Saturday 24 October 2015

muktak-ek masoom si kali

'ek maasoom si   kali ho  tum,
mujhse kabhi na  mili ho  tum,
samai par ho mann  mein aise,
banke pushp dilme khili ho tum"

Friday 23 October 2015

dhokhe hazar hain-rachna

"Mohabbat ki mehfil mein dhokhe hazar  hai,
Dur talak dikhne par ye lagti kitni gulzar  hai,

Ishk ki chahat liye har dil kaise  tadaptaa  hai,
Mohabbat ke liye aaj saje jismo ke bazar  hai,

Mohabbat   ke to aaj saudagar hai  beshumar,
Sachhi chahat ki aaj ye dekh bani mazar   hai,

Ishk ke naam  par aaj jismo ke hai  karkhaane,
Kisi ko marne ka ishk ab ek behtarin auzar hai,

Mohabbat   ki mehfil  mein dhokhe   hazaar  hai,
Dur talak dikhne par ye lagti kitni gulzaar hai,-2"

Thursday 22 October 2015

na jaane kis soch mein hain ham-kavita

"Na jaane kis soch mein baithe hain ham,
Kabhi haste to kabhi rote hain ham,

Kabhi rahte gumsum se to kabhi kahte hai ham,
Kabhi kuch kahte kabhi kahte rukte hain,

Kya ye unse rishta pyar kaYehi soch badbadate hai,
Chalte huye sochte hai Kahi dur na nikal aaye ham,

Wakt aur rasto ka na pata hai kuch,
anjan in rasto par bahak na jaye ham,

Har kisi ko bhula sabse nszar chura
 kis oor bada rahe hain apne kadam,

Sath unka pa hu har kisi se bekhabar
Bhula apni manzil pe bad rahe hain ham,

Na Jaane kis soch mein baithe hain ham,
Kabhi haste kabhi rote hain ham-3"



Wednesday 21 October 2015

ishwar vaani-108, manushya kya ishwar se bada hai? ek sawal..

Ishwar kahte hain "hey manushyon jis prakar main praniyon mein bhed nahi karta, sabko saman prem aur samman deta hoon tum kyon karte ho,

Hey manushyon kya tum mujhse bhi samajhdar aur vayask ho Jo aisa vyavhaar na sirf praniyo apitu apni manav jaati evam apne hi ghar mein bhi karte ho,

Hey manushyo jaise mere grah Jo tumne apni aastha anusaar banwaye, waha tumhare atirikt vibhinn jeev jaise machhar, chhikali, kukoor aadi jeev aa jaate hai kintu main ghrina nahi karta kyonki main janta hoon ye meri hi santaan hai, maine hi unhe janm diya, to bhala apni hi santaan ke saath kaisa bhed bhaaw,

Kintu hey manushyo tum na sirf meri banayi har rachna chahe prani jaati ho ya prakati usme bhed bhaaw evam uska shoshan karte ho, yaha tak ki apne hi pariwaar mein stree-purush mein bhed karte ho, tumhari aisi pravatti manviye nahi hai, yadhhapi tum jaise na dikhne bolne walon ki pravatti tumse shresht hai, WO bhed-bhaaw rahit jeevan jeete hain,

Hey maanavon apni pravtti par ankush lagao, in bhed-bhaaw ke jeevan shely ka ant kar sabhi pradiyo se prem karo, yadi tumne kisi bhi jeev ko kasht diya to WO kasht mujhe milta hai ye jaan lo, tum meri rachna ka uphaas aur upeksha nahi kar sakte, yadi apna vartman vyavhar tumne na sudhara to nishchit hi main manav jaati ka sanhaar karne sheeghra upastith hona jiska uttardayi manav swam hoga"

Apka kalyan ho

Sadguru shri Archana Ji ki ishwar vaani





ishwar vaani-107, sachhe guru ke lakshan

Ishwar kahte hain "priye bhakton yadhhapi aap sabhi ne prithvi lok par apni apni vichardhara ke anusaar guru banaye honge, unka maan samman mere tulya hi karte honge, unki baat brham vaakya maan unke aadesh ka palan karte hone, unki katha aur pravachan sunte honge, ye achhi baat hai, kintu aaj main tumhe batane ja raha hoon ki guru ki kaun kaun si baat hain Jo apko nahi manni chahiye aur kyon.

Aksar guru kahte sune jaate hain Maya ka tyaag karo, bahut se to kahte hain apni dhan-sampatti mujhe do, taki aashram vasiyo ka palan poshan ho sake,

Kintu bhakto aisa kadapi na kare, kaaran main batata hoon, yadi guru sachha saint hai to usse is maya aur dhan-dampatti ki kya aavshyakta, usse daan ye yadi tum doge to tum bhi paap ke bhaagi banoge aur WO bhi, kyon?? Kyonki tum ye sab de kar usse moh Maya mein uljha rahe ho jabki WO iska tyaag kar chuka hai, iske saath hi wo is daan ko sweekar karta hai to wo paap ka bhaagi hota hai, saath hi ye uske paakhand ka pramaan bhi hai, ek sachha saint tumhe maya tyagne ki baat avashya kahega kintu kisi bhi roop mei tumse bhi na lega,

Maya tyagne ka asal abhipraaye jitni tumhari saamarth hai, jitna tum apne guru ko daan dene ki ichha rakhte ho, utna daan jaruratmand insan, pashu-pakshi ki sewa aur bhalai mein lagao, aur Jo guru aashram ke vasiyo ke liye dhan mangte hain, bhoomi aadi kuch bhi mangte hai, mat do, karan aisa karne se unme aalasya, dharm ke naam par thagi, aur maya dosh lagega aur tum bhi barabar ke bhaagi hoge,

Isliye jo aashram karmi sharirik roop se swasthya hai, wo prachin bhiksha vidhi, guru shishya parampara anusaar guru dakshina mein kuch dhan arjit kar sakte hain jintu utna hi guru dakshina mein le sakte hai Jo uchit ho aur jiska moolya ameer-gareeb mein bhed na karta ho,

Aisa saadhak hi sachha guru hai, anyatha pakhandi"


Aapka kalyaan ho

Sadguru Archana Ji ki ishwar vaani






Monday 19 October 2015

ishwar vaani-106, sadguru shri Archana ji ki ishwar vaani- yug kya hai..

Ishwar kahte hain "yadhhpi tum sabhi ne yug pratha ke vishay mein sun rakha hai  pratham yug Satyug dwitiye Treta tratiye Dwapar chaturth Vartman yani ki kaliyug,


Aksar vibhinn dharnao ke log manavo ko bhramit karne hetu ye kahte jaate hain 'kaliyug jaane wala hai satyug aane wala hai, kintu unhe yug vaastav mein hota kya hai ye nahi pata


Yug koi devta ya shetan nahi hai jiske aane jaane se achha ya bura hoga, vaastav mein ye shrasti ki avasthaaye hai jaise ek vyakti ki chaar avasthaaye mukhya hai-sheshvastha, balyavastha, prodavastha, vradhhavastha, iske baad uske bhautik shareer ka ant aur aatma ek nayi kaya aur naye kaarya hetu chali jaati hai,

Usi prakar hai yug pratha Jo shrashti ki chaar avasthaye hain, Satyug hai sheshav avastha, us kaal ke log ek shishu ki bhati nihswarth aur pavitra hote the, saatvik hote the, samast buraiyo se dur unka mann ek shishu ki bhaati sachha pak aur paawan hota tha,

Fir aaya Treta yug, yaani ki yug ka balyakal, ek balak ki bhaati us samay kuch kuch swaarth to kuch kuch bholapan ek shishu ki bhaati raha, is yug mein shetaan balak ki bhaati kuch manushyo ka vyavhaar raha jise raakshhash ki Santa di gyi,

Fir aaya Dwaapar yug athwa prod yug, is yug ke maanavo ka vyavhaar prodon ke saman swarthy tha, chori, jhooth, fareb, streeyon evam bujurgon ka apman, satta aur shakti ke liye apno ka rakt bahana, is prakar ka vyavhaar us yug mein manav ka raha,

Fir aaya vartman kaliyug, ye ek vradhh yug hai, is yug mein maanav ki budhhi bradht evam bujurgo jaisi hogi, paap aur swaarth apne charam par hoga, apne bheetar sabhi yugo ka anubhav isse hoga kintu umar ke is padaaw ke kaaran sahi aur galat mein bhed na kar payega, aur is tarah nishchit samay baat mritu ko prapt hoga, jiske falswaroop samast brahmand nasht hoga, jeev nasht honge kintu is yug mein bhi satyug jaisi soch aur kaarya karne wale log hi jeevit bachenge aur shashreer ishwar ke paas jaynge aur fir se is yug pratha mein sarvprtham janm lenge"

Apka kalyaan ho









Friday 16 October 2015

mera naam dil-geet

"Tera naam kya ,mera naam dil,tera naam kyamera naam dil,
Tera kaam kya,Mohabbat hai mera kaam,Suna hoga premiyo se naam,
Tera kaam kya,Mohabbat hai mera kaam,Suna hoga premiyo se naam,
Tera naam kya?Dhadkan hai mera naam,
Tera naam kya?dhadkan hai mera naam,
Tera kya kaam,Dilme rahna mera kaam,Bin dhadkan dil to hai beman,
Tera kya kaam,Dilme rahna mera kaam,bin dhadkan dil to hai beman,
Sun haan sun,dil tu to jara sun,
Kyo aksar tu kho jata hai,Tera sauda ishq mein kyon ho jata hai,
Rahta hai tu kisi ke seene mein,Fir kaise premiyo ke paas chala jata hai,

Ae meri dhadkan sun,Mujhme basne wali tu bhi ye sun,
Hoon main mohabbat mein badnaam,Bin mere aashiq ka kya hai kaam,
Aakhon se utar karMohabbat mujh take aati hai,
Pahle milte hain nena,Aankhon aankhon mein baat ho jati hai,Dil mein basti hai soorat sanam ki,Dhadkan to hoti hai seene mein,Aashiq usi se ho jaati hai,
Do nena sanam ke mujhe chura le jaate hai,Rahe chaahe dur jitna WO sajan se,Har taraf usse hi to wo paate hain,
Sun dhadkan ye hai mera kaam,Isliye hoon main to badnaam,
Sun dhadkan sun,Haan sun dhadkan sun,
Rahti hai tu mujhme par hai tera kya kasm,Oo kya hai tera kaam,
Sun dil deewane meri bhi tu sun,Haan sun dil deewane meri bhi tu sun
Chala jaata hai tu premiyo ke sang,Par bin mere bekar hai shareer ka tu ang
Dil ka sauda karte hai premi,Par dhadkano par tasvir uski lagate hai,Muh se kuch na bole WO par,Dhadkano se hi pukarte hai uska naam,
Ae sun dil deewane jaan le tu bhi mera ye kaam,Bin mere tu kuch bhi nahi hai,Jo main nahi to dil ho ke bhi nahi hai,Hoon main khaas kitni ye tu bhi le ab man,

Oo tera naam kya,mera naam dil,
Tera naam kya,Dhadkan hai mera naam,
Tera naam kya,Mera naam dil
Tera naam kya,Dhadkan hai mera naam"