Thursday, 1 October 2015

sadguru shri Archana ji ke anusaar

sadguru shri Archana Ji ke anusaar..
'kisi ka vishwaas khona aasan hai paane ki apeksha, isliye uss cheez ko na kho jise tum pa na sako, vishwaas ek amoolya dharohar hai Jo ek baar chala jaaye zindagi bhar ki aur zamane bhar ki daulat usse lauta nahi sakti, isliye Jo tum par bharosa karte hai, apna samjhte hain unka hriday tod kar vishwasghaat mat karo, aisa karne se unhe to kewal peeda hi hogo Jo chand Dino mein ek seekh de kar kam ho jaygi lekin tum usse kho doge sada ke liye Jo tumhare liye anmol tha'

ishwar vaani 104, ishwariye satta

Ishwar kahte hain "yadhpi is shrishti aur prani jaati ka swaami main hi hoon, mera roop-swaroop nirakar hai, Maine hi apne is nirakar roop se sakti ko utpann kiya aur usne Brahma-Vishnu-Mahesh ko janm diya jinhone meri hi aagya se nimn kaarya shrishti evam brahmand aur prani jaati ke nirman mein sahayak bane,

Yadhpi prani jaati ke ishwar aur devi-devta wo kahlaaye kyonki vibhinn aur moort roop mein unhone prani jaati ki sahayata ki, aur is prakaar jab jab logon ko ishwariye sahayta ki aavshyakta hui  unhone unhe hi yaad kiya is prakaar wo prani jaati ke ishwar kahlaye, kintu wo mere upasak hai, meri hi aagya anusaar wo kaarya karte hain, jab jab dharti par ishwar ki shakti ko chunoti di in devi-devtao ne vibhinn roopon mein desh/kaal/paristithi ke anusaar janm le kar ishwar ki satta sthapit kar ishwar ki mahhatta ko chahu oor felaya hai,

Isliye hey manushyo tum jis roop mein mujhe pukaro main tumhare saath hoon,

Bhrahma, Vishnu, Mahesh sahit shakti Jo ki samast brahmand mein virajit ho uska sanchalan karti hai, mera hi ek roop ho kar devi-devtao ka roop hai, vibhinn yugon mein inke avtaar issi ka pratiroop hai,

Yadhapi main nirakar hoon evam in samast devi-devtao sahit Maine hi brahmand ke kan kan ka nirman kiya hai, main hi unke dwara desh/kaal/paristithiyo ke anusar janm le kar shrishti  ko ishwariye satta chaaro oor felaa kar prani jaati ka kalyan karta hoon.."

Monday, 28 September 2015

ishwar vaani-103

Sadguru shri Archana Ji ke anusaar:

Priye paathakgan jaise ki aap sabhi prani jaati ke shareer ko panch tatvon se bana hua jaante hain (jal, prithvi arthaat mitti, agni, vaayu, aakash), ye satya bhi hai kintu kya aap apne shareer mein mauzood un panch tatvon ko pahchante hain? Aaj ham aapko un panch tatvon ke vishay mein aapko batate hai jinse is bhautik shareer ka nirman hua hai,


Sabse pahle Jo bhautik shareer ka aadhar hai wo hai JAL yani paani,
Bhautik shareer mein behta rakt evam vibhinn taral hi jo shareer mein vidhmaan hai JAL hai,

Bhautik shareer koshika, khaal, haddiya hi mitti hai,

Bhautik sharrer mein behti swaas hi vaayu hai,

Bhautik shareer ka taap hi agni hai,

Bhautik shareer ko sanchalit karne wali aatma athwa wo sookshm shareer hi aakash hai"

ishwar vaani-102

"aksar log devi-devta aur us parmeshwar ko ek hi maan lete hain kintu inme bhed hai,
devi-devta un tamam vikratiyo, buaraiyo, kamiyo se dur Jo Jan sadharan mein hoti hain unse dur hote hain, unka jeevan prani aur samaaj kalyan ke liye samarpit hota hai, unka janm hi iske liye hota hai, log unhe iske atirikt saint, mahatma, farista, saadhu jaise naamo se bhi pukarte hain, unki pavitrata ke karan hi ishwar ke behad karib hote hain, inki araadhna karne par ishwar prasann hote hain aur manoradh poorn karte hain jisse inka yash felta hai, kintu ye ishwar nahi kitu unke saman hi pujniye hain, moorti poojak inhi mein ishwar ke darshan kar inhe ishwar maan puja karta hai, ye galat to nahi hai kintu ye hi ishwar hain ye dharna galat hai,
ishwar to wo hai nirakar, nashwar, jatat aur prani ka malik, sabhi aatmao ka swami hone ke karan hi usse paramatma kaha jata hai. parmatma yani param aatma Jo param hai, pratham hai, aatmao ki janni hai, palak hai, wo hi parmatma hai,
devi-devta desh/kaal /paristithiyo ke anurup ishwar ka sahi aur sachha sandesh le ke aate rahe aur shrashti ko ishwar ki mahtta batlate rahe"

Wednesday, 23 September 2015

mera bhajan- mere shyam

"Chidya chahaki har Kali Kali,
 Koyal kooki har gali gali,
Banke baawri main chali chali,
Aaj shyaam se mili mili,

Shyaam roop chaal hanswaali,
Dekh usse dilki kali khili khili,
Murat mohak Surat sawali sawali,
Dekh jise main na hili hili,

Mere prabhu shyaam sawale,
Unhi se nazre hain mili mili
Krishna ne jab hai bansi bajai,
Lok laz tyag Main daudi chali aayi,

Sun kar dhwani main muskai,
Har raag ragni se aaj mili mili,
Dekh apne sawale ko kuch na boli boli,
Sawle rang mein rang kar,
har sans shyam naam boli boli,

Chidiya chahki har Kali Kali
Koyal kooki har gali gali-3"



Saturday, 19 September 2015

kavita- pahle nazre milti hain

"Pahle nazre milti hain,
fir dil dhadkta hai,

Fir aahe hoti hain,
badi becheni hoti hai,

Kisi ki yaad hoti hoti,
kisi ki chahat hoti hai,

Fir ikraar hota hai,
kisi se pyaar hota hai,

Kabhi ajnabi milte hain,
fir wo saath chale hain,

Kuch wo baat karte hain,
mulakat karte hain,

Apne zazbaat rakhte hain,
ye ahsaas rakhte hain,

Ishq ki baat karte hain,
mohabbat ki aas karte hain,

Zindagi ki baat karte hain,
umarbhar saath chalte hain,

Hamesha paas rahte hain,
Jo dilse pyaar karte hain,

Pahle nazre milti hain,
Fir dil dhadkta hai....- 4"






maine bhi kabhi pyaar kiya tha-geet

"Dheere dheere dil mera bhi bekarar hua tha,
Nazre mili thi kabhi, dil bhi ye tadpa tha,

Haan maine bhi kabhi pyaar kiya tha,
Muskura kar ye gunah ek baar kiya tha,

Kisi ke liye ye mann bechen ek baar hua tha,
Ek bewafa se mujhe bhi kabhi pyaar hua tha,

Samajh kar usse apni zindagi ye dil diya tha,
Haan maine bhi kabhi pyaar kiya tha,

Jod kar usse hi har khushi maine pyaar kiya tha,
Bas zindagi mein ye gunah ek baar kiya tha,

Haan maine bhi kabi pyaar kiya tha,
Muskura kar ye gunah ek baar kiya tha,

Dheere dheere dil mera bhi bekarar hua tha,
Nazre mili thi kabhi, dil bhi ye tadpa tha,

Haan Maine bhi kabhi pyaar kiya tha,
Muskura kar ye gunah ek baar kiya tha."