Thursday 18 July 2013

tumhare jane ke baad uss jagah ko kaun bharega................kavita

ye mehalon mein rahne wale jhopadi mein rahne walon ko chhota samajhte hain, ye aasaman mein bulandi paane wale apne chaahane walon ko khud se kam samajhte hain, ye khud ko prasadhhi ke shikhar par pahuchaane wale unke jaise banne walon ko nakabil samajhte hain, ae mere mehalon mein rahne walo aur khud ko aasman tak pahuchaane walon, ae mere prasadhhi kee seedi chadne walon kabhi tum bhi to auron ki tarh yaha hi rahte the, tum bhi to kabhi inn jhopadon mein sote the, aasman chhoone ki lalak bhi kabhi tumme bhi auron ke jaisi hi thi, chahat prasdhhi ko gale lagane ki kabhi tumme bhi to un logon jaise hi thi, ae mere duniya jeetne walon tum bhi jara ye sun lo jab boond hi na hogi to sagar kaise banega, jab tail hi na hoga to deepak kaise chalega, agar koi peechhe na ho to aage kaun badega, jinhe kuch na samjhte ho aaj tum agar wo hi na hoga to kal tumhare jane ke baad uss jagah ko kaun bharega................

No comments:

Post a Comment