam ki bagiya amrood ki daliyaa,
Amiya churana bahut yaad aata hai,

Bharat ke veer hain ham ye batlana,
Beeta wo zamana bahut yaad aata hai,

Ateet ka tarana bahut yaad aata hai,
Ghar wo purana bahut yaad aata hai"








Monday, 31 August 2015

ishwar vaani-100, saint ke lakshan

Ishwar kahte hain "iss kaliyug mein anek pakhandi saint-mahatma hain. Jo anek prakar se tumhe bhramit karenge, koi tumhe khud ko ishwar ka avtaar kahega to koi tumhe hi ishwar banaa dega, kintu tum bhramit na hona, ek sachhe saint mein nimn baate dhundna, yadi wo sach mein mahatma saint hai to aisa hoga,

1*WO kabhi lobh nahi karega,

2*kabhi kisi ki ninda nahi karega,

3* samast jeevo se sneh aur dayawaan rahega,

4*tumhe bhi samast jeevo par daya kar ke liye kahega,

5* jaati dharm sampraday unch neech ameer gareeb ka bhed nahi karega, sabko saman drashti se dekhega,

6* kabhi kisi jeev ko heye drashti se nahi dekhega,

7*samast sansaar ko apna ghar jeevo ko apna pariwar kahega, manega,

8* tumse mahnge uphaar nahi lega apitu isse prani kalyaan evam jagat ki bhalai mein lagane ke liye kahega",

9* khud kasht sah lega par kisi aur ko na sahne dega,

10* hamesha sahayta ke liye taiyar rahega

Ishwar   kahte hai   "yadhhpi tumhari  aatma  mera hi ek roop hai,  nishchit hi deh ke bandhano se mukt hone  par kuch shaktiya  aati ho,  bhale tum samast burai tyaag bhale karm kar bhali aatma bano kintu mere  tulya ho kar bhi ishwar nhi ban sakte  jaise ek yogya mata pita ki santaan unke jaisi yogya ho kar bhi unke mata-pita nahi ban sakte"