Sunday 19 April 2015

ishwar vaani- anda aaya ya murgi, param satya-68

Manushya ke hriday mein sadiyo se ye sawal aksar raha hai ki pahle murgi aayi ya anda, aaj ishwar is ati gopniye vishay ki vistrat baate hame batate hain,

Ishwar kahte hain "samst jivo ka aadhar anda hai, arthaat Jo jiv aaj andey se nahi nikalte unke jivan ka aadhar bhi anda hi hai,"

Ishwar kahte hain "jab dharti aur shrishti ka Nirman pura ho gaya tha aur waha jivan panapne wala tha, jivan ki utpatti ke liye aavshyak tha jivan ke panapne laayak mahol banana, aur iske liye nishchit dravya (+liquid) arthaat jal ki aavshyakta hui iske saath hi us JAL ki raksha evam jivan ke kaabil un anek drivyon hetu unhe sarankshit karne ke liye ek thoss vastu ki aavshyakta hui, is thoss vastu me andar JAL(paani) ke saath milkar anek kriyaaye hui, fir taap vridhhi hui jiske kaaran dharti par jivan ka uday hua,"

Ishwar kahte hain "jaise manushya ko janm aaj bhi kewal wohi hi stree de sakti h jiske shareer me andashay aur janm dene hetu paryapt andey ho, ye prakiya na kewal manushya par apitu samast jivon ki utpatti par laagu hota hai, kuch jiv shareer me andar andon ko dharan kar ek nayi zindagi ko duniya me laate h to kuch andey ko pahle apne shareer se bahar nikal jar navjuvan ka uday karte hai, kintu tarika  wahi h, shrushti par jivan ki utpatti ka karan aur tarika bhi wohi hai"





Tuesday 14 April 2015

ishwar vaani-aadhyatm aur bhakti-67

Ishwar kahte hai: "aadhyatm aur bhakti mein bahut bhed hai, aadhyam vyakti ko uske shrashti mein kis uddeshya se hai iska gyaan karata hai, uske kartavyo ka bodh karata hai, aadhyatmik gyaan ko grahan krne wala vyakti shresht manavo ki shredi mein as kar ishwariye kripa ka bhaagi ban prani kalyan mein apna sampurn jivan vyatit kar deta hai, yahi uski sundarta aur prasannta ka karan hota hai,

Kintu bhakti mein aisa nahi hota, bhakti chahe jiski bhi ki jaaye WO ek tarah ka sauda hota hai ishwar se, bhakti mein vyakti kewal apne vishya mein sochta hai, apne liye apni khushi aur uplabdhi  ke liye ishwar se prathna vrat-upwaas aadi karta hai, ishwar uski sunte bhi hai kintu aise vyakti shresht manavo ki shredi mein nahi aate,"

Ishwar aadhyatmik gyaan ke vishya mein batate hai, "yu to desh aur duniya mein aadhyatm ka gyaan dene wale, kaliyug Jane aur satyug aane ka Nara dene wale aise kitne hi sansthaan hai Jo brasht hai," "ishwar batate hai WO koi bhi gyaan kisi bhi jiv ki upeksha ka nahi dete, unki drishti mein pratek jiv unki Santan hai bhala WO apni Santan ka doosri santan se ahit kyon karayenge, kintu aaj ke samay mein aise jhoothe aadhyatmik sansthaan as chuke hai Jo logo ko behka rahe hai," ishwar batate hai"aise kaise pata chale ki WO sansthan galat aur WO sahi hai, pahle to kisi naami-girami sanstha ke paas na jao kyonki wohi sabse adhik bhrasht hain, iske pashchaat Jo vyakti aadhyam ke naam par tumhe dewta banane ka dawa karte hai, kisi bhi jiv, dharti, brahmand ki, ishwar ke kisi bhi roop ki Jo upekshta karte hai wo San farebi hai, aise farebi sansthaano she Bach kar bhale kisi anjane vyakti se shresht aur sahi aadhyatmik gyaan mile lena chahiye aur manav jivan ka sahi arth Jan kar apna aur doosro ka bhala karna chahiye",ishwar kahte hain "main sarvasva, sarvvyapi, sampoorn, sabka hit karne wala, shresht guru, shresht banane wala, shreshtam hu"..








Sunday 12 April 2015

ek ajib si kashmkash mein hu main

Ek ajib si kashmkash mein hu main,
Kitni akeli aur tanha hu main,

Chalna chahti hu sabki tarah hi main,
Jaane kaise har dafa fisal ke gir jati hu main,

Har baar manzil ko nazdik paati hu main,
Fir kyon manzil se bhatak jaati hu main,

Sochti hu is baar sabhal kar badaungi kadam main,
Har Bar kyon wahi galti kar jaati main,

sochti hu ban kar rahungi zamane ke jesi main,
Fir kyon zamane se alag ho jaati hu main,

Jhooth kapat swaarth  inse kitni door hu main,
Shayad tabhi is zahan ke laayak bhi nahi hu main,

Jis jagah jaati hu bas fareb hi paati hu main,
 Us rab ke ghar ko bhi bhrasht paati hu main,

Chhoda nahi logone us rab ko bhi paak,
Dekh ye din-raat ashk bahati hu main,

Bana liya ishwar ko bhi upbhog ki vastu,
Ye hi soch kar har ghadi roti rahti hu main,

Bas issi kashmkash mein hu main,
 shayad tabhi itni akeli aur Tanha hu main

Wednesday 8 April 2015

tu hi mera din h

Tu hi mera din hai tu hi meri raat h, tujhse Judi meri bar baat hai
Mili hai Jo sabse hasin cheez rabse,
 tu hi to wahi saugaat h,
Tu hi mera din hai tu hi meri raat hai,


Hai Jude tujhise hi mere to har zazbaat hain,
Tu hi din hai mera tu hi meri raat hai,
Bhigoya hai jisne prem mein mujhe,
Tu hi to WO barsaat hai,

maine ye khat tere naam likh dala

"Maine ye khat tere naam likh dala, apne zazbaato ka paigaam likh dala, suraj se puchho tum ya chand se kaho tum, maine to hal-ae-dil yaha bayaan yaha kar dala,

Tum apnao mujhe ab ya thukrao fir mujhe, maine to dil ki diwaaro par ek tera hi naam likh dala,
Sur hoon main par saaz tumhe kah dala, andheri raat mein bhi dikhta hai Jo chand WO tumhe kah dala,

Phool hoon jis gamle ka main Kali tumhe kah dala,
Kaata hoon  jis suman ka main WO phool tumhe kah dala, maali hu jis upwan ka khushboo tumhe kah dala, hoon akela kitna is duniya mein, apna hamnasin tumhe kah dala,

Maine ye khat tere naam likh dala-4

Tuesday 7 April 2015

ishwar vaani-66

Ishwar kahte h prateyek vyakti ko apne bure karmo ki saza yaha hi milti h, prani apne pichhle janm k aadhat par hi dukh-sukh paata h, ishwar kahte h halaki burai ye shareer karta h kintu dooze shareer me jab ye aatma janm leti h to pichale janm anuroop dukh-sukh paati h,

Halaki aatma me koi indriyan nai hoti, WO dukh-sukh rona-gana hasna-bolna aadi indriya bhaawo se door hoti h kintu jab WO shareer dharan karti h tab usme ye chhamta hoti ki wo indriyo ko mehsoos kar sake, kintu indriyo k vashibhoot yadi koi prani galat kaarya karta h to uski saza able kai janm take usse milti h, kyonki jab WO bure karm kar raha tha tab uski aatma me uski is pravatti evam uski indriyo ko cash me karne ki chamta usme thi kintu WO asafal rahi unhe vash me krne me jabki usme WO kabiliyat thi,


Yahi kaaran h jo jeev apne karmoki saza ki anek janmo tak bhogta h....

ishwar vaani- 65

Ishwar kahte h ye sampoorn brahmand nashwan h kyonki ye bhautik h, arthat Jo dikhai deta hai, mehsus hota, Jo badalta rahta h Jo chalyeman hota h bhaurtik h aur Jo bhautik h WO nashwan h,

Ishwar kahte h har bhautik vastu jisme sampurn manav jivan bhi aata h us mitti ke bartan k saman ke samaan h jise kumhar banata h, kintu inme koi truti aane par WO inhe nasht kar punah naye bartan banata h, ishwar kahte main sampurn shrashti ka kumhaar hu aur ye sharshti mera bartan, is me jab-jab truti aayegi main isse first mitti kar punah iska nirmaan karunga.