Thursday, 29 October 2015

do alfaz

"ek teri hi aas hai dil mein
bas ek Teri hi pyas hai dilme,
tujhe kya pata ae hamdam,
har pal tera hi ahsas hai dilme,"


"Tumse milan ki aas hai dime,
Ek tere  ishq ki pyas hai dime,
Dur   raho yà   raho   tum  paas
Har lamha tera ahsas hai dime"



ishwar vaani-110, ishwar aur devta

Ishwar kahte hain ''yadhhapi mera koi roop rang aur aakar nahi hai, bhakto ki ichha anusar evam desh/kaal/paristithyo ke anurup main roop leta hoon,

Kintu main hi shrishti nirman hetu vibhinn roop mein sarvapratham utpann hua jinhe log bhinn bhinn naamo se log desh/kaal/paristithyo ke anusar jante hain,

Mere yahi roop bhi ishwar aur devta mein bhed ka pratik hai,

Main tumhe aaj fir saral shabdo mein ishwar aur devta mein bhed batlata noon,

Ishwar usse kahte hain Jo sarvashaktiman to hai kitu uska apna koi aakar nahi hai, jisko kisi ne janm nahi diya na uska ant hoga,

Devta yadhhpi usme mere saman hi shaktiya hoti hai kintu meri ichha anusaar hi uska sansar mein janm hota hai aur nishchit samay baad uske bhi bhotik swaroop ka ant,

Kintu isme do raaye nahi hai ki sabkuch meri ichha se hota hai, kahi na kahi ye sab mujhse juda hai, isliye tum chahe jis roop aur jaise bhi mujhe ya mere kisi bhi roop ko yaad Karo par karo jarur, ishwar ya devta jise pukaro par pukaro WO hi tumhara kalyan karenge, ye WO vibhinn maarg hain jin par tum chal kar mujhe prapt karte ho,

Jesus Jo mera arthaat ishwar ka putra kahlaye unki bhakti tumhe mujh tak hi pahuchati hai, iske saath hi ishwar aur devta mein Jo antar hai WO darshati hai yadhapi jesus mein mujhse kam shaktiya nahi thi kintu wo ishwar ka putra hi rah, usi tarah mere anya roop hai, tum chahe jiski aaradhna karo par mujh tak hi pauchoge, aisa nahi hai log 33 karod mere roop mante hain aur unke alag lok, priye bhakto lok to ek hi hai WO hai mera kintu jiski bhakti karte ho WO mujh tak tumhe laane ka mere dwaara hi banaya gaya marg hai"


Tumhara kalyan ho






ishwar vaani-109, ishwar ke grahasth hone ka pratik

 Ishwar kahte hain "hey manushyo yadhapi tumne mere adhiktar grahasth jeevan ke darshan kiye hain, kintu shayad hi iska abhipraaye aur pratik pata ho,

Aaj main tumhe iska abhipraye aur pratik batata hu,
Mere grahasth aur shadishuda is baat ka sanket hai sansaar mein stree-purush dono hi behat mahatwapurn hain evam sansar mein utpatti ke liye inki kitni aavshyakta hai,

Iske saath hi ye is baat ka pratik hai ki main hi tumhara evam srashti samast ka janak palak aur sanharak hoon"


Tumhara kalyan ho

Saturday, 24 October 2015

muktak-ek masoom si kali

'ek maasoom si   kali ho  tum,
mujhse kabhi na  mili ho  tum,
samai par ho mann  mein aise,
banke pushp dilme khili ho tum"

Friday, 23 October 2015

dhokhe hazar hain-rachna

"Mohabbat ki mehfil mein dhokhe hazar  hai,
Dur talak dikhne par ye lagti kitni gulzar  hai,

Ishk ki chahat liye har dil kaise  tadaptaa  hai,
Mohabbat ke liye aaj saje jismo ke bazar  hai,

Mohabbat   ke to aaj saudagar hai  beshumar,
Sachhi chahat ki aaj ye dekh bani mazar   hai,

Ishk ke naam  par aaj jismo ke hai  karkhaane,
Kisi ko marne ka ishk ab ek behtarin auzar hai,

Mohabbat   ki mehfil  mein dhokhe   hazaar  hai,
Dur talak dikhne par ye lagti kitni gulzaar hai,-2"

Thursday, 22 October 2015

na jaane kis soch mein hain ham-kavita

"Na jaane kis soch mein baithe hain ham,
Kabhi haste to kabhi rote hain ham,

Kabhi rahte gumsum se to kabhi kahte hai ham,
Kabhi kuch kahte kabhi kahte rukte hain,

Kya ye unse rishta pyar kaYehi soch badbadate hai,
Chalte huye sochte hai Kahi dur na nikal aaye ham,

Wakt aur rasto ka na pata hai kuch,
anjan in rasto par bahak na jaye ham,

Har kisi ko bhula sabse nszar chura
 kis oor bada rahe hain apne kadam,

Sath unka pa hu har kisi se bekhabar
Bhula apni manzil pe bad rahe hain ham,

Na Jaane kis soch mein baithe hain ham,
Kabhi haste kabhi rote hain ham-3"



Wednesday, 21 October 2015

ishwar vaani-108, manushya kya ishwar se bada hai? ek sawal..

Ishwar kahte hain "hey manushyon jis prakar main praniyon mein bhed nahi karta, sabko saman prem aur samman deta hoon tum kyon karte ho,

Hey manushyon kya tum mujhse bhi samajhdar aur vayask ho Jo aisa vyavhaar na sirf praniyo apitu apni manav jaati evam apne hi ghar mein bhi karte ho,

Hey manushyo jaise mere grah Jo tumne apni aastha anusaar banwaye, waha tumhare atirikt vibhinn jeev jaise machhar, chhikali, kukoor aadi jeev aa jaate hai kintu main ghrina nahi karta kyonki main janta hoon ye meri hi santaan hai, maine hi unhe janm diya, to bhala apni hi santaan ke saath kaisa bhed bhaaw,

Kintu hey manushyo tum na sirf meri banayi har rachna chahe prani jaati ho ya prakati usme bhed bhaaw evam uska shoshan karte ho, yaha tak ki apne hi pariwaar mein stree-purush mein bhed karte ho, tumhari aisi pravatti manviye nahi hai, yadhhapi tum jaise na dikhne bolne walon ki pravatti tumse shresht hai, WO bhed-bhaaw rahit jeevan jeete hain,

Hey maanavon apni pravtti par ankush lagao, in bhed-bhaaw ke jeevan shely ka ant kar sabhi pradiyo se prem karo, yadi tumne kisi bhi jeev ko kasht diya to WO kasht mujhe milta hai ye jaan lo, tum meri rachna ka uphaas aur upeksha nahi kar sakte, yadi apna vartman vyavhar tumne na sudhara to nishchit hi main manav jaati ka sanhaar karne sheeghra upastith hona jiska uttardayi manav swam hoga"

Apka kalyan ho

Sadguru shri Archana Ji ki ishwar vaani