Friday 11 December 2015

ishwar vaani-113, aatma aur shareer ka rishta

Ishwar kahte hain: "yadhapi aatma shareer ke bina adhuri aur shareer aatma bina apurn hai, fir bhi aatma ko ek nishchit samay ke baad shareer tyaag naye shareer mein pravesh karna padta hai kaaran: jis shareer mein rah kar uske pichhale karm anusaar is janm mein rah kar karm karne ka avsar usse diya iske upraant usse ab agla janm le kar athwa naya shareer le kar apne uddeshyon ki purti karni hoti hai,

Hey manushyo tum Jaan lo ki tum yaha pahli baar nahi aaye ho, tum jab se ho jab se maine praani jaati ki utpatti ki, tumne maanav se phle kitne hi roop dharan kare isse phle aur aakhir tumhe manav jeevan prapt hua, taki tum satkarm kar moksh ki prapti Karo, ye manav jivan karodo varsho mein hi kisi aatma ko milta hai taki wo aatma moksh pa sake, kintu iska anuchit upyog tumhe hi janm janmo ke is jaal mein ujhata rahega aur tum dukh ke bhaagi banoge"

Tuesday 8 December 2015

Bharat ki baala

"Main Bharat ki baala hoon,
Shaktihin nahi balshala hoon,
Mat kahna mujhe ab tum abla,
Ban chuki ab main sabla hoon,

Main Bharat ki baala hoon,
Gyaan ki paathshala hoon,
Mat samjhna agyani mujhe,
Ved--paath ki jwaala hoon,"

Sunday 6 December 2015

mit raha aaj insaan hai

"Dharm ke naam par mit raha aaj insaan hai,
Fela kar dehsat har taraf bik raha insaan hai,
Khatm ho gayi manavta kho chuki insaniyat,
Adharm ki ye ibaadat likh raha aaj insaan hai,

Bebas aur mazlumo ko maar raha aaj insaan hai,
Baha lahu nirdosho ka kya fitrat uski mahan hai,
Nahi sunta cheekh pukar mazlumo ki ye cheetkar,
Apne swaarth ke liye bana raha jag shamshan hai,

Baat chuki usne dharti saari baat raha aasmaan hai,
Baat diya insaan ko usne ab baat raha bhagwaan hai,
Hindu-muslim karte karte dekho ham aaj bhi ladate,
Nafrat ki is aagse nit roz ban rahe Bharat-Pakistan hai-2"

Bharat ko jaati dharm k naam se baatne walo k naam meri chand lines:

Bharat ko jaati dharm k naam se baatne walo k naam meri chand lines:
'sabse pahle main insaan hoon, Hindustan ki main shaan hoon,
na puchhna tum jati dharm mera,
is dharaa ka main samman hoon..'

Saturday 5 December 2015

bhartiye samaj me nari ki sthiti-ek lekh

"Maine Amar Ujala akhbar me ek lekh pada tha jisme likha tha logo ki dharna h: gaaye abhagi ki marti h aur patni aur beti saubhagyashali ki, maine bhi apni ma ke muh se suna hai beti bhagyashali ki marti h,

Kitni vichtra vidamna h stree ki samaj me ek pashu se bhi doyam atithi h, aur dukh is baat ka bhi h aisi stithi me naari ko dhakelne me nari ka hi purush jitna yogdan h, tabhi to vivah ke naam uska daan uaki daas pratha ko darshata h, vivah stree purush dono ka hota h fir stree ka daan kyon?? Kya wah nirjiv vastu ya pashu h jiska daan hua aur pati uska swaami, issi pratha ne naari ko pashu se bhi neeche pahucha diya,

Haal hi me TV pe dekha ek ladki ne shani ki puja kya karli utpaat ho gya, waha ki lok parampra tut gyi, lok patampara bnai purush aur kuch naari virodhi istreeyo ne , WO b us samay jab nari aur b dabi kuchli avastha me thi, aaj thoda sa samay badla aur nari ne waha puja karli to parampra tutne ka dram logo ne kar diya,

Kul mila ka sakte h Bharat abhi bhi dharm k naam par naari virodhi parampara par chal raha h, isme badlaaw ham aur aap aaj ki peedi kar sakti h tabi aane wali peedi ko ham shresh Bharat de paynge"



Macks Archu(Archana)

Thursday 3 December 2015

Ham Bharat ki naari hai,

"Ham Bharat ki naari hai, sushilaa aur shishtaachaari hai,

Mat karna ab shoshan hamara, ham duniya par vaari hai,

Nahi sahenge aur anachaar,har atyaachar tumhi par bhaari hai,

Bahut sah liya hamne dard, ab doyam ki tumhari baari hai,

Karte hai bhed-bhaaw mat-pita Jo, unse ye maang hamari hai,

Karta nahi bhed ishwar, fir kyon unhone betiya mari hai,

Jab aadhi dhara par raaj hamara, fir kyon nahi jivan ki adhikari hai,

Ham naari hai to hua kya, nahi asadhya koi beemari hai,

Fir kyon hamein janne mein tumhe ye kaisi laachari hai,

Adhikar do beton jaisa bas ismein hi tumhari aabhari hai,

Nahi kewal ek nari, beti bahan bahu aur ham hi maahtari hai,

Ham durga aur Kali hai, sachhe samaan adhikar ka abhiyan ye jaari hai,

Le kar rahenge har adhikar apna, ham na kisi se haari hai,

Nibhaynge har farz bhi apna, ham bhi bitiya tumhari pyaari hai,


Ham Bharat ki naari hai, sushilaa aur shishtaachaari hai,

Mat karna ab shoshan hamara, ham duniya par vaari hai-2"



insaniat kho gayi hai-kavita

"Aaj fir hridaye mein peeda ki ye tees hai aayi,
Daal roti sang pankh laga ye mehgai chali aayi,

Thanda pad gaya ye dekho choolha gareeb ka,
Din-raat mehnat wale ne do wakt ki roti na payi,

Tod kar rakh di kamar janta-ae-aam ki ye jisne,
Matakti huyi mehgai ye dekh kaise fir chali aayi,

Ro rahi aaj maanavata khush ho rahaa hai ye neta,
Khud khata shahi panir janta ne sukhi roti na payi, 

Ye chakh rahe swaad chhappan bhog ka yaha to,
Janta ko daal pyaaj aur ye rukhi roti bhi na milpayi,

Koi pa kar shresht pad duniya daure yaha karta hai,
Marta hai kisan roz maut manvta ki yaha hai ho gayi ,

Dekh nazara Bharat ka sara Archu ki ankh hai ro rahi ,
Badal jaati Surat magar insaniat kahi ab hai kho gayi-2"