Friday 29 January 2016

ishwar vaani116, ishwar aur devta

Ishwar kahte hain "hey manushyon yadi koi tumhe khud ko devta ya bhagwan kahe to usse kisi prakar ki bahas na kare aur na hi nakaratmak soche,

Kaaran koi bhi jiv aatma bhagwan aur devta to ban sakta hai kintu ishwar aur parmeshwar to ek hi hai wo swam main hi hoon,

Devta athwa bhagwan ye naashwan bhautik sharir dharan karte hai evam nishchit samay ke baad unhe iska tyaag karna padta hai, kintu ishwar athwa parmeshwar wo naashwan nahi hote,

Samast grah-nakshatra evam samast brahmand naashwan hai, is dhara par satyug/treta/dwapar/kaliyug mein vibhinn devi devta desh/kaal/paristithi ke anusaar aaye aur ek samay ke baad bhautik deh tyaag kar WO chale gaye, kintu parmeshwar naashwan nahi hai, ishwar aadi kaal se hai the aur rahenge,

Devta ya bhagwan vyakti mata-pita, stree, chikitshak, shikshak aadi ko bhi kahte hai, har wo vyakti devta hai Jo hamari sahayata karta hai chahe uska roop swaroop kuch bhi ho,yadi pani mein dubti kisi cheeti ke tum pran bachate ho to tum uske liye devta huye,

Kintu ishwar ek hi hai Jo main hi hoon, aadi kaal se ananat kaal main hi hoon, samast aatmao ka swami main hi hoon, main hi samay hoon, main hi kal aaj aur kal hoon,

Hey manushyon maine tumhe devta athwa bhagwan aur ishwar ke vishay mein bataya, hey manushyo har wo maanav devta kaha jaata hai jisme saadhu, saint evam sanyasi wale samast gun hote hai, kintu yaad rahe bhautik swaroop ka naash har kisi ka hota hai chahe wo devta ho ya anaya jeev, sirf ishwar hi naashwan nahi hai"


No comments:

Post a Comment