Tuesday, 14 July 2015

ishwar vaani-89, manav dharm

Ishwar kahte hain "yadhapi kaliyug mein anek jaati, dharm, aur sampradaayon ka uday hua hai, kintu isse poova aisa nahi tha, manav jaati ke shuruaat mein na jaati na dharm aur na sampradaaye the, manav aur uske karm hi itne paswan the ki mujhe (ishwar) ko is dharti par manav ko paap ke raaste se mukt karane hetu unhe shikshit aur gyaan dene yaha aana nahi padaa,

Kintu samay ke saath anek vikratiya maanav jaati mein aane lagi falswaroop unhe door karne ke liye jaati aur sampraday ka nirman hua, kaliyug mein paap sthaan-sthaan par itna bad gaya ki mujhe dharti par aa kar maanav jaati ko paap aur dukh se mukti dilaane hetu aana pada, desh/kaal/paristithiyon ke anusaar main dharti par avtarit hua, apne gyaan ko duniya mein dohraya, us gyaan par chalne aur maanne wale aur na maanne wale dono hi tarah ke logon ne isse ek naye dharm ke roop mein liya, jabki iska mool uddeshya log bhool gaye, mere gyaan ka mool uddeshya tha manav vikrati ka ant aur sampoorn manav dharm ki sthapna na ki anya dharm ki, kintu manav ne meri shiksha ke viprit khud hi naye naye dharm ka nirmaan karte gaye, aur falswaroop aaj jagat mein raag/dwesh/hinsa ka shukaar khud hi ho rahe hain, Jo vyaktu manav dharm ko bhool kar meri di shiksha ka galat arth nikalega waha ye sab to hoga hi,

Yadi samay rahte manav ne manav dharm ki raksha hetu kartavya nahi kare to sheeghra hi na manav bachenge aur na unke hi jaati-dharm-sampraday na manav jaati, aur iska jimmedar khud manav hoga.."






Saturday, 4 July 2015

ishwar vaani-88, barf aur aakashiye sagar

Ishwar kahte hain "aakash se girne wali nadi Jo barf ke roop mein dharti par aati hai, WO aakashiye sagar ke dwaara hi aati hai, yadi usse barf ka roop na diya jaata to uska vaig itna tez hota jisme poori dharti doob jaati, isliye usse pahado par barf ka roop diya aur pahadon ke tede-mede pathrile raaston se ho kar uska vaig kam hota jaata hai,


Samast glacier aur samast pahad ishwariye chhavi aur samast prathvi ke rakshak aur paalak hain, Jo meri satta ki parichayak hai"



mohabbat yaha kam hai

"Hai itni badi duniya par mohabbat yaha kam hai,
Hai log yaha har taraf par dildaar yaha kam hai,

Gam aur askho ka yaha kaisa ye samandar hai,
Isme doobne se bachne wala hi aaj sikandar hai,


Fareb se Jo shoharat paale wo hi aaj kalandar hai,
Itni badi duniya mein satywaan aaj kam hai,


Ishk ke naam par lela-majnu sultan aaj kam hai,
Hai Itni badi duniya par mohabbat aaj kam hai-2"

mera dilbar mera hamraz

"Dur kahi paas kahi to hoga mera dilbar mera hamraz,
 Jiski hai mujhe talash kahi to hoga mera dilbar mera hamraz,

Nazare baithi meri palke bichhaye, jaane kitne asaad aur saawan aaye,
Bhigo diya sab tan-man mera bhigo diya ghar-angna mera,

Chidiya chahki koyal boli, royi ankhiya aur dhadkan boli,
Bagiya ne kitne phool khilaaye, par sazan Ji na mujhe mil paaye,

Beet gaye har saal kho gaya har saaz, adhoore rah gaye har khwaab,
Na suni unki koi awaaz, na mila saka mujhe mera dilbar mera hamraz,

Adhoori rah gayi dilki har baat, na dikhi yaha mujhe to koi aas,
Na mit saki mohabbat ki ye pyas, na mila mujhe mera dilbar mera hamraz"

Wednesday, 1 July 2015

ishwat vaani-87, ishwar ek hi hai

Ishwar kahte hain "yadhpi hey manavo tum mujhe anek roop aur swaroop mein mante ho, mujhe anek naam se mantle aur pukarte ho, koi mere sakar roop ko pujta hai to koi nirakar, par us ek aatma arthaath parmatma yani ki mere vasatvik roop ko koi nahi janta, sach to ye hai mera koi roop aur swaroop nahi hai, na to main sakar hoon aur na nirakar hoon, jaise jeev mujhe manta hai main wohi ban jaata hoon, par main hoon to ek sarvshaktiman parmeshwar,


Jaise ek mata-pita ki anek santane ho, WO Sab unhe vibhinn naamo se pukarte ho par mata-pita sunte to sabki hain, chahe koi unhe ma-baapu kahe, mummy-papa kahe, ammi-abbhu kahe, kintu mata-pita apne sabhi balako ko saman sneh karte hain, sabka samaan dhyaan rakhte hain aur unki sun kar har ichha puri karte hain,

Waise hi samast praani mere balak hain, WO mujhe chahe jis naam se pukare, main sabki samaan roop we sunta aur pyaar karta hoon, chahe balak mujhe jis naam se pukare par pukare aur mujhe jaane-maane jarror, par mere kisi ek naam ko hi kewal satya na maane, aur na hi mere ek naam aur roop swaroop ko anya kisi par thope, bas har manav ye jaan le main ek hi hoon dooza koi nahi mujsa shaktiman tumhara aur jagat ka janm data, swarg-narak ka swami main hi hoon, tumhara palak aur sanharak main hi hoon, samast aatmao ka swami mai hi hoon. Chahe tum mujhe jis naam aur roop mein maano, main pal-pal tumhare saath hoon aur tumhare achhe bure ka bahi-khata pal-pal ka apne pass rakhe huye hoon, aur tumhe iss shareer hi nahi apitu kayi janmo tak tumhe tumhare karmo ki saza milegi kintu achhe karmo se sukh ko prapt hoge kyonki karmanusar sukh aur dukh dene Wala main hi hoon,

Main hi aadi kaal se tha, main aaj bhi hoon aur anant kaal tak main hi rahunga, par satya main hi hoon, mujhse bada satya koi nahi, meri satta na manne wala, mere bataye marg par na chalne wala, bure karmo mein leen rahne Wala, aise manushya mere kadapi priye nahi, WO burai ka marg apna sadaa jhooth ka saath dete hain, WO hi janmo tak dukh bhogte hain,

Main har janm mein karm sudharne ka avsar deta hoon kintu Jo log iska laabh pa kar karm sudhar lete hain WO anya jeevan mein us janm ke karm aur is janm ke karmoanusaar sukh paate hai kintu Jo laabh nahi lete WO sadaa dukh paate hain"





Sunday, 28 June 2015

saath nibhati hai tu


Sooraj ki saheli hai tu, fir bhi kitni akeli hai tu,

Baith akele sochta hai man, bas ek paheli hai tu,

Hole-hole chali aati hai tu, har darwaza khatkati hai tu,

Meethi nidiya se jaago pyaro, hui bhor utho dularo khati hai tu,

Davey paaw se aa kar,chidiyo sang gun gunati hai tu,

Sapno se jaga kar, ho gayi hai subah ye batlati hai tu,

Chadta hai sooraj falak par, roop sunhara dikhlati hai tu,

Hoti hai jab sardi, aati hai har kisi ko bas teri baaho mein masti,

Jab banta hai sooraj aag ka gola, Teri baahe lagti bedardi,

Chahe tujhe koi ya na chahe, har mausam saath nibhati hai tu,


Roop sunehara madmast teri chaal, dekh tujhe hoye har koi behal
,
Karti jaati ghayal har kisi ko, kabhi dikhati adaa kabhi satati hai tu,


Nakhre dikha sardi mein, door khadi muskuraati hai tu,

Karna chahe aalingan tera, door ja kar itna kyon ithlaati hai tu,




pauranik katha-7, Bhishm ka aathwa janm

"Mahabhart mein jab Bhishm baan-shaiya par kasht bhog rahe the tab Shri Krishna unke paas aa kar bole "tumhe pata hai kis poorva janm ke karm se tumhe ye kasht praapt hua hai?"

Bhishm bole "main apne pichhle saat janmo ko jaanta hoon, par unme maine aisa koi bhi kaarya nahi kiya jisse mujhe ye dand mile",

Bhagwan Shri Krishna bole " kya tumhe aathwe janm ke vishy mein gyaat hai?"

Bhishm bole "nahi ye mujhe gyaat nahi hai",

Shri Krishna bole "apne aathwe janm mein tumne ek saanp ko ghaayal kar kaanton mein faink diya tha, jiske kaaran uska shareer kayi jagah se lahoo-luhaan ho gaya, kayi jagah se uski chamdi utar gayi, is prakaar usse asahniya peeda prapt hui, ussi ke kaaran tumhe ye dukh prapt hua hai"