"jane
aaj bhi hume tumse pyar kyon hai, tod diye hain tumse har rishte apne fir bhi
tumhara hi intezaar hume kyon hai, dur karte hain apna mann tumse jitna hum par
usse tumse fir kahin milan ki aas kyon hai, jhooth aur fareb ki iss duniya me
ek sachhe humsafar ki chaah mujhe kyon hai, milte hain jahan dhokhe iss duniya
ke bazaar mein fir bhi meri har ek dhadkan sirf tumhari hi ek pyaar bhari nazar
ki mohtaaz kyon hai, tod kar chale gaye
jo dil mera unse fir se kisi mulaqat ki wo tamanna mujhe kyon hai, ruthhe huye
tum ho hmse aur khafa hum bhi hain tumse jane kyon fir se maan jane ki ummid
hume kyon hai, waqt ne badla hume ya haalat se haar kar juda huye hum lekin aaj
bhi hume tumse hi ye pyaar kyon hai..
"
this is not only a hindi sher o shayri site, there is also u can see short stories, articals, poetry in ur own language yes off course in hindi......
Tuesday, 29 January 2013
Dost
Dost
"khuda ki
rehmat hote hain dost, dur hote huye bhi dil k paas hote hain dost, rote huye
ko hassa jate hain dost, dekh le jo koi ashk aankho me pochh usse aankho se
khud ro jate hain dost, toote huye dil mein fir nayi ummid jaga jate hain dost,
bhatke jo mazil ki talash me sahi raasta dikha jate hain dost, na hota
hain rishta khoon ka unse koi fir bhi
har rishte se bad kar hote hain dost,
rab ka sabse hasin tohfa hote hain dost ya shaayad rab ka hi ek aks hote
hain dost,zindagi mein behad khaas hote hain dost, jeene ki aas hote hain dost,
ek pyar bhara ahsaas hote hain dost, q ki har pal dil k paas hote hain dost,
khushnaseeb hote hain wo log jinke paas hote hain sachhe dost.."
prabhu rahte hain.............
“jab dhoondne chala main iss jagat ke maalik ko to kisi ne kaha ki wo to rahta hai mandir mein par dekha jab maine waha
ja kar na mila mujhe prabhu waha tu, mili koi moorat jise log kahne lage ye hi to hai prabhu oo
moorakh, fir kisi ne kaha tu dhoondta hai moorakh kahan uss duniya banana wale
ko, wo na milenge tujhe inn mandir ke ujiyaalon mein kyon ki wo to rahte hai
masjid ki galiyaaron mein, sun kar uski baat maine fir dhoonda uss rab ko
masjid ki deewaron se bane galiyaron
mein, par waha bhi khaalipan ke siwa na dikha mujhe kuch, puchha maine kaha hai
yaha duniya banana wala to kaha yahi to hai wo kar dua teri kubul hogi, wo rab
rahta hai bas yahi, sunta hai apne
bandon bas yahi, fir kisi ne kaha moorakh
kahan dhoondta hai tu uss rab ko, wo na milege tujhe yaha waha kyon ki unka to
hai aashiya gurudware ke chaubare pe, dekha maine ja kar jab waha na thi koi
moorat aur na tha galiyaron ka sa soonapan waha, par jo dhoondne gaya main waha
apne prabhu ko wo bhi na dikhe mujhe waha, maine puchha kahan hain prabhu yaha
to kisi ne kaha ye hi to wo jagah rahte
hai duniye ke sachhe baadshah jahan, chalte chalte fir kisi ne mujhe pukaara
aur kaha dhoondte ho tum uss duniya banane wale ko yaha waha wo to tujhe milege
Girja(churcha) ke dwaare, ja dekh unhe tu, dhoond unhe waha tu, rahte hai
prabhu waha, wahi tujhse honge wo ru-b-ru, jab maine Girja(Church) mein jaise
hi kadam rakha main hua bhochakka, na mile waha prabhu aur na hua main unse
waha ru-b-ru, dekha to ek moorat thi mohak si, dekh usse karte the naman sabhi,
maine puchha kaha hai prabhu to kaha kisi ne kaha ye hi to hai wo duniya banane
wale, dekh ye sab nazara maine ghar aane ka mann tha ab banaya, nahi mile
prabhu mujhe iss duniya ki chaahar deewari mein, nahi rahte agar wo yaha to
kaha milenge mujhe wo duniya banane wale, sochh sochh kar kadam badte the mere
ja rahe tabhi kisi ki pukaar mujhe thi ab sunai dene lagi koi ajanabi swar tha
mujhe nadi ki taraf se pukar raha , dekha jab maine uss oor tha doob raha koi ajnabi uss behti dhaara ki
oor jahan sunai de raha tha ye maanav dhwani ka shoor , dekh mujhe wo chilla
kar paas bulane laga, chahiye thi ek madad kisi madadgaar ki usse, sab kuch
bhool kar main ab usko bachane ke liye paani mein fri kood pada, nikaal usse
jab nadiya se main baahar laaya dekha to aakash se dharti pe koi aakrati thi
mujhe ab gherre huye, kahne lagi wo mujhe ab, teri talash ho gayi hai poori,
teri jigyaasha ne mujhe fir se iss duniya mein la diya, mera vibhaajan karne
wale se door tune aaj mujhe hai pa liya, maine puchha kaun hai aap wo aakrati
kahne lagi main hoon teri abhilaasha ko trapt karne wala, main hi hoon duniya ka nirmaan karne
wala sirf teri achhai ke badle hi aaj mujhe yaha hai aana pada, tu dhoond raha
tha mujhe yaha waha dekh apne dil ki gehrai mein waha milega tujhe wo duniya
banane wala, waha dikhai dega tujhe wo mera aashiya, maine kaha par log to
tujhe dhoondne jate hai jane kahan kahan par tum kahte ho tum rahte ho dil ke
gehrai mein aur waha hai tumhra aashiya, to kahne laga wo duniya banane wala jo
hai paapi wo hi dhoonte hai mujhe apne dil ko chhod kar yaha waha, par sachh to
ye hi hai duniya ki naasvan bhotikta se door main to hoon har kahi aur har
jagah, rahta hoon main to bas uss jagah jaha leta hai jo naam sachhe dil se
mera main to hoon har uss jagah, main to hoon har uss jagah jahan pukara jata
hai mujhe dil se har uss jagah, duniya ki banai kisi bhotikta mein nahi main
to hoon bas uss jagah jahan pukara jata
hai dil se mujhe main to hoon har uss jagah, na dhoondna tum ab mujhe har
jagah jab chaahat kare mujhse milne ki
dil ki gerai mein mujhe jhaank lena, lena naam mera sachhi bhaavna se aur karna
sada aise hi nihswaarth upkaar har musibat se ghire huye prani ki tab tum sada
rah sakoge mere apne kareeb, Prabhu milenge tumhe bas ab yahi aur har kahi… ”
meri zindagi ki shurat se le kar ant tak bas aap hi ho prabhu ji mere saath...
"meri zindagi ki ek nayi
roshani ho aap, mere gamgin aankho ki khushi ho aap, mere rote huye chehre pe
aayi muskan ho aap, mere sune jeevan mein aayi ek bahaar ho aap, mere tanha
mann mein fir se aane wale navjivan ki aas ho aap, bhatkate huye jivan ki ek
manzil ho aap, bhule huye har rishte ki pyas ho aap, dorahe pe khade chanchal
mann k mere margdarshak ho aap, dishahin prakrati k meri sahi disha dikhane
wale ho aap, papo k andhkar mei dubi hui meri sanso ko taarne wale ho aap,
jhuth aur burai k bhavar me uljhi meri har dhadkan ko sahi rah dikhane wale ho
aap, hai nhi aap iss duniya ki banai kisi roop ki diwar mein kyoki iss naasvan
bhotik jagat ki har khaami se dur rahte
hai mere mann mandir mein bas aap, baste hain mere rag rag me sirf Prabhu ji
aap, hey parmeshwar bas aap, meri zindagi ki shurat se le kar ant tak bas aap
hi ho prabhu ji mere saath... "
bhool ja ab usse-sad shayari
ye dil mera kise puraakrta hai, ae mere paagal mann tu kiski raah dekhta hai, jo dete rahe hai ab tak tujhe sirf gam aur aansu tu unhi ki raah kyon taakta hai, tujhe nahi hai pata iss sansaar ka zara bhi, tujhe nahi koi khabar iss duniya ki thodi bhi, log milte hai, ek rishta banaate hai, kuch unn rishton ko aaj ya kal mein tod jaate hai aur kuch unhe kuch aur pal tak nibhaate hain par ant mien anjaam to fir wo hi unhe chhod k jaana hi hota hai, ae mere paagal mann kuch to ab samajh tu bhi, jinki rakhi hui hai aas tune milne ki, hai jo tere mann ki gehrai mein ek wo ummid unka pyaar pane ki, tu jo sochta hai wo karte tujhse hai pyaar, tujhe rakhenge apne dil mein aur denge har lamha khushiyon ki bahaar,
to jaan le ae mere paagal mann wo na to kabhi karte
the tujhse pyaar aur na kar sakenge kabhi tujhse pyaar, khushiyon ki bahaar to
door tujhe sirf denge aansu aur gam beshumaar, tujhe ab tak lagta tha ki wo
nahi hai auron jaise rishte bana kar unhe yu chhod kar jaane wale, par jaan le
ae mere paagal mann hai to wo bhi ek saadharn insaan, wo kaise kar sakte hai
maanav vayvhaar se khud ko alag, zazbaaton ko jaise insaan rondta hai apne
matlab k liye perron tale waise hi unhone bhi teri har baat aur aur zazbaat ko kuchla hai perron tale, nahi tha unhe matlab tujhse aur teri baaton
se, unhe jo tha matlab wo tha jo ek maanav ka apne vipreet k liye aaj tak, ae mere paagal mann isliye tujhse baar baar meri ye hi ek vinati hai
bhool ja ab usse, bhool ja wo sab, bhool ja har pal jo jiya tha tune unke
saath, chala tha kuch door tu bhi unke, kuch dekhe the sang unke khwaab tune,
bhool ja ae mere paagal mann sab kuch tu bhool ja, aur agar na bhool saka tu
usse, milega dard har pal tujhe, ruaalate rahenge har pal wo tujhe, aankhon se
behati ye nadi ki dhaara na kabhi rukegi teri, inhe dekh kar humesha unke
chehare pe muskurahat bhi bani rahegi, har pal milegi sunapan aur tanhari
tujhe unse, na ho sakegi fir kabhi iskee koi bharpai kabhi,
isliye
ae mere paagal mann kisi k liye nahi tu apne liye sab kuch bhool ja,
jeena seekh ja tu ab unke bina, rahna seekh ja tu ab unke bina, wo kaun sa door
ja kar tujhse tujhe yaad karte honge, wo kaun sa tujhe waha par pukaarte honge,
khush honge wo apne jeevan ki rang raliyon mein waha fir tu kyon karta hai koi fikar
unki, jaise wo khush hai tujhse door ja kar, tu bhi ab unke bin khush hone ki
aadat bana le aur seekh ja bin unke khush rahna tu bhi, soch le tu bhi ae mere paaagal mann, ek na ek din to unhe tujhse
door jana hi tha, wo tujhse door jaane ka ek aur kahar dhaate isse pahle hi tune
unpe koi ek to sitam kiya, unse mile anek dard mein se koi ek to unhe diya, jo
todte wo rishta tujhse na hota sahan tujhse, tune tod kar rishta ye ahsaan kiya
hai khud pe, bas ek fariyaad hai ae mere paagal mann jaise tune tod diya hai
rishta unse par saagar ki gehrai se bhi jyada jo tere mann ki gehrai hai usse
bhi kar de juda ab usse, bhool ja ab usse, jee le apne liye, bhool ja ab
usse ae mere paagal mann bhool ja ab usse bhula de ab usse.........
thanks & Regards
Archu
kaisa bandhan hai......
kaisa bandhan hai
Kabi dur tumse jana chahte hai to kabi karib tumhare aana
chahte hai, kabi juda tumse hona chahte hai to kabi tumhe pana chahte hai,
bhulana chahte hai kabi wo teri baate to kabi unhe yaado me basaye rakhna
chahte hai, jane ye kaisa bandhan hai kabi isse todna chahte hai to kabi isme
bandh kar zindagi guzarna chahte hai..
Subscribe to:
Posts (Atom)