Monday, 20 April 2015

ek kahani(meri kalpna)

"Maine unhe pahli baar TV pe ek cricket match ke dauraan dekha tha, ek darshak ne jab unhe paani ki bottle faink ke mari aur usse bachne ka unka andaaz mera to dil hi chura le gaya tha, pahli baar kishoravastha ke Madhya me aa kar maine prem ki is bhaawna ko firse mehsoos kiya tha, unki umar bhale mujhe us waqt unki umar dogni thi par kahte hai na prem mein koi diwaar mayne nahi rakhti chahe umar ki hi kyon na ho,

Unhe dilme mein basa bina mulakat ke Bas dilme ek hasrat unse milkar unhe ye batane ki ham unse kitna pyaar karte hain, har pal aur har lamha unhi ki khushi chahte hain bas jine lage, WO intezaar ka pal, WO ek tarfa pyaar ka pal, WO khwaab aur kalpanao ka pal behad hasin tha, shayad hi aisa hasin aur khushnuma pal unke baad zindagi mein mujhe mila ho,

Wakt ke saath jab maine auron ko dekha unke saathi ke saath, dilme hamare bhi dheere dheere unhi ki tarah hi prabal hone lagi, dil ab kalpnaao se pare us ek tarfa pyaar ki jagah us do tarfa pyaar ko dhoondne laga, han dilme tashvir jaroor us shakhs ki thi Jo dilme ektarfa pyaar ke kaaran abhi bhi man mein baitha tha,

Wakt ke saath dono taraf ka izhaar hone laga, mere liye bhi kisi ka dil dhakne laga, pahli mili nazre fir dil Milne laga, sapna Jo adhoora tha sach wo lagne laga, ye dotarfa pyaar us ektarfa prem se bhi suhana lagne laga,

Par nasib mein kya tha likha na malum tha, is dotrfa prem mein fareb ka hi kanoon tha, dikha kar jhoothe khwaab ek din chala gaya WO kisi aur ke saath, par dilne fir kisi ko panah di, shayad pyaar karne ki kismat ne mujhe ye saza di, dil ko tod kar dur Jane lage log, dekh peeche mud kar fir muskra dil dukhane lage log,

Wakt ke saath mujhe us ek tarfa pyaar ki yaad mujhe aayi, dil kahne laga WO ek tarfa pyaar WO khwaab wo kalpnaao bhara jivan hi hamare liye hasin tha, na bewafai thi aur na hi dil ye mera yu gamgin tha, bahut wakt laga mujhe ye samajhne mein, bahut wakt laga mujhe ye jaanne mein, mere liye siwaaye ek saathi Chuna hai us ishwar ne, Jo na to bewafa hai na farebi hai, jisne kishoravastha se le kar aaj tak saath mera diya hai aur aage bhi mera haath thaam kar saath mera dena chahta hai WO hai mera ek tarfa pyaar meri kalpna"






mujhe pyaar hua

Hua hua han hua mujhe pyaar hua, Kaise hua kahan hua han pyaar hua, hua hua han mujhe pyaar hua,


Jane kaise han kaise tumpe aitbaar hua, jane kab mera dil bekarar hua, hua hua han hua mujhe paar hua,


Ji rahi thi main bin tumhare, chal rahi thi akele bina sahare, par na thi is zindagi mein koi bahare,

Ooo Ji rahi thi main bin tumhare, chal rahi thi akele bina sahare, par na thi is zindagi mein koi bahare,


Mile Jo tum mujhe dekhe ye nazare, mile Jo tum mujhe dil mein khili bahare,


Jine lagi hoon tumhare sahare, dekhne lagi hoon ye dilkash nazare, jaane kaise ye kab hua,

Hua hua han mujhe pyaar hua,kaise hua han kahan hua mujhe pyaar hua,

Pahle thi zindagi banzar zamin jaisi, tarasti thi bas do boond mohabbat bhari nazaro ki aisi, jaane kaise dil ye  tumse mila,

Hua hua han hua mujhe pyaar hua, kaise hua kahan hua han kahan hua mujhe pyaar hua,-4








Sunday, 19 April 2015

ishwar vaani- manav aur pashuo ke vanshaj ek hi hain-70

Ishwar kahte hain "dharti par prani ki utpatti karodo saal janme un jivon se hui hai jise duniya aur tamam vegyanik vilupt praaye prani mante hain,"


Ishwar kahte hain "vartmaan samay ke samast praniyo ki utpatti ka aadhar wahi prani hai,

Sadiyo se prachlit yug pratha jisme satyug ko shreshth mana jaata hai, kaha jaata hai us samay ko devi devtao ka yug kahte hai, kyonki us samay paap nahi tha, sabki paawan budhhi thi,"
Ishwar kahte hain "us yug mein maanav aur anya praani is tarah nahi dikhte the, unke vichaar aur soch bhi aaj ki bhaati nahi thi, isliye kahi koi puja aur aaradhna nahi hoti thi, koi mandir aadi nahi the, iski wazah yahi hai us samay maanav aur anya jiv us avashtha mein the jaha manushya aur pashu-pakahi ka bhed samapt ho jata hai, par dheere dheere jalwaayu pariwartan ke kaaran praniyo ke sharirik aakar mein pariwartan aaya soch mein pariwartan aaya jiske kaaran prani-prani ki soch mein badlaaw aaya aur wait ke saath unke khan-paan ke pariwartan ke saath jivo mein aapas mein bhed-bhaaw aane laga, WO hi bhed bhaaw pahle pashu aur manushya me roop mein viksit hua fir jaati me aadhar par, shetra me aadhar par, dharm me aadhar par, aur aaj is kaliyug mein jaane kitne hi roopo mein fell chuka hai"

Ishwar kahte hai "kuch dharmik manytaao wale log pashuo ke andar aatma na hona kahte hai to kuch kahte hai manushya aatma alag hai aur pashu aatma alag, manushya aatma manushya roop mein hi janm leti hai aur pashu aatma pashu, kintu wo ye nagu jante manav aur pashuo ke janm data WO jeev ek hi gain bas wakt ke saath shaaririk aur mansik pariwartan hi hua hai, aapas mein manav aur pashu bhai bhai hi hain"







ishwar vaani- aatma aur parmatma ka satya-69

Ishwar kahte hain"main nirakar hu, sarvaswa hu, sarvyapi hu, tum sab praniyon mein mera hi ek ansh aatma roop mein virajit hai,

Khud ko vidvwaan kahne ishwar ki apne andar samahit  kar apni abhivyakti vidwaan ban kar logon ko bhramit karne wale mujhe ling mein baandh dete hai aatma ko bhi meri tarah hi long mein baandh dete hain,

Kintu sach to ye hai mera aur kisi bhi jivaatma ka koi ling nahi hai, na main stree hu na purush, aatma bhi na purush hai na stree,

Kintu jis prakaar bhakt ki shradhhanusaar main bhi ma athwa pita banta hu, waise hi jiv aatma bhi jis shareer mein pravesh karti hai wohi ban jaati hai,

Aatma ka apna koi roop nahi hai, stree-purush, jiv-jantu ityaadi, apne karmo anusaar aatma janm leti hai,

Yehi aatma aur parmatma ka satya swaroop hai" 

ishwar vaani- anda aaya ya murgi, param satya-68

Manushya ke hriday mein sadiyo se ye sawal aksar raha hai ki pahle murgi aayi ya anda, aaj ishwar is ati gopniye vishay ki vistrat baate hame batate hain,

Ishwar kahte hain "samst jivo ka aadhar anda hai, arthaat Jo jiv aaj andey se nahi nikalte unke jivan ka aadhar bhi anda hi hai,"

Ishwar kahte hain "jab dharti aur shrishti ka Nirman pura ho gaya tha aur waha jivan panapne wala tha, jivan ki utpatti ke liye aavshyak tha jivan ke panapne laayak mahol banana, aur iske liye nishchit dravya (+liquid) arthaat jal ki aavshyakta hui iske saath hi us JAL ki raksha evam jivan ke kaabil un anek drivyon hetu unhe sarankshit karne ke liye ek thoss vastu ki aavshyakta hui, is thoss vastu me andar JAL(paani) ke saath milkar anek kriyaaye hui, fir taap vridhhi hui jiske kaaran dharti par jivan ka uday hua,"

Ishwar kahte hain "jaise manushya ko janm aaj bhi kewal wohi hi stree de sakti h jiske shareer me andashay aur janm dene hetu paryapt andey ho, ye prakiya na kewal manushya par apitu samast jivon ki utpatti par laagu hota hai, kuch jiv shareer me andar andon ko dharan kar ek nayi zindagi ko duniya me laate h to kuch andey ko pahle apne shareer se bahar nikal jar navjuvan ka uday karte hai, kintu tarika  wahi h, shrushti par jivan ki utpatti ka karan aur tarika bhi wohi hai"





Tuesday, 14 April 2015

ishwar vaani-aadhyatm aur bhakti-67

Ishwar kahte hai: "aadhyatm aur bhakti mein bahut bhed hai, aadhyam vyakti ko uske shrashti mein kis uddeshya se hai iska gyaan karata hai, uske kartavyo ka bodh karata hai, aadhyatmik gyaan ko grahan krne wala vyakti shresht manavo ki shredi mein as kar ishwariye kripa ka bhaagi ban prani kalyan mein apna sampurn jivan vyatit kar deta hai, yahi uski sundarta aur prasannta ka karan hota hai,

Kintu bhakti mein aisa nahi hota, bhakti chahe jiski bhi ki jaaye WO ek tarah ka sauda hota hai ishwar se, bhakti mein vyakti kewal apne vishya mein sochta hai, apne liye apni khushi aur uplabdhi  ke liye ishwar se prathna vrat-upwaas aadi karta hai, ishwar uski sunte bhi hai kintu aise vyakti shresht manavo ki shredi mein nahi aate,"

Ishwar aadhyatmik gyaan ke vishya mein batate hai, "yu to desh aur duniya mein aadhyatm ka gyaan dene wale, kaliyug Jane aur satyug aane ka Nara dene wale aise kitne hi sansthaan hai Jo brasht hai," "ishwar batate hai WO koi bhi gyaan kisi bhi jiv ki upeksha ka nahi dete, unki drishti mein pratek jiv unki Santan hai bhala WO apni Santan ka doosri santan se ahit kyon karayenge, kintu aaj ke samay mein aise jhoothe aadhyatmik sansthaan as chuke hai Jo logo ko behka rahe hai," ishwar batate hai"aise kaise pata chale ki WO sansthan galat aur WO sahi hai, pahle to kisi naami-girami sanstha ke paas na jao kyonki wohi sabse adhik bhrasht hain, iske pashchaat Jo vyakti aadhyam ke naam par tumhe dewta banane ka dawa karte hai, kisi bhi jiv, dharti, brahmand ki, ishwar ke kisi bhi roop ki Jo upekshta karte hai wo San farebi hai, aise farebi sansthaano she Bach kar bhale kisi anjane vyakti se shresht aur sahi aadhyatmik gyaan mile lena chahiye aur manav jivan ka sahi arth Jan kar apna aur doosro ka bhala karna chahiye",ishwar kahte hain "main sarvasva, sarvvyapi, sampoorn, sabka hit karne wala, shresht guru, shresht banane wala, shreshtam hu"..








Sunday, 12 April 2015

ek ajib si kashmkash mein hu main

Ek ajib si kashmkash mein hu main,
Kitni akeli aur tanha hu main,

Chalna chahti hu sabki tarah hi main,
Jaane kaise har dafa fisal ke gir jati hu main,

Har baar manzil ko nazdik paati hu main,
Fir kyon manzil se bhatak jaati hu main,

Sochti hu is baar sabhal kar badaungi kadam main,
Har Bar kyon wahi galti kar jaati main,

sochti hu ban kar rahungi zamane ke jesi main,
Fir kyon zamane se alag ho jaati hu main,

Jhooth kapat swaarth  inse kitni door hu main,
Shayad tabhi is zahan ke laayak bhi nahi hu main,

Jis jagah jaati hu bas fareb hi paati hu main,
 Us rab ke ghar ko bhi bhrasht paati hu main,

Chhoda nahi logone us rab ko bhi paak,
Dekh ye din-raat ashk bahati hu main,

Bana liya ishwar ko bhi upbhog ki vastu,
Ye hi soch kar har ghadi roti rahti hu main,

Bas issi kashmkash mein hu main,
 shayad tabhi itni akeli aur Tanha hu main