Sunday 6 December 2015

mit raha aaj insaan hai

"Dharm ke naam par mit raha aaj insaan hai,
Fela kar dehsat har taraf bik raha insaan hai,
Khatm ho gayi manavta kho chuki insaniyat,
Adharm ki ye ibaadat likh raha aaj insaan hai,

Bebas aur mazlumo ko maar raha aaj insaan hai,
Baha lahu nirdosho ka kya fitrat uski mahan hai,
Nahi sunta cheekh pukar mazlumo ki ye cheetkar,
Apne swaarth ke liye bana raha jag shamshan hai,

Baat chuki usne dharti saari baat raha aasmaan hai,
Baat diya insaan ko usne ab baat raha bhagwaan hai,
Hindu-muslim karte karte dekho ham aaj bhi ladate,
Nafrat ki is aagse nit roz ban rahe Bharat-Pakistan hai-2"

Bharat ko jaati dharm k naam se baatne walo k naam meri chand lines:

Bharat ko jaati dharm k naam se baatne walo k naam meri chand lines:
'sabse pahle main insaan hoon, Hindustan ki main shaan hoon,
na puchhna tum jati dharm mera,
is dharaa ka main samman hoon..'

Saturday 5 December 2015

bhartiye samaj me nari ki sthiti-ek lekh

"Maine Amar Ujala akhbar me ek lekh pada tha jisme likha tha logo ki dharna h: gaaye abhagi ki marti h aur patni aur beti saubhagyashali ki, maine bhi apni ma ke muh se suna hai beti bhagyashali ki marti h,

Kitni vichtra vidamna h stree ki samaj me ek pashu se bhi doyam atithi h, aur dukh is baat ka bhi h aisi stithi me naari ko dhakelne me nari ka hi purush jitna yogdan h, tabhi to vivah ke naam uska daan uaki daas pratha ko darshata h, vivah stree purush dono ka hota h fir stree ka daan kyon?? Kya wah nirjiv vastu ya pashu h jiska daan hua aur pati uska swaami, issi pratha ne naari ko pashu se bhi neeche pahucha diya,

Haal hi me TV pe dekha ek ladki ne shani ki puja kya karli utpaat ho gya, waha ki lok parampra tut gyi, lok patampara bnai purush aur kuch naari virodhi istreeyo ne , WO b us samay jab nari aur b dabi kuchli avastha me thi, aaj thoda sa samay badla aur nari ne waha puja karli to parampra tutne ka dram logo ne kar diya,

Kul mila ka sakte h Bharat abhi bhi dharm k naam par naari virodhi parampara par chal raha h, isme badlaaw ham aur aap aaj ki peedi kar sakti h tabi aane wali peedi ko ham shresh Bharat de paynge"



Macks Archu(Archana)

Thursday 3 December 2015

Ham Bharat ki naari hai,

"Ham Bharat ki naari hai, sushilaa aur shishtaachaari hai,

Mat karna ab shoshan hamara, ham duniya par vaari hai,

Nahi sahenge aur anachaar,har atyaachar tumhi par bhaari hai,

Bahut sah liya hamne dard, ab doyam ki tumhari baari hai,

Karte hai bhed-bhaaw mat-pita Jo, unse ye maang hamari hai,

Karta nahi bhed ishwar, fir kyon unhone betiya mari hai,

Jab aadhi dhara par raaj hamara, fir kyon nahi jivan ki adhikari hai,

Ham naari hai to hua kya, nahi asadhya koi beemari hai,

Fir kyon hamein janne mein tumhe ye kaisi laachari hai,

Adhikar do beton jaisa bas ismein hi tumhari aabhari hai,

Nahi kewal ek nari, beti bahan bahu aur ham hi maahtari hai,

Ham durga aur Kali hai, sachhe samaan adhikar ka abhiyan ye jaari hai,

Le kar rahenge har adhikar apna, ham na kisi se haari hai,

Nibhaynge har farz bhi apna, ham bhi bitiya tumhari pyaari hai,


Ham Bharat ki naari hai, sushilaa aur shishtaachaari hai,

Mat karna ab shoshan hamara, ham duniya par vaari hai-2"



insaniat kho gayi hai-kavita

"Aaj fir hridaye mein peeda ki ye tees hai aayi,
Daal roti sang pankh laga ye mehgai chali aayi,

Thanda pad gaya ye dekho choolha gareeb ka,
Din-raat mehnat wale ne do wakt ki roti na payi,

Tod kar rakh di kamar janta-ae-aam ki ye jisne,
Matakti huyi mehgai ye dekh kaise fir chali aayi,

Ro rahi aaj maanavata khush ho rahaa hai ye neta,
Khud khata shahi panir janta ne sukhi roti na payi, 

Ye chakh rahe swaad chhappan bhog ka yaha to,
Janta ko daal pyaaj aur ye rukhi roti bhi na milpayi,

Koi pa kar shresht pad duniya daure yaha karta hai,
Marta hai kisan roz maut manvta ki yaha hai ho gayi ,

Dekh nazara Bharat ka sara Archu ki ankh hai ro rahi ,
Badal jaati Surat magar insaniat kahi ab hai kho gayi-2"


Monday 30 November 2015

vichitra sapna-modi bagdadi mulakat

"Ek raat dekha maine vichitra sa ye sapana
Tha samne wo chitra jiski nahi thi kalpana,

Modi Ji gaye pegam e dosti le Iraq aur seriya,
Dekh halat waha ke badal gaya unka nazariya,

Saare niyam tod kar wo duniya ko chakma de aaye
baahein felaaye milne modi ji se daude chale aaye,

Mile dono gale jaise barso ke bichhde bhai ab mile,
Is Milan se shuru ho gaye fir ye dosti ke naye silsile,

Jiske peechhe padi hai aadhi duniya ki ye aabaadi,
Hath mein sharbat le modi Ji ke samne tha Bagdadi,

Gale laga modi Ji ko diya unhe ye vishesh samman,
Sau nirdosho ke sarr kaat pahucha diya shamshaan,

Fir baithaya unhe waha jaha rasiyan ke gole the gire,
Charo aur unke khade the Bagdadi ke ye anek sarfire,

Fir usne muskura ke gaana chalayaa 'chikni chameli',
Thahake laga samne unke zinda jala dedi do ki   Bali,

Iske baad dikhaya usne modi Ji ko apna WO addaa,
Jaha zinda dafnane ke liye khudwata unhise gadda,

Fir Garva se usne modi Ji ko dikhaya WO hi dariya,
Jaha masumo ko usne daal pinjre mein tha duboiya,

Dekh ye nazara modi Ji baithe ab kitne khamosh the,
Dekh ye raktpaat ab to kho chuke hosho hawas the,

aane laga modi Ji ke zahan mein ye ab fir vichaar,
Hindu musalman lada hamne bhi kiya nahi atyachar,

Haalat waha ke dekh modi Ji ka dil bhar aane laga,
Itni Bali dekh kar unhe bhi ab to fir rona aane laga,

Yaha Khoon bahane wala kafir nahi ek hi to bhai hai,
mazham nahi aatank ka ye kya insaniyat ki ladai hai,

Maar raha mazhab ke naam nirdosho ko ye beraham,
Dekh atyachaar uske duniya rahi hai har pal  saham,

Bhool gaye modi Ji fir patrakaro se photo khichwana,
Behtar samjha unhone chupchap waha se wapas aana,

Modi ki is bhet par America France ki bhohe tan aayi,
Sunai di mujhe fir ma ki aawaz aur aankhe khul wayi,

Ab samajh aaya mujhe ye sab tha ek vichitra sapna,
Dekh itna sajiv ye raktpat TV par bhi ye nahi dekhna-2"



Sunday 29 November 2015

ishwar vaani-112, ishwar ke lok

Ishwar kahte hain "yadhapi tum sabhine mere vibhinn lokon ke vishay mein suna hai, Jo jaise karm karta hai jis bhi isht ki upasna karta hai us lok ko ant mein prapt hota hai,

Yadhapi is vishay mein main tumhe pahle bhi bata chuka hoon par aaj ka vishay alag hai, hey manushyo jaise ki tum sabhi jante aur mante ho ki ishwar ka lok is dhara par nahi varan anant chhitij mein kintu bhagwan Shankar ka lok shastra mein yahi is dhara par bataya gaya hai, 

Aaj iska rahasya batata hoon, jaise manushya ke karm hote hai bhakti bhawna hoti hai, usi roop mein mujhe WO prapt karta hai, ishwar ke yani mere bhagwan Shankar ke is dhara par lok ka abhipraye hai samast brahmand mein mera vaas hai, yadhhapi tum janm le is prathvi par aaye ho to koi na koi abhaaw tumhe rahega kintu abhawo mein santusht rah ek khushhaal jeevan vyapt kar prani jaati ka kalyan kar sadachar shishtachar ki bhawna banaye rakhna hai, aur ye hi iska mool uddeshya hai,

Iske atirit ek baat aur main batana chahta hoon Jo manushya us aakashiye sagar par yakin nahi karte WO mujh par kabhi yakin nahi kar sakte jaise WO nazar nahi aata waise main par ham dono ka astitwa hai, WO sagar mera hi ek roop hai jiska pratiroop is dhara par hai, yadi uska astitwa nahi hota to pahado par nadi na hoti, ganga ko aakash se dharti par laya nahi jata, 

Is prakar samast Tara mandal aur grah nakshatra us sagar mein waiase hi terte rahte hai jaise dharti par vibhinn deep samuh"