Friday 10 August 2012

Shri Krishna Janmashtmi

"kirno ko suraj pyara, chandni ko chanda pyara, phoolon ko bhavra pyara, aur hme h apne krishna kanheya ka janm din pyara"

*******aap****** sabhi******ko****** kanheya******k****** janm******din******ki dhheroo******shubkmna******








 "hum rahe na rahe ye fiza ye hawa sda rhegi,hum kabhi saath ho na ho par ye dhoop ye chhaaw ye din ye sitaron se saji raat sda rhegi, kal hum shri krishna jamashtmi pe duniya me ho na ho par isko manane walo k dilo me shradha sda rhegi...."

Thursday 9 August 2012

Jo dil me h baat wo hm kehna chahte h

Jo dil me h baat wo hm kehna chahte h, jo h jazbaat armano se bhare wo batana chahte h, tanha h jo zindagi aaj hmari usse aabaad krna chahte h, toot kr jo bikhar gaye the sapne hmare unhe fir se dekh kr pura krna chahte h, jo chhod chuke the jivan ki aasha haalat se majbur ho kr, aaj halat ko majbur kr hm jina chahte h, jo dil me h baat wo hm kahna chahte h..

bhoole sari baate aur bhoole wo purane rishte....


kabhi zindagi sang tere guzarni chahi, kabhi khushi tere sang  bantni chahi, tha kabhi saath bhale tha wo kuch pal ka, par uss kuch pal mein hi humne apne ye zindagi gujaarni chahi


aaj waqt badla, haalat badle, haalat k saath tum badle, kabhi dhheron arman dilon mein rahte the tumhare jab tum mere saath hote the, aaj badlte waqt aur halat k saath tum bhi aise badle bhoole sari baate aur bhoole wo purane rishte


chhod mujhe akela jana yu to aadat thi tumhari, par laut kar wapas aana ye adaa mujhe bahut lagti thi pyaari, tere jaane k baad laut aane ka hum to fir jane kabse intzaar karte rahe par jaise waqt badla haalat badle tum bhi aise badle, bhoole purani baatein aur wo purane rishte,



kabhi zindagi sang tere guzarni chahi, kabhi khushi tere sang  bantni chahi, tha kabhi saath bhale tha wo kuch pal ka, par uss kuch pal mein hi humne apne ye zindagi gujaarni chahi



jane q mujhse tum door hote gaye, hum to tum pe marte rahe aur tum humse roothe rahe, hui thi koi khata agr mujhse kabhi, to tumne bhi ki thi dil todne ki thi khata kahi, dete ho saza mujhe meri kisi galti par, to dekho jara khud ko, tum bhi to ho ek mulzim meri tarah yaha par,



jo de rahe ho mujhe tum askho ka tohfa, tum bhi ho hakdaar iske q ki tumne bhi har baar bewazah mera hai ye dil toda, 


na tumne samjhna chaha aur na humne samjhana chaha, sochte the hum tum samajhdar ho, tum karte jo humse pyaar beshumaar ho par jaise waqt badla haalat badle tum bhi aise badle, bhoole purani baatein aur wo purane rishte,



kabhi zindagi sang tere guzarni chahi, kabhi khushi tere sang  bantni chahi, tha kabhi saath bhale tha wo kuch pal ka, par uss kuch pal mein hi humne apne ye zindagi gujaarni chahi


--
Thanks & Regards

Archana Mishra

Tuesday 7 August 2012

beete huye pal

aksar yad aate hai nam aankhon se wo beete huye pal, wo subah ka milna, wo shaam saath gujarna, wo ghanto phone pe baate, aur wo hmare ghar walo ka dantna, fikra na thi jamane ki q ki saath jo tumhara tha, har khwaab muje sach lagta tha q mujhe vishwas jo tumhara tha, pta nhi kya aisa hua, q tumne muhh fer liya, kabi saath rahte the, sukh dukh me ek saath hote the, par sab kuch bhula kar tumne sirf apne liye jine ka faisla liya aur mujhe akela chhod diya, q ek waqt aisa bhi aata jo jitne karib hota hai utna dur chala jata hai, nam aankhon se muje wo beeta hua kal bahut yad aata hai...... dese lynz only 4 my vry close and vry dearest and nearest friends, dose hve no tym 4 me jst lyk b4, v njoyd dat momets a lott.. mis u frds and mis dat moments..

Monday 6 August 2012

jaise patthe girte hain patjhad mein..

patjhad me jaise ped se girte hai patte waise hi gin gin meri khushiya mujhse dur gayi, ek sukhe huye ped jaisi halat meri yaha hui, kabi baag me khile huye phoolon jaisee khushiya thi mere aangan me, aaj tehni se toot dur kahi kone murjhaye phoolon c kahani  hai mere jeevan ki, dosh du to kise du apni bagiya ujaadne ka, maine hi shayad na sambhali maali ban kr apni ye chhoti c khile phoolo jaise apni khushiyo bhari bagiya, apni armano se  bhari ye chhoti c  duniya..

kitni jaldi waqt guzar jata hai....

kitni jaldi waqt guzar jata hai, har koi mere karib aa kr mujhse dur chala jata hai, kahne wale kahte hai wo badnasib hain jo mujhse dur chale jate hain, par mujhe lagta hai nasiba hi mera aisa hai jisme pal do pal ka saath fir juda hona jo likha hota hai..

hm laut kr bas abhi aate hain.........

din beete, mahine beete, beet gaye saalon saal, hm wahi khade reh kar unke laut k aane ka rasta dekhte rahe jaha chhod kr unhone mujse kaha tha thehro yaha hm laut kr bas abhi aate hain.........