Tuesday, 17 November 2015

dilki sogaat layi hai..

"Aaj fir mere is dil ne li angdai   hai,
Aaj fir chalte chalte teri yad ayi hai,

Barso se akeli hoon  in raaho  mein,
Fir kyu udaasi mann mein chhai hai,

Kahne ko hoon akeli is bheed   mein,
Par saath mein meri hi ye tanhai hai,

Tu samajhta hai dur mujhse khudko,
Par Sang mere teri hi parchhayi   hai,

Zakhmo ke ye tohfe diye   tune  bahut,
Har sitam par maine muskan sajai hai,

Kabhi rahta tha tu hriday mein hardam,
Aaj beech apne kaisi  milo ki  khayi  hai

Tu bhula chuka hai meri ye   mohabbat,
Par Archu tere liye dilki sogaat layi hai"

Monday, 16 November 2015

geet... geet gaata hoon

"Geet gaata hoon geet gaaunga geet hi main gun gunaunga,
Saath nibhaata hoon saath nibhaunga saath hi rah main jaunga,

Mohabbat karta hoon karta jaaunga nahi tujhko tanha kar jaunga,
Pyaar mein tere marta hoon umar bhar ke liye fana ho jaunga,

Dil ek tujhko diya maine, hamsafar bas tujhko chuna maine,
Jeevan ka rahi maana tujhe maine, apna hamrahi banaya tujhe maine

Geet gaata hoon.............................................

Mann mein rahti hai tu mann mein basaunga mann ke mandir mein tujhe sajaunga,
Saanso mein tahti hai tu dhadkan banaunga tujhse juda ab na ho paunga,

Teri hi mohabbat ki ek pyaas hai mujhko bin tere pyaasa rah jaunga,
Door tujhse ja kar bahut jiya hoon par ab door tujhse rah kar na Ji paunga,

Tere liye hi to aaya hoon tera saath hi nibhaunga tujhe sang apne le jaunga,
Bahut akela raha hoon is mehfil mein bin tere ab har lamha tujhe saath apne paunga,

Kitna rota tha kitna roya hoon tujhe kya pata kya main khoya hoon,
Bas ibaadat teri karta tha main to ibaadat teri karta jaaunga,


Geet gaata hoon geet gaaunga geet hi main gun gunaunga,
Saath nibhaata hoon saath nibhaunga saath hi rah main jaunga-2"









banti hai kavita

"Wakt Milne se nahi shabdo se banti hai kavita,
Khushi Milne se nahi ashko se banti hai kavita,
Yu to likhne wale bahut hai duniya ki mehfil mein,
Ahsason ko shabdo mein pirone se banti hai kavita"

Sunday, 15 November 2015

mit rahi zindgi hai

"Sisak rahi maanavta ro rahi bandagi hai,
Dharm ke naam par mit rahi zindagi hai,

Bhula insaniyat shetaniyat aaj bikhari hai,
Dekh ye duniya-daari ro rahi bandagi hai,

Behta rakt dekh rota hai rab mera aur tera,
Apno ko marta insaan ro rahi bandagi hai,

Khoon ki holy khelta insan bada abhagi hai,
Dekh zakhm masumo ka ro rahi bandgi hai,

Na baati rabne duniya baat diya insano ne,
Dard bhari duniya dekh ro rahi bandagi hai,

Sisak   rahi maanavta ro rahi  bandagi  hai,
Dharm   ke  naam par mit rahi zindagi  hai"

Monday, 2 November 2015

mombatti- kavita

"Jalti pighalti hoon tab ujiyara hai hota,
Dekh mujhe aise chiraag sada hai bolta,

Jalti pighalti andhere mein roshni karti,
Dekh Teri ye kismat dukh mujhe hai hota,

Nahi sochti apne liye mit ti sabke liye,
Dekh Teri ye kurbani man mera hai rota,

Mitaati haste haste apni is hasti ko tu,
Mita ke tujhe ye zamana chen se hai sota,

Tu to khoti hai apni ye zindagi saari yaha,
Bhula kar tujhe ye sansaar kya hai khota"



एक स्पेलिंग मिस्टेक की वजह से एक किताब की 10 लाख कॉपी दो दिन में ही बिक गईं।

 दरअसल, ये गलती उस किताब के टाइटल में हो गई थी।

 किताब का नाम था-
'एक आइडिया जो आपकी Life बदल दे'

और गलती से हो गया-
'एक आइडिया जो आपकी 'Wife बदल दे'
😄😄😄😄😄😄😄😄😄

Saturday, 31 October 2015

nafarat ki aag.....

"Nafarat ki aag mein aaj ye jal raha insaan hai,

Baha rakt nirdosho ka ye duniya desh mahan hai,


Jaati-dharm se naata jinka iska hi ye parinam hai,

Dwand ki is agni mein duniya bani shamshan hai,


Behte ashko ki peeda na puchhe koi ab to yaha,

Rote-bilakhte mazloomo ka hi ab to ye zahan hai,


Mar chuki insaaniyat yaha chhayi to shetaniat hai,

Hridayhin is duniya ka aaj devta hi bana shetan hai,


Kabhi zindagi bhi mahakti thi yaha gulshan mein,

Aaj dikhte nahi yaha aise kahi wo nishaan hai, 


Lut rahi khushi kahi to lut rahi yaha insaaniyat hai,

Lutera in bebasi ka wo shakhs kya yaha nadan hai,


Feli har taraf ye cheetkar behti rakt nadiyo ki dhaar,

Har taraf ashruon ka fela pada yaha ye saaman hai,


Maar kar aaj apno ko kaise fakra karta khada hai jo,

Kuchal dharaa ko perro tale muskura raha insan hai,

Nafarat ki aag..............."

aaj hi ka din hai jab tum-kavta

Archu
"aaj hi ka din hai jab tanha tum kar gaye the,
aaj hi ka din hai jab akela tum kar gaye the,
roti bilakhti din-raat tadapti tumhare intzar mein,
aaj hi ka din hai jab dil tum mera tod gaye the,
aaj hi ka din hai jab tum dur mujhse ho gaye the,
aaj hi ka din hai jab tum khwab mera tod gaye the,
khushi ki ik hasrat hi to maine tumse bas ki thi,
aaj hi ka din hai jab tum rula kahi chale gaye the"