Friday 13 April 2012

khwaab


Kal raat ek khwaab dekha, usme dekhi kismat ki rekha, sitare the buland mere, tamam hauslon k saath maine khud ko badte dekha, khud ko aasman mein aur duniya ko neeche dekha, chhut gaya hai saath jinka mujhse aaj unhe bhi maine raat khwaab mein saath dekha, ya allah ye kaisa mazak tune kiya, h pta tuje na hoga koi khwaab mera poora, fir q  tune muje kal raat ye khwaab dekhaya, hai pata kismat mein meri hai likha sirf khona, hai kismat mein meri bas yu zameen pe rahna, na milega kabhi saath kisi mujhe kabhi, sooni rahegi meri ye zindagi har pal har kahi, rahegi sada dil me tees kisi ki bewafai ki, rahega dard seene mein kisi ki ruswai ka, ya khuda fir q tune mujko buland hauslon k saath aage badte iss khwaab mein dekhaya, bhoolna chaahte hai jisse hum ab ya allah q tune mujhe raat khwaab mein fir unse milaya....

No comments:

Post a Comment