Monday 4 January 2016

beete huye lamhe-chand panktiya us dost ke naam

"Beete huye lamhon ki har baat mujhe satati hai,
Chalte huye in rahon par teri yaad mujhe aati hai,

Jhalak aate hain ye ashk aaj bhi meri aakhon se,
Dilme uthati hai tis juban se ek aah nikal aati hai,

Wo tera hasna muskurana yu baahon mein lena,
Aaj tu dekh to teri har baat kitna mujhe rulati hai,

Kabhi diya aur baati jaisa tha saath hamara,
Aaj mere is jivan ko tanhaiya hi khaaye jaati hai,

Sagar se gehra tha kabhi rishta hamara 'Meethi',
'Khushi' apne rishte ki har ye baat bas batati hai,

Tufano se kitna lade ham fir bhi na kabhi hare,
Wakt se hare ashko ki ladi ye gatha sunati hai,

Ek dusre par mitne wale ham dost the kabhi,
'Meethi-Khushi' dosti ka geet fir gungunati hai,

Beete huye lamhon ki har baat mujhe satati hai,
Chalte huye in rahon par teri yaad mujhe aati hai,"


No comments:

Post a Comment