Tuesday 6 September 2011

dil k ek din hazaro tukde


Kuch log dil k karib itna aa jate h, bana k apna na jane kitne khwaab dikha jate h, ek pal ko lagta h sath unka pa kr ki saari duniya hai bas yehi, sooni  thi zandagi ab tak bin tumhare, hai sab kuch mere paas lekin aaj bas tumhari hi kami h, dila kr ye aitbaar aur jata kar jhootha pyaar  dil k  ek din hazaro tukde kar k wo chale jate h, puchhta hai dil mera ye sawal kuch log aisa kyon kar jate hain, kyon dikha kar jhoothe sapne, kyon jata kar khud ko apne wo ek din begaana kar ke chale jaate hain, kyon kuch log dil ke itnaa kareeb aate hain, kyon sapno se bani pyaar ki duniya ko tod kar ek din door chale jaate hain..

No comments:

Post a Comment