Saturday 16 April 2011

Koi shart hoti nhi pyaar mein-Article

Duniya ki sabse khoobsurat cheez hai pyaar, jab hum kisi k pyaar mein hote hain tab ye duniya kitnee khoobsurat lagti hai, sab kuch achcha lagta hai, naya utsaah, nayi tarnge, har pal har lamha jeene ka dil karta hai, zindgi ko ek nayi disha milti hai jab hum kisi k pyaar mein hote hain,

     kahte hain pyaar nihswaarth hota hai, ye sabhi tarah ke samajik bandhono se mukt hota hai, jo log sachcha pyaar karte hain wo duniya ki parwah nhi karte hain, so apne pyaar k liye kuch bhi kar sakne ka housla rakhte hain, apne pyaar k liye wo duniya ki kisi bhi taakat se lad sakte hain,

     kahte hain jo log sachcha pyaar karte hai bhagwaan bhi unki madad karte hain, unhe milaane mein wo srishti k niyam bhi badal dete hain par wo aisa tabhi karte hain jab wo ye dekh le ki ye wakai sachcha pyaar hai ye pal do pal ka mahaz ek aakarshan ye fir waasna,

     Sati Savitri ki kahani to hum sab jaante hain jisne apne pati ke praan yamraaj se bhi wapas le liye the, ye uske sachche aur nihswaarth ke kaaran hi mumkin huaa, uske apne pati k likye pyaar nihswaarth tha, nishchhal tha, sachcha tha, tabhi uske liye bhagwaan ne shrishti ka niyam bhi badal diya aur uske pati k praan laouta diye,

     kahte hain sachche pyaar mein koi shart nhi hoti, jab hum kisi se pyaar karne lagt hain tab isse koi fark nhi padta ki koi dekhne mein kaisa hai, wo ameer hai ya gareeb hai, uske paas kitne bhotik saadhan hai jinse hume duniya ki saari sukh suvidhaaye mile, bangla, naukar chaakar, gaadi, keemti kapde aur jaane kya kya ab kya kahu main yaha,

     sachche premi apne pyaar ko paane k liye duniye se bagawat karke ek dusre ka haath thaamte hain, kyon ki wo jaante hain unka saathi unse itnaa pyaar karta hai ki usse iss duniye k kisi bhi rishte ki kami usse mesoos nhi hogi,

     meri nazar mein pyaar bhagwaan ki sabse keemti cheez hai jo sirf kismat walo ko milti hai, wo ek kohinoor heere k saman hai, sachcha pyaar naseeb se milta hai naseeb walo ko milta hai,

     kahte hai wo log duniye mein sabse badnaseeb hote hain jo kisi k sachche pyaar ko thukraate hain kyon ki wo aisa karke bhagwaan ki uss keemti cheez ko thukraate hain jo shayad kohinoor heere se bhi jyaada keemti hai, duniya ki tamam daulat, tamam sukh suvidhaye uske aage kuch bhi nhi hai,

     Sachcha pyaar milna kisi ka prabhu ka prsad hai jo kewal unke behad priya bhakto ko hi milta hai, duniya mein wo sabse badnaseeb log hote hai jo isse thukraate hai, kyon ki aise logo ko duniye mein fir kabhi pyaar nhi milta, wo aajeevan sachche pyaar k liye taraste hain,


afoos ki baat hai ki aaj iss duniya se sachca pyaar gayab hota ja raha hai, log vaasana ko pyaar kahne lage hain, sachcha pyaar jo dil se kiya jata tha ab sirf apne shareer ki bhoonk ko shaant karne ko hi pyaar kahte hain,

     ek se adhik logo ko apna premi banana aaj kal yuwaao ka fashion hai, pyaar bhi unka sif vaasana tak hi seemit hai, wo isse hi pyaar kahte hain, usne pucho kya tumne kisi se dil se pyaar kiya hai, kya kar sakte ho apne pyaar ko paane k liye, to kahte hai "pyaar mein vaasana na ho to pyaar kis kaam ka, aur rahi baat pyaar ko paane k liye kisi bhi had tak jaane ki to wo puraane jamane mein hota tha aaj kal pyaar to bas sex ko hi kahte hai aur wo bhi har baar naye naye partner se, kisi ko paane k liye kch bhi karne ki baat tab hoti jab kisi ek se zindgi guzaarne ki dil mein chahat hoti jo aaj kal out of fashion hai", ye hain aaj k yuwa, jo kahte hain pyaar karo, sex karo aur bhool jao....


     aaj ki peedi Sati Savitri jaisa pyaar nhi karti, heer ranjha, romio juliat, ye sab to bas sirf naam k rah gaye hai,



     aaj ka pyaar bhi bhoti bastuo mein simat k rah gaya hai, kisi ko uska pyaar tabhi milta hai jab uske pocket hot hai matlab ki uske paas daulat hai, jiske paas nhi hai, usse uska premi bhi thukra jata hai,



premi uskee aankho mein jhalakte pyaar ko nhi dekhta kyon ki usse sirf matlab hota hai paise se,



     kahte hain aksar ladkiya apne liye ek behad ameer premi paana adhik pasand karti hai, jiske paas tamam tarh ki sukh suvithaye ho, par aisa nhi hai ki sirf ladkiya hi aaj ki aisa chahti hai aaj k ladke bhi aisi ladki chahte hai jiske paas paisa ho, rutba ho, agar unki premika k paas aisa nhi hai to wo uske nazar mein bekaar hai, wo uske beizzati karte nhi thakte,



unhe isse koi matlab ki koi unse kitnaa pyaar karta hai, unhe matlab hai to sirf paise se, shaadi bhi wo tabhi karne ki sochnege jab unki premika achcha khaasa kamane lagegi,



ye hai aaj ka pyaar, matlabi,





aaj ke yuwaa aaj kal pyaar mein bahut jaldi pad jaate hain, ladke ladki ne 2, 4 baate kar li bas ho gaya unhe pyaar, bas bol diya I LOVE YOU, aaj ke yuwaaone pyaar ko ek khail bana k rakh diya hai,



kisi ne mujhse kaha tha ki ye to aaj kal ka fashion hai pyaar karo sex karo aur bhool jaao, agar sachche pyaar k c hakkar mein rahe to zindgi bhar bina shaadi k rahna padega, kyon ki aaj k time mein sachcha pyaar nhi hai sirf dhokha hai...



sachcha pyaar bhi sirf usse hi milta hai jiske paas paisa hai, so apne dil se sachche pyaar ka khyaal dil se nikal do,
sachh hi kaha tha usne, aaj kal pyaar dil se kiya nhi jata kewal paiso se khareeda jata hai, jo cheez ek time mein duniya mein sabse anmol thi aaj uska mol lagta hai bazar mein aur jo itna adhik dega wo uska hoga,

prem ki sachchi bhaawana khatm ho gayi hai aaj ke yuwaao k dil se,
koi shart hoti nhi pyaar mein par aaj pyaar sirf sharto pe hi kiya jata hai,



koi kahta hai ki tum mujhe itne paise kama kar do tabhi baat karna,



koi uski mazboori par hasta hai,







sachh mein aaj logo k dil se sachcha pyaar kahi kho gaya hai,



bhagwan ki wo sabse keemti cheez kho gayi hai duniya se,





hey bhagwaan ab aap hi kuch raasta dhoondo, bacha lo apni iss anmol cheez ho jo khoti ja rahi hai iss duniya se, iske bina har insaan adhoora hai........









God Pls

Help

No comments:

Post a Comment