Friday 5 April 2013

jisse pyar hum krte h wo to dil me humare rhte h


jisse pyar hum krte h wo to dil me humare rhte h, duniya ki nazro me ya khud ki nazro me wo bhle dur chale jaye hmse, par fir bhi dil ki gehraiyo me hmesha wohi rhte h, fir btaye  wo  bhala hmse kaise dur rhte h....

Thursday 4 April 2013

sirf do baate karne se dost nhi ban jaata

sirf do baate karne se dost nhi ban jaata, kuch door saath chalne se koi saathi nahi ban jaata, milte hain bahut aise kuch dur tak saath chalne wale, par kuch dur saath chalne se koi hamsafar nahi ban jaata

Ishwar Vaani-24 **Ishwar kewal jeevit vayktiyon ke hote hain**

Kisi ne puchha Ishwar se ki Prabhu kya Ishwar kewal jeevit vayktiyon ke hote hain arthaat kewal jeevit vayakti hi unhe poojta hai ya Mrit vyaktiyon ke bhi utne hi poojniye hote hain jitne ki jeevit vayaktiyon ke liye??


Ishwar ne kaha: Ishwar kewal jeevit praaniyon ke liye hain arthaat kewal unhi ke udhhaar ke liye hain, Mrit vyakti athwaa praani se unka koi sarokaar hi nahi hai kyon ki Ishwar ki nazar mein koi bhi praani Mrityu nahi paata. Ishwar kahte hain kewal shareer chhodna marityu nahi hoti, jo tumhe mrit lagta hai wo mere paas hota hai kintu jo tumhare paas shashareer hota hai wo bhi mere kareeb hota hai, isliye meri nazar mein koi nahi marta, aur isliye Ishwar Mrit praaniyon ke nahi apitu kewal jeevit vyaktiyon ke hain....

Tuesday 2 April 2013

Ishwar Vaani: Bali Pratha-23

humne Ishwar se puchha ki prabhu aap to sadaa Hinsa ke khilaaf rahe ho lekin fir bhi kahi kahi humne suna hai ki log aapko prasann karne hetu nirdosh praaniyon ki Bali dete hain, Prabhu kya aapne hi aisa unhe karne ko kaha hai, Prabhu kya aap isse prasann hote hain?? Ishwar ne kaha,


Desh/kaal/pristithiyon ke anuroop jo ghatnaaye ghati ye sab unn par nirbhar karta hai, kintu maine kisi bhi prakaar ki Hinsa avam kisi nirdosh ki mujhe prasann karne hetu Hatya jisse Bali ka naam logo dwaara diya gaya uska samarthan nahi kiya,


Ishwar kahte hain jo log aisa karte hain wo mera naam le kar kewal apne jeebh ke swaad hetu hi aisa karte hain avam unn logon ke poorvajon ne ye pratha chalaai kyon ki jab wo pratha chali tab waha shaakahaar ka abhaav tha, aur log apni bhookh shaant karne hetu maasahaar ko khaate the kintu waha inn praaniyon ki dasha bahut hi dayneeye thi, jinhe waha ke log kha kar apni bhookh shaant karte the waha inn nirdosh pashuon ki dasha behad kharab thi, to aise main Ishwar ne inn pashuo ki mukti hetu avam aise pashuo ko poojniye banane hetu hi leela ki, Ishwar kahte hain ki unn logo ki Bhogolik stithi aisee thi ki wo shaakahar ko apna hi nahi sakte the kintu iske saath anya praaniyon ki dasha avashya wo bad se badtar karte ja rahe the, Ishwar kahte hain unhi ko moksh dene hetu hi unhone aisi leela ki,


Ishwar kahte hain ki wo Hinsa ke khilaaf hain aur jaha kahi bhi bhogolik sitithi shaakahaar ko mahatva deti hai waha waha poorn roop se maasahaar ka tyaag karna chaahiye, apne dhaarkik riwaaz ka vaasta de kar iss pratha ko unhe aage nhi chalana chahiye apitu turant hi khatm kar dena chaahiye aur jo log aisa nahi karte wo Ishwariya Kripa ke paatra nahi bante kyon ki aise log Ishwar ko aage kar ke kewal apne Jeebh ka swaad dekhte hain, aur aisa karne wale sirf apne vishya mein sochte hain avam bhashya mein Ishwariya Krodh ka paatra ban kar dukh bhogte hain..

Ishwar Vaani, Ishwariya Kripa-22

Ishwar kahte hain yadi hum kisi par naaraz ho kar galat shabd yadi uske liye nikaalte hain athwa aisa vyavhaar uske saath karte hain jisse usse dukh ho, Ishwar kahte hain aisa hum isliye karte hain kyon ki humare mann ke andar wo baate pahle se hi maujood thi kintu humari naarajgi to bas ek bahaana ban gayi unn baaton ko baahar nikaalne ka.


Ishwar kahte hain yadi hum kisi ke liye bura bolte hain to khud hi apni Vaani se Ashudhh ho jaate hain, hum apni buri Vaani se itne Ashudhh ho jaate hain ki koi bhi pavitra teerth  ja kar bhi hum pavitra nhi hote, kintu yadi humne kisi ke liye bura kaha hai krodhvash kintu baad mein yadi hume apne krodh pe pachhtawa hai aur apne uss anuchit vayvhaar par bhi to hume uss shakhs se shhama maang leni chaahiye, hume uss shakhs ke bure vyavhaar fir bura nahi maanna chaahiye apitu sachhe dil se prayshchit ki bhaavna le kar shhama maangni chaahiye, yadi hum sachhe dil se prayshchit karenge aur uss shakhs se shhama maangege to hume swaam Ishwar Shham karenge.


   Ishwar kahte hain yadi humne krodhvash kisi ke liye kuch bura kaha kintu baad mein apni galti ka ahsaas hua aur nihswaarth bhaav se uss shakhs se shham maangna aur jhukna hume ye batata hai ki ab humara mann uss shakhs se liye Pak ho chuka hai, kintu yadi hum kisi ke saath bura vavhaar kar ke bhi shhama nahi maangte, koi dil mein praayshchit ki bhaavna nahi laate to iska abhipraaye humare dil mein abhi aur bhi burai chhipi hai, 

    Ishwar kahte hain jiske dil mein burai chhipi hai wo unki kripa ka paatra kabhi nahi ban sakta, kintu jo vayakti apne paapo ke praayshchit hetu doosre ko dukh pahuchaane wale dwaara bina shikaayat uska bura aacharan bhi khushi khushi sahan karta hai aisa vayakti Ishwariya Kripa ka paatra banta hai..

Ishwar Vaani:moorkh manushy:-21

ISHWAR VAANI: ishwar kehte h hme sadaa murkh aur agyani manushyo ko shhama krna chahiye.

  Humne puchha Ishwar se ki Prabhu moorkh manushya kise kahte hain aur agyaani kise to unhone bataya:   Ishwar kahte hain (agyaani manushya ke vishya mein ) jis manushya ki samay/paristithi ke anuroop vyavhaar vishesh/aacharan vishesh/ boli athwa bhasha vishesh/samajh vishesh ka gyaan na ho wo agyaani hai, Ishwar kahte hain ki ek agyaani manushya sadaa gyaan ki khoj mein laga rahta hai, aur jab bhi wo kisi gyaani ke sampark mein aata hai to usse nimnlikhit baate seekh kar vyavhaarik jeevan mein apnaata hai  jiske kaaran wo bhavishya mein agyaani nahi rah jaata, Ishwar kahte hain ek agyaani manushya sadaa agyaani nahi rahta samay aur paristithiyon ke saath avam shreshth gyaani manushya ka saadhya pa kar ek uchha koti ka gyaani manushya ban Ishwariya kripa ka paatra banta hai,Ishwar kahte hain ek agyaani manushya uss baalak ke samaan hain jo vidhyaalay mein shiksha prapt karne aaya hai, jab wo shiksha prapt karne aaya to usse kisi bhi vishya ka koi gyaan nahi tha kintu jaise hi shikshak ne usse gyaan dena shuru kiya usne usse turan seekh liya aur apne jeevan mein apnaane laga, aur bhavishya mein wo uss jagah khada hua jahan kabhi uska shikshak hua karta tha aur wahh doosre agyaani baalakon ko shikhsa dene laga.


Ishwar kahte hain (Moorkh manushya ke vishya mein) ek moorkh manushya sadaa apne mann ki chaalata hai, wo chaahe jitne bhi gyaani guruon ke saath rahe, kitnaa bhi gyaan prapt kare kintu wo uss gyaan ko apne vyavhaarik jeevan mein apnaata nahi hai aur sadaa wo hi kaaraya karta hai jo usse athwa uske mann ko sukoon dete hain, aise manushya gyaan prapt karne ke laalayit bhi nahi hote, ye aise baalak ke samaan hote hain jo shikhsa prapt karne ke liye vidhyaalay to aaya kintu shikshak ki baaton ko na to usne theek se suna aur jeevan mein apnaaya, aise manushya sadaa wahi rah jaate hain jahan se unke jeevan ki shuruaat hoti hai.Ishwar kahte hain Moorkh aur Agyaani manushya sadaa shhama ke paatra hote hain,humne puchha wo kaise? to unhone bataya..Ishwar kahte hain moorkh manushya ko gyaan hi nahi hai na wo gyaan lena chaahata ki sahi aur galat ka,wo khud ho sarvshretha samajh kar kaarya karta hai, uske apne karm aur uska apna moorkhtavash kiya vyavhaar aur aacharan tathaa uska ahankaar hi dukh ka kaaran banta hai athwa inke kaaran hi dukh bhogta hai, isliye moorkh manushya par krodh ya dand dene ki apeksha usse shham kar dena hi uchit hota haiapne puchha prabhu aur agyaani manushya ko kyon shham kiya jaaye? Ishwar kahne lage,agyaani vyakti agyaantavash kaarya karta hai, kintu wo sadaa gyaan prapti ki khoj mein athwa gyaan prapt karne ke liye sadaa laalayit rahta hai, aise mein yadi ek agyaani manushya ko agyaantavash koi bura aachran karta hai kintu jab usse apne bure aacharan ka bodh hota hai tab wah apne kaaraya ke liye na sirf pachhatata hai apitu apne kaaray athwa aise vayavhaar ke liye sadaa prayshchit ke liye tatpar rahta hai, Ishwar kahte hain aise manushya isliye shham ke adhikaari hote hain kyon ki inhe apne uss vyavhaar ka uchit gyaan nahi tha kintu jab hua tab ye khud hi apne ko dandit karne lagte hain aur shham ke paatra bante hain.





  • Thanks & Regards


            Archu

Monday 1 April 2013

hum to rhenge sirf tumhare..



Hum ye to nhi kehte tumse ki umar bhar tumhara intezaar krenge, lekin itna waada karte h tumse ki umar bhar sirf tumko hi chahenge tumhi se pyar krenge, bhale zindagi ki har seedi ke saath din mahine aur mausam badle, hum ye to nhi khte ki waqt k saath na badlenge ye nazaare, par karte h waada tumse dur tumhare jane par bhi, ruth tumhare jane par bhi, nazare tumhari churane par bhi saanso k apni rukne tak hum to rhenge sirf tumhare..