Tuesday 29 January 2013

bhool ja ab usse-sad shayari



ye dil mera kise puraakrta hai, ae mere paagal mann tu kiski raah dekhta hai, jo dete rahe hai ab tak tujhe sirf gam aur aansu tu unhi ki raah kyon taakta hai, tujhe nahi hai pata iss sansaar ka zara bhi, tujhe nahi koi khabar iss duniya ki thodi bhi, log milte hai, ek rishta banaate hai, kuch unn rishton ko aaj ya kal mein tod jaate hai aur kuch unhe kuch aur pal tak nibhaate hain par ant mien anjaam to fir wo hi unhe chhod k jaana hi hota hai, ae mere paagal mann kuch to ab samajh tu bhi, jinki rakhi hui hai aas tune milne ki, hai jo tere mann ki gehrai mein ek wo ummid unka pyaar pane ki, tu jo sochta hai wo karte  tujhse hai pyaar, tujhe rakhenge apne dil mein aur denge har lamha khushiyon ki bahaar,

 to jaan le ae mere paagal mann wo na to kabhi karte the tujhse pyaar aur na kar sakenge kabhi tujhse pyaar, khushiyon ki bahaar to door tujhe sirf denge aansu aur gam beshumaar, tujhe ab tak lagta tha ki wo nahi hai auron jaise rishte bana kar unhe yu chhod kar jaane wale, par jaan le ae mere paagal mann hai to wo bhi ek saadharn insaan, wo kaise kar sakte hai maanav vayvhaar se khud ko alag, zazbaaton ko jaise insaan rondta hai apne matlab k liye perron tale waise hi unhone bhi teri har baat aur aur zazbaat ko kuchla hai perron tale, nahi tha unhe matlab tujhse aur teri baaton se, unhe jo tha matlab wo tha jo ek maanav ka apne vipreet k liye aaj tak, ae mere paagal mann isliye tujhse baar baar meri ye hi ek vinati hai bhool ja ab usse, bhool ja wo sab, bhool ja har pal jo jiya tha tune unke saath, chala tha kuch door tu bhi unke, kuch dekhe the sang unke khwaab tune, bhool ja ae mere paagal mann sab kuch tu bhool ja, aur agar na bhool saka tu usse, milega dard har pal tujhe, ruaalate rahenge har pal wo tujhe, aankhon se behati ye nadi ki dhaara na kabhi rukegi teri, inhe dekh kar humesha unke chehare pe muskurahat bhi bani rahegi,  har pal milegi sunapan aur tanhari tujhe unse, na ho sakegi fir kabhi iskee koi bharpai kabhi, 

isliye ae mere paagal mann  kisi k liye nahi tu apne liye sab kuch bhool ja, jeena seekh ja tu ab unke bina, rahna seekh ja tu ab unke bina, wo kaun sa door ja kar tujhse tujhe yaad karte honge, wo kaun sa tujhe waha par pukaarte honge, khush honge wo apne jeevan ki rang raliyon  mein waha fir tu kyon karta hai koi fikar unki, jaise wo khush hai tujhse door ja kar, tu bhi ab unke bin khush hone ki aadat bana le aur seekh ja bin unke khush rahna tu bhi, soch le tu bhi ae mere paaagal mann, ek na ek din to unhe tujhse door jana hi tha, wo tujhse door jaane ka ek aur kahar dhaate isse pahle hi tune unpe koi ek to sitam kiya, unse mile anek dard mein se koi ek to unhe diya, jo todte wo rishta tujhse na hota sahan tujhse, tune tod kar rishta ye ahsaan kiya hai khud pe, bas ek fariyaad hai ae mere paagal mann jaise tune tod diya hai rishta unse par saagar ki gehrai se bhi jyada jo tere mann ki gehrai hai usse bhi kar de juda ab usse, bhool ja ab usse, jee le apne liye, bhool ja ab usse ae mere paagal mann bhool ja ab usse bhula de ab usse.........


thanks & Regards
Archu

No comments:

Post a Comment