Saturday 9 January 2016

aazad Bharat mein nari ki Dasha-ek lekh

'Bade dukh ki baat hai Bharat ko aazad huye 70 saal  hone ko aaye par yaha ke logon ki soch wahi purani rudiwadi purush pradhan hi hai, kahawat hai is desh ki "yatra nariyantu pujyante ramante tatra devta" yani ki jaha naari ki puja hoti hai devta waha rahte hai, aur is desh mein kewal mandir mein hi uski puja hoti hai,

Waise to nari ka shoshan sadiyo se aaj tak har desh aur sampradaye mein hota raha hai aur ho raha hai, par aaj baat kewal Bharat ki karenge kyonki naari ko pujne ki baat kewal ye hi desh karta hai par hakikat se koson dur hai,

Aaj bhi chahe pariwar ameer ho ya gareeb beti ke janm par khush nahi hota, haan kuch log jarur kahi kahi dikhane ke liye jarur mithai aadi beti ke janm par dete hai par dilse rote hai aur dua karte hai agli santan beta ho,

Mere Bhi kuch friends hai, relatives hain and meri family bhi hai, jaha bete beti mein bhed bhaaw sareaam kiya jata hai, friends to meri umar ke hai wo aisa karte hai to herani hoti hai ki aaj ke modern time mein aisa WO karte hai, rishtedar unki kya kahu aakhir hamare pujniye mata-pita wahi se to nikle hai, aur family hame WO hi to degi jo pichhali peedi ne unhe diya hai bhed-bhaaw,

Apne pariwar mein sabse chhoti santan hone ke naate maine apne pariwar ke liye kya kuch nahi kiya,
Maine apni shaadi ke liye bhi apni cousins ki tarah zid nahi ki, par is pariwar ne mujhe hurt karne ke siwaaye kuch nahi diya, manovigyan kahta hai jab hame apno se apekshhit prem nahi milta to ham wo hi prem dusre mein dhundte hai fir chahe wo normal insaan ho, lengik samlengik ho, ya fir pashu pakshi,

Meri taraf se bhi wohi hua, par kahte hai na jab apne hi hamari izzat nahi karenge to gerr kya hai, natiza fareb, par fir bhi khud ko sambhala aur family ke liye jine ka faisla kiya, shayad ye bhi ek galti, ek ladki ki family parents nahi uska pati aur sasural hi hoti hai shayad ye hi kuch feel kiya maine,

Bachpan se ab tak Jo ban saka WO kiya maine, haan ye baat aur hai agar ek purush kuch kar de pariwar ke liye ya pariwar ki stree ke liye kuch to sab uska hi gungaan karte hai aur ladki usse kahi guna jyada bhi kar de to koi uska naam nahi leta, wahi purush ke liye kahte hai aisa bhai aisa beta nasib se milta hai,

Rahi baat meri to mera pariwar Jo mere bare mein kuch nahi sochta aur jiske upar main ek anchaha bojh hu mujhse bachpan se nakhush hai, kaaran maine stree-purush bhed bhaaw ka jam kar virodh kiya, ma-baap se barabari ka hak maanga, ye baat aur hai mujhe wo mila nahi, maine dekha hai waise to sabhi ko mere aandolan se problem hai par ma ko jyada hi hai, kahte hai na "aurat ki dushman aurat hi hai",

Kherr ye kahani mere akele ki nahi meri ek friend Ritu ki bhi yahi kahani thi aur bhi kai saheliyo ki yahi kahani hai par WO iska virodh nahi karti aur is kupratha ko aage badaati hai, sach to ye hai is kupratha ko rokne ke liye har ladki ko ghar mein hi aandolan chala ma-baap se barabari ka hak mangna chahiye, 

yaad rahe bahar hamare upar anaachar hota hai kyonki aisa karne wale apne ghar ki streeyo ko daba kuchla dekhte hai, yadi stree purush bhed khatm pariwar Kare, ladki kewal naukarani aur choolha-chauka sambhlane wali hi na maan kar har chiz mein barabri ki hakdar hai ye samajh samaj ko aa jaye, stree purush dono ki ahmiyat aur izzat karne ki aadat tatha Samanta pariwar mein  sthaan le le, aurat surakshhit raat ko ghar aa ja sake nidarta se tab samjhna wakai bharat ek aazad mulk hai, anyatha ham gulam hai apni pichhadi aur shoshankari dohari bhed bhaaw purn mansikta ke..




































No comments:

Post a Comment