Friday 17 August 2012

my thoughts (kalyug ki dosti)

"dosti ki agr misaal dekhni ho to bhagwan Krishna aur sudama ki dekho, ek raja aur ek rank, aaj k log dosti ki bate to bdi bdi krte h, jab tak sath rhe (school, college, institutes, offices), ek sath uthna baithna, khana pina hua par jaise hi kisi ek ko tarakki mili ya fir padai puri ho jane k baad ek ko achhi naukri mili ya koi busines kiya aur chal nikla to iske baad dosti gyi tail lene, kafi lo
g to bhul b jate h, kuch raham dil hote h, ya to unhe naam yad rah jate h ya shakl, dosti wo bas jab tak rakhte h jb tak logon ka status same ho chahe padai me, ofc me, busines me, jara b km hua to dost kya aur dosti kya, ye aadat bachpan se hi sabne sikhi h, agr aap school me apni clas me 1st aate h aur apka best frd fail ho jaye ya km marks laye to aap uske sath khade hone me sharmindgi mehsus krte h, aur yehi baat bade hone aur zindgi bhar tak lagu rahti h, so ye h aaj ki dosti bas status aur kaamyabi tak, pyar, apnapan, samman, aur tamam bhavnatmak rishto ko todti ye h aaj ki aadhunik krishna sudama nhi balki ram aur rawan ki dosti(ram aur ravan isliye q ki dono ka status same rich), wah re kalyug wah...."

2 comments: