Friday 17 July 2015

meri bhakti meri shakti hai ma-kavita

"Meri bhakti meri shakti hai ma,
Mere nihshab ki abhivyakti hai ma,

Dur ho kar bhi har pal pas hoti hai ma,
Rahu chahe jahan dilme rahti hai ma,

Chot mujhe lagti to roti hai ma,
Dard chhipau lakh par jaan leti hai ma,

Kabhi Bahan kabhi saheli banti hai ma,
Kabhi dantti kabhi dularti hai ma,

Kabhi bahu to kabhi saas banti hai ma,
Har rishte se bas pyaar barsati hai ma,

Ishwar ka roop nahi ishwar hoti hai ma,
Ghar ke deepak ki Jyoti hoti hai ma,

Bina kahe kitna kuch kah deti hai ma,
Chup rah kar bahut kuch bata deti hai ma,

mere dil ki aawaz bas ye hi kahti hai,
Ma mein hi nav-durga to rahti hai,

pyar ki moorat duniya use kahti hai,
barsaye pyar sada ma hi to wo vyakti hai,

har mod par bas uski anubhuti hoti hai,
Hai amulya jagat mein WO Moti hai ma,

Har pal har lahma to uski jarurat hoti hai,
Soti hai santan chense jab jagti hai ma,


Har gam mera use mil jaye,
In ashko ko dekh ye hi kahti hai ma,

Zindagi ko har pal sawarti hai ma,
Har rishte nibha insasn banati hai ma,

Tabhi dil se ye hi aawaz aati hai,
Mere jivan mein jhalak uski dikh jati hai,

Patjhad se jivan mein haryali lati hai ma,
Dilpe pathar rakh beti Vida karti hai ma,

Kal ki beti hi to banti hai aaj ki ye ma,
Tere bin to ishwar bhi ashakt hai ma,

Tabhi Meri bhakti meri shakti hai ma,
Mere nihshabd ki abhivyakti hai ma,

Meri bhakti meri shakti hai ma
Mere nihshabd ki abhivyakti hai ma"

ae khuda

"Ae khuda na maangu tujhse ye dhan-daulan aur ye aasman, maangu to bas do gaz zamin zism ki bandish ko todne ke baad"

koi kaaran hoga- kavita

"Kadi dhoop mein daud lagaye fir bhi naukari na paaye koi kaaran hoga,

Garibi ghar mein perr jamaye har din wo to badti jaye kaaran hoga,

Karz beemari badti jaaye fir bhi kaam na koi dilaaye koi kaaran hoga,

Mehgai bhi badti jaye koi sarkar na kam kar paaye koi kaaran hoga,

Laachari bhi bahut sataye bebas aankhe kahti jaaye koi kaaran hoga,


Kisi ko ameeri khoob sataye kahi karibi badti jaaye koi kaaran hoga,

Koi paisa kaha chhipaye is chinta mein dooba jaye koi kaaran hoga,

Kisi ko roti  bhi na mil paaye kaise apna ghar chalaye koi kaaran hoga,

Koi chhappan bhog banaye koi Paani pee so jaaye koi kaaran hoga,


Kahi diwali roz manaye koi andhere mein din bitaaye koi kaaran hoga,

Kadi dhoop mein daud lagaye fir bhi naukari na paaye koi kaaran hoga-2



Thursday 16 July 2015

kis oor hai mujhe to bas jana- kavita

Aaj na chhat hai na hai koi aashiyanaa,
Mujhe nahi pata kis oor hai mujhe to bas Jana,

Zinda hoon kyon aaj tak main jahan mein,
Bahut dhunda par is wazah ko nahi pahchana,

Chalta raha har pal in pathrili raahon mein,
Girta raha sambhlta raha par na mila koi thikana,

Thak chuki meri ankhiya manzil ke intezaar mein,
Bahut chaha par nasib mein nahi tha bas use pana,

Nasib se aaj haare is kadar ham to jaha mein,
Varna kisi mein na dam tha hame hara paana,

Loot chuki zindagi mujhe na raha koi gharana,
Bebas aakhe kahti hai aaj nahi hota aur ye sah pana,

Aaj na chhat hai aur na hai koi aashiyana,
Mujhe nahi pata kis oor hai mujhe to bas jana-2

Wednesday 15 July 2015

pauranik katha-8, sabse pavitra

"Ek samay ki baat hai saint kabir kisi samaroh mein gaye, waha ke ek vikhyaat pandit aur saint kabir ke beech shashtarth ki pratiyogita ke aayojan ke vishya mein waha ke panditon ne saint kabir aur un mahatma se baat ki, WO dono iske liye taiyaar to gaye kintu shashtarth poorva WO ek doosre se mile tak nahi the kintu ek doosre ki khyaati avashya unhone suni thi,

Kintu shashtrath wali subah jab WO pandit shauch kriya ke baad apni kuttiya mein laut rahe the tabhi kabir das ji waha se nikle unhone pandit Ji se kaha ram-ram par unhone koi uttar na diya is tarah kabir das Ji ne kayi baar ram ram kaha par pandit ji ne koi uttar na diya,

Jab shashtrath ka samay hua to dono vidwaan aamne samne baithe, kabir das ko in pandit msharaj ne unhe pahchan liya kintu apne ahankar mein choor pandit apne ko hi abhi tak shreshth samajh unhe harane par hi vichar mein vyast tha, kintu shashtrath shuru hone se poorva kabir das Ji ne pandit Ji se puchha aaj subah jab aapse Maine ram ram kaha to aapne uttar kyon nahi diya??

Pandit Ji ne uttar diya tab main ashudh avashtha mein tha, to kabir das Ji bole arthaat? Pandit Ji bole main shauch kriya karke laut raha tha isliye ashudh tha tabhi aapko uttar na de saka, is par kabir das ne kaha aap fir shudhh kaise huye, pandit Ji ne kaha mitti aur JAL se, is par kabir das Ji bole kintu mitti aur jal bhi to ashudh hai, sansar mein aisi kaun si vastu hai Jo shudhh hai kewal ram ke naam ke siwa, Maine to aapko sabse shudhh karne wale ka smaran karne hetu ram ka naam liya aur pratuttar ke sthaan par aap bina kuch kahe chal diye,

Ye sun kar  pandit Ji ne shashtrath nahi kiya apitu saint kabir ke shishya ban gaye.."






Tuesday 14 July 2015

ishwar vaani-89, manav dharm

Ishwar kahte hain "yadhapi kaliyug mein anek jaati, dharm, aur sampradaayon ka uday hua hai, kintu isse poova aisa nahi tha, manav jaati ke shuruaat mein na jaati na dharm aur na sampradaaye the, manav aur uske karm hi itne paswan the ki mujhe (ishwar) ko is dharti par manav ko paap ke raaste se mukt karane hetu unhe shikshit aur gyaan dene yaha aana nahi padaa,

Kintu samay ke saath anek vikratiya maanav jaati mein aane lagi falswaroop unhe door karne ke liye jaati aur sampraday ka nirman hua, kaliyug mein paap sthaan-sthaan par itna bad gaya ki mujhe dharti par aa kar maanav jaati ko paap aur dukh se mukti dilaane hetu aana pada, desh/kaal/paristithiyon ke anusaar main dharti par avtarit hua, apne gyaan ko duniya mein dohraya, us gyaan par chalne aur maanne wale aur na maanne wale dono hi tarah ke logon ne isse ek naye dharm ke roop mein liya, jabki iska mool uddeshya log bhool gaye, mere gyaan ka mool uddeshya tha manav vikrati ka ant aur sampoorn manav dharm ki sthapna na ki anya dharm ki, kintu manav ne meri shiksha ke viprit khud hi naye naye dharm ka nirmaan karte gaye, aur falswaroop aaj jagat mein raag/dwesh/hinsa ka shukaar khud hi ho rahe hain, Jo vyaktu manav dharm ko bhool kar meri di shiksha ka galat arth nikalega waha ye sab to hoga hi,

Yadi samay rahte manav ne manav dharm ki raksha hetu kartavya nahi kare to sheeghra hi na manav bachenge aur na unke hi jaati-dharm-sampraday na manav jaati, aur iska jimmedar khud manav hoga.."






Saturday 4 July 2015

ishwar vaani-88, barf aur aakashiye sagar

Ishwar kahte hain "aakash se girne wali nadi Jo barf ke roop mein dharti par aati hai, WO aakashiye sagar ke dwaara hi aati hai, yadi usse barf ka roop na diya jaata to uska vaig itna tez hota jisme poori dharti doob jaati, isliye usse pahado par barf ka roop diya aur pahadon ke tede-mede pathrile raaston se ho kar uska vaig kam hota jaata hai,


Samast glacier aur samast pahad ishwariye chhavi aur samast prathvi ke rakshak aur paalak hain, Jo meri satta ki parichayak hai"