Friday, 27 November 2015

jaati-dharm ke naam-kavita

"Jaati-dharm ke naam par ye fela kaisa vivaad  hai,
Chahu or bikhara mazab ke naam aaj atankwad hai,

Ho rahi hinsaa har taraf ro rahaa ye aaj insaan hai,
Duniya ki hinsaa mein shahar huye  shamshan hai,

Dehsat bhari duniya mein aatank ko hi samman hai,
Ashko ki duniya mein insaniyat ka na koi nishan hai,

Hathiyaro se khushi dhundta shakhs nawo nadan hai,
Dekh inhe roti dharaa wo rab bhi  aaj bada herana hai 

Har taraf bikhare yaha lasho ke dher gam hi abaad hai,
Vibhajan bhari is duniya mein dard hi aaj zindabad hai,

Jaati-dharm ke naam par ye felaa kaisa vivaad  hai,
Chahu or bikhra mazhab ke naam aaj atankwad hai-2"

Wednesday, 25 November 2015

haathon mein jaam-kavita

"Haathon mein jaam hai,
Kya ye hasin shaam hai,
Baithe hai yaad mein teri,
Us bewafa ka dil gulam hai,

Tere bina jeena mera haram hai,
Tere bina na mera koi naam hai,
Dubi hu mohabbat mein teri aisa,
Mujhpe duniya ka ye ilzaam hai,

Uski nazar mein mohabbat ka ek daam hai,
Uski nazar mein mohabbat to bas aam hai,
Roz milte hain yaha usse uspe marne wale,
Uski nazar mein dil todna ishk ka inam hai,

Uske liye hi hoti meri subah aur shaam  hai,
Uske bina jeena ab to  ye  mera  haram  hai,
WO mujhe chaahe ya   na chahe marzi  uski,
Uski yaadon mein khona hi mera kaam hai"

Tuesday, 24 November 2015

neta saare

"Kar shararat oochi oochi ithlaate neta saare,
Dekh imaarat unchi-unchi itraate neta  saare,

Kyon bebas tadapti bhid unhe nahi dikhti hai,
Mehgai ki maar dekh muskurate neta hamare,

 karti aatm hatya ye janta unhe nahi dikhti hai,
Nirdosho mazlumo ki maut pe haste neta saare,

Bhukhi-pyaasi janta unhe kaise hasin  lagti hain,
Behte in ashko pe muskutate hai neta hamare,

Do wakt ki roti ki khaatir kitno ki asmat lutti hai,
Sun kar unki ye chitkar haste hain neta saare,

Ye rahte mehlo mein garib ki jhopdi na dikhti hai,
Tod aashiyana garib ka ithlaate hain neta saare,

Kitni ummidon se ye janta unko to bas chunti hai,
Kar bewafai sabhi se ithraate ye hain neta saare,

Aur gaddar na dekhe kabhi  Bharat mahan mein,
Archu kahe unhe dekh kar ye hai mere neta pyaare"

Monday, 23 November 2015

ishwar vaani-111

Ishwar kahte hain "Jo vyakti kisi se ghrana karte hain, upekshha karte hain, WO shaakshat meri upekahha karte hain, mujhse ghrana karte hain, kyonki sampoorn shrishti evam sampoorn jeev aatma ka janm data main hoon,

Maine is sampurn brahmand mein kuch bhi atirikt evam anavashyak nahi banaya hai, apni apni sabki upyogita hai,

Isliye hey manushyon kisi se kisi bhi jeev se na ghrana karo na hey drishti se na dekho, Jo vyakti aisa karta hai wo meri kripa khota hai"

Thursday, 19 November 2015

aata hai ye vichar-kavita

"Mere mann mein aata hai  ek    vichaar,
Dekh duniya mein itnaa ye   vyabhichar,

Kyon na kanooni ho jaaye bhrashtachar,
Purashkrat ho WO Jo karte hai atyachar,

Saza mile usse Jo dikhaye shishtachaar,
Jail jaye shakhs jo darshaaye   sadachar,

Unche ohade mile usse kare     anaachaar,
Unche samman payeJo kare     duraachar,

Mot mile use jo darshaye uch achar-vichar,
Tabi uncha uthega desh jab gunjegi chitkar,

Garib ashaayon ki hogi chahu oor   hahakar,
Na suni hai na sunega unki koi fir    pukaar,

Ram nahi Rawan ka hi dikhega yaha    darbar,
lazzit ise ho shayad jan-jan me laute sanskar,

Mita ke apni har burai fele fir yaha sadachar,
Aata hai man me mere Bharat ke liye ye vichar-3"

Wednesday, 18 November 2015

har khushi mil gayi hai-kavita

"Tumhe kya bataye kitna chahte hain tumko
Apni har khush mein bas paate hain  tumko,
Kaise toot kar bikharte hain ham zamin  par,
Kya tumhe bataye dilme basate hain tumko,


Meri khushi ka sahaara  tumhi   ho,
Meri Is zindagi ka aasra  tumhi   ho,
Nahi guzarta ek lamha bhi ab mera,
Meri khwaaisho ka kinara tumhi ho,

Tum bin hamari ye tanha thi zinadagi,
Tum bin hamare na dilme thi bandagi,
Suni si in raho pe akele raahi the ham,
Tum bin hamare  na koi thi bulandagi,

Tum Jo mile ho har khushi  mil   gayi  hai,
Kho chuki in labon pe hasi  mil   gayi   hai,
Jo akele mein rote the din  aur  raat   ham,
Tum jo mile ho har madhoshi mil gayi  hai



Tumhe kya bataye kitna chahte hain tumko
Apni har khush mein bas paate hain  tumko,
Kaise toot kar bikharte hain ham zamin  par,
Kya tumhe bataye dilme basate hain tumko"

Tuesday, 17 November 2015

ek lekh-shoshankari tyohaar

Mere mann mein bahut baar ye baat uthti hai ki hamare samaj mein jitne bhi tyohar hai lagbhag kaafi saare purush pradhan hai aur jinhe streeya bade hi chaaw se manati hai, yaha in tyoharo ka naam le kar unki manyta ko thess pahuchane ka uddeshya mera nahi hai par hint kaafi hoga batane ke liye,

Jane kab se mahilaye pursho ke liye kabhi patni ban vrat upwaas rakhti taki unki umar lambi ho aur WO jeete Ji suhagin rahe, kabhi bhai ke liye bhooki pyaasi rah puja karti hai taaki bhai ki aayu lambi ho aur WO uski raksha kare to kabhi putra ke liye mahilaye vrat upwas karti hai taaki unki aayu lambi ho,

Jaane kisne ye parampra banayi aur kabse mahilaaye isse manati as rahi hai WO bhi khushi khushi, par sawal ye hai mahilao ke liye koi tyohar kyu nahi bana aaj tak ya hua aaj tak, Jo aalochak hai mere vichaaro ke WO kahenge aakhir navtatri hai na mahilao ke liye par usme chhoti bschhiyo ka pujan apne swaarth sidhhi hetu log karte hai na unki lambi aayu aadi ke liye saath hi ek ms ek bahan ek patni ki lambi aayu aadi ke liye purush dwara koi anushthan wala koi tyohar nahi hai,

Agar dekha jaaye to iske peeche sadiyo pahle ki purush pradhan soch aur un par nirbharta rahi hai, jise dharm aur aastha ka naam le kar streeyo ko moorkh bana tyohar ya utsav ka roop de diya gaya, aur vidambna dekhiye aaj ki aadhunik aur padi likhi mahilaaye bhi is shoshankari riwazon ko khushi khushi aage bada ek nayi dabi kuchli peedi taiyaar kar rahi hai, aur is prakar ye sadiyo purani parsmpara aage bad rahi hai,

Par Jo bhi ho, bhale aaj ki naari har kaarya mein shashakt ho par in riwazo dwara wo nari ko 21vi sadi mein bhi peeche thakel rahi hai, mujhe lagta hai ab in tyoharo ka purana uddeshya tyaag kewal ek saath khushi manane ka uddeshya yaad rakhna chahiye tabhi shayad nari jaati ka paaramparik shoshan kam ho sakega aur samaj ko naya sandesh milega kyu ki is rudiwadi samaj se shoshankari tyohar to ruk nahi sakte, kam se kam shoshankari tatva kam ho sake ..