Thursday 22 November 2012

Ishwariya Satya............ Ishwar Vaani *7*

"kisi ne puchha mujhse ki agr bhagwan jab dil mein rahte hai to hm q unhe mandir ya fir kisi dharmik jagah dhunte h, hmne usse btaya ki ye sach h ki ishwar to hmare dil mein niwas karte h par kya ek baar bhi kisi ne dil se ghar par rahte huye unhe yad kiya h, ghar par puja krte huye bhi hmara sara dhyaan ghar ki hi baato me laga rahta h, dil me rahne wale prabhu ki upaasna to bas ek chhalawa hai jisse hm manne se inkar krte h, hmne usse btaya ki mandir ya anya kisi dharmik jagah ka nirman isliye kiya jata h athwa kiya gaya hai jaha ja kar hm bhale kuch pal k liye hi sahi ghar ki, baahar ki saari baaten bhula kr sachhe dil se prabhu ko yad kr sake, hmare dil me wo rahte h kuch pal k liye sachhi bhawana se unse jud sake, unhe yaad kar sake, unn mahanubhav ka tark tha prabhu k darbar me ek baar jana kafi hota h, fir q log bar-2 dharmik sthaano par jate h? hmne kaha ye sach h kuch log aisi jagah b mauj masti krne k liye jate h, par jo shakhs sachhi ishwariya bhawna se aisi jagah jata h wo galat nhi h q ki ishwar se judne k liye koi samay seema tay nhi h ki prabhu se jeevan me ek baar hi juda ja sakta h, aur aaj k samay mein intne samashyaon se ghire rahte aur ativyasht kaarayakram k kaamran hum ghar pe rahte huye prabhu se nahi jud sakte isliye aisi jagah kuch pal k liye saari baaton ko bhula kar bas sachhe dil se prabhu ko yaad karna ya unki stuti karne jane mein koi harz nahi hai, aadi kaal mein logon ko ya maalum tha ki kaliyug mein maanav k paas schhe hraday se ishwar ko ghar pe rahte huye yaad karna, unki upaasana karna mushkil hoga tabhi aisee dharmik jagahon ka nirmaan kiya gya jaha wo ishwar se sachhi bhavna k saath jud sake, hmne usse btaya ki log kahte h ki hm falan dharmik jagah gaye aur hmari mannat puri hui, sachh to ye h ki jis waqt wo mannat ki thi uss waqt dil purn roop ishwar me vileen tha, sachhe mann aur bager kisi bhatkav se uss waqt mangi mannat purn hui, wo mannat ghar se bhi poorn ho sakti thi yadi ghar pe rah kar schhi ishwariya bhavna mein vileen ho kar wo mannat maangi jaati q ki sachh to ya ishwar kan kan mein viraajit hai, humare dil mein unka niwaas hai, humne unn maahnubhav ko batya ki yadi koi paapi vyakti paap karm karta hai to ek pal k liye uske dil se aisa na karne ki aawaz aati hai, jisse wo ansuna kar deta hai, uska paap uss par iss kadar haavi hota hai jiske kaaran wo uss aawaz ko sun kar bhi  nhi sun pata hai, ye aawaz hi ishwar ki asali aawaz hoti hai, jo dil se nialti hai, aur hume humesha galat sahi ka bodh karaati hai kintu uss awaaz ko sun kar bhi hum ansuna kar dete hai,



    unn mahanubhav ko kis bhi dharmik jagah par ishwar ka anubhav nahi hota tha, wo dharmik sthaan par maatra ghoomne k maksad se jaaya karte the shaayad, unhe ye bhi nahi pta tha ki kisi bhi shakti peeth mein ishwar ka niraakar roop q viraajit hai, humne unhe bataya ki kisi shakti peeth mein ishwar apne niraakar roop mein isliye viraajit hai q ki wo ye sandesh samast shrasti ko dena chahte hai ki ishwar ka vaastavik roop ye hi hai, hum unhe jiss roop aur naam se sachhe dil se yaad karte hain, unhe pukaarte han wo ussi roop mein humare samaksh hote hai, Geeta mein likha gaya hai ki mukhya to bas ye hi hai ki jiss bhi naam aur roop se ishwar ka smran karo, mukhya to ye hai ki unhe yaad karna, jiss bhi naam se unhe pukaro ant mein aana to unhi k paas hai, chahe unhe Ram kahe,Krishna kahe, Durgh kahe, Jesus kahe, ishar to bas ye hi chahte hain jis b roop mein unhe pukaro, unki araadhana karo par karo jarur, jis bhi naam se unhe pukaro jana to ussi niraakar parmeshwar k paas hi hai...........




--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

Wednesday 21 November 2012

Ishwar kahte hain...... Ishwar Vaani *6* **hume apne dukhon se ghabraana nahi chahiye**

ishwar kahte hain, "hume apne dukhon se ghabraana nahi chahiye, humesha dherya se kaam lena chahiye hai, wo kahte hain iss bhotik sansaar mein dukh aur sukh milna dono hi baate honi hi honi hai kyon ki donon hi baate ek hi sikke k do pahlu jo hain, ishwar kahte hain jab wo iss bhotik sansaar mein aaye chahe Shri Ram ban kar ye Shri Krishna bankar ye fir Lord Jesus ban kar, unhe bhi iss bhotik sansaar mein dukhon ka saamna karna pada, par jiss dherya aur sahansheelta se unhone ye sab saha ussi dherya aur sahasheelta se hume sab sahna chahiye, aur iske saath hi apni budhhi aur vivek se kaam lena chahiye, ishwar kahte hain chahe jeevan mein haalat kaise bhi ho hume prabhu par yakin krna nhi chhodna chahiye, unki bhakti aur unki stuti nhi chhodni chahiye, balki unke charitra chitran ko yaad rakhna chahiye, unse hume seekh milti hai dukh aur musibaton se ladne ki aur aage badne ki, unke charitra chitran se hume jeevan mein ek nayi raah milti hai ek  nayi disha milti hai jo hume aage badane mein sahaayak hoti hai, isliye bure waqt mein apne ishwar ko koshne se achha hai ki unke charitra chitran par ek baar theek prakar se nazar daali jaaye"

God Says.............Ishwar Vaani *5* **wo hm sab mein rahte hai**



"ishwar kahte hai "wo hm sab mein rahte hai, kintu hm unme nhi hai, ishwar ka abipraye hai jaise ek baalak apne mata pita ka ek ansh hota hai waise hi hum sab uss prabhu ka ek ansh hain, kintu jis prakar ek baalak apne mata pita ka ansh hota hai kintu mata pita uska nhi hote, mata pita jitne chahe apna ansh apne baalak k roop mein sansaar  ko de skte hai, kintu baalak apni ichha se mata pita ko iss duniya mein nhi la sakta, waise hi hum prabhu ka ansh jarur hain kintu wo humara ansh nahi hai, uski ichha se sansaar ki samasht cheezo ka nirmaan hua hai, tabi to kan kan mein virajit hai, wo hum sab mein hai kintu hum sab usme nhi hai, mrityu k pashchaat hum uske paas jate hain aur wo , uski to kabhi mrityu hoti hi nhi hai, wo to janm maran se kosho door hai,, ." issi tarah ishwar hmare janak hain, hm ishwar ka ansh hai, wo hmare andar hai kintu hm usme nhi hain.."



Thanks and Regards
 *****Archana*****

Sachha Saint.....God Says..Ishwar Vaani *4*


sachha sant wo nahi hota jo apne kartavon ko tyaag kar bhotik sansar se khud ko dur kar sanyaas prapt krta hai, prabhu kahte hain "ek sachha sant wo hota hai jo bhotik sansar mein rahkar, apne kartavyo ka purn roop se nirwaah karte huye inn cheeze ko ka tyaag karta hai jo iss prakaar hai-kaam, krodh, lobh, moh aur ahankaara, iske atirkt usme aseem dherya aur daya ka hona bhi behad zaruri hai, iske saath hi jo manushya sachhe dil se ishwar ki stuti krta h, unka smaran krta h aur chahe jeevan mein jaisi bhi parishtithiya ho uska prabhu par se vishwaas atoot hota hai aur saath hi apne dil mein, dimag, mein, dhadkan mein, apni saanso mein unhe rakhta hai, unhe yaad karta hai, wo hi prani ek sachha sant hai," kul milakar bhotik sansan mei rahte huye, bhotik rishto aur bhotik kartavyo ka purn nirwah karte huye jo apne dil aur aatma se abhotik rahta hai arthaat kisi bhi moh maya mein nahi fasta kewal apne kartravyon ka paalan karta hai, wo hi dharmatma ya fir sant hai, prabhu iske liye sant Sudama ka udaahran dete hai, prabhu khte hain "jaise sant Sudama ne apne bhotik rishto ko nibhate huye, apne kartavay ka palan karte huye wo bhagwan shri krishna k paas madad k liye gaye the kintu dil se wo purn roop se abhotik rah kar bhagwan shri krishna k bhakt the, wo kisi k moh mein fasse huye nahi the, sirf aur sirf prabhu k aseem prem mein doobe huye the," iswar hme waisa hi sant k liye kahte hai na ki sant k naam par pakhand karne k liye.."

-- 
Thanks and Regards
 *****Archana*****

Monday 19 November 2012

waqt ka ye ferr dekhiye...



waqt ka  ye ferr dekhiye , ek waqt tha jab duniya mere saath thi aur
aaj sirf zindagi ka khaalipan mere paas h, waqt ka ferr dekhiye, ek waqt tha jab
khushiyo saugaat thi aaj  gamo ki barsaat h, waqt ka ferr dekhiye,
kabhi tha aangan mera mehka mehka aur aaj dikhta h bikhra bikhra, kabhi
hoti thi yaha kheti pyaar ki, lehraati thi fasal dulaar ki par aaj
milti hai to sirf tanhaiya, waqt ka ferr dekhiye,kabhi rahte  the sab saath, jo thaam kar chalte the ek doosre ka haath, bante the sahara ek dusre ka waha aaj nazar aati  hai ye jaane kaisee mazbooriya, waqt ka 
ab ye ferr dekhiye, jaha hoti thi kabhi nazdikiya ab aa chuki hai ye kaisi dooriya,
 waqt ka jo ab ye ferr dekhiye, kabhi zindagi saath guzaarne ka khwaab hua karta tha unka mere saath aur aaj saath chalne se katraate hai,waqt ka ye ferr dekhiye, kabhi wo kahte the ki hum dil mein unke rahte hain aur aaj apne hi dil se ghabrate hain, waqt waqt ka sab ferr hai ye, kabhi khushi to kabhi dard ka dherr hai ye, waqt waqt ka ferr h ye ,waqt ka ferr h ye , waqt ka ferr ye dekhiye,waqt ka  ye ferr dekhiye  ..

Sunday 18 November 2012

पग पग गिरता फिर सम्भलता हू मैं

पग पग गिरता फिर सम्भलता हू मैं, पग पग चलते हुए रास्ता ढूनडता हू मैं, ना पता है मुजे कोई रास्ता और ना पता है मंज़िल का, दोष दू
तो किसे दू, हालत से हरा हुआ, अपनो से ठुकराया हुआ कमजोर साशख्स
हू मैं, 


कभी ज़िंदगी चूमती थी कदम  और आज मौत भी रहती है हरदम, कभी वक़्त था ऐसा जब मैने अपनो के लिए कर
 दी कुर्बान खुशिया सारी, आज हालत के हाथों मिली है बस मुजे लाचारी,
गेरो के नही अपनो क सितम का शिकार हू मैं,


 की मोहब्बत जिससे मैने
उसका भी ठुकराया हू मैं, वक़्त था कभी जब सीने से लगाते थे वो
मुझे, और आज दूर रहने को कहते हैं वो मुजे, पूछता  खुद से मैं ये सवाल
हू, क्या किसी को अपना कहना ज़ुर्म था मेरा, क्या किसी को सहारा देना ज़ुर्म
था मेरा,


 क्या किसी से दिल लगाना गुनाह था मेरा,जो चीन के मेरी खुशी मुजे ज़हाँ ने तन्हा छोड़ दिया, भुला के
सारी वो बीती हुई  बाते मूज़े ताड़पता छोड़  दिया,
और आज हू इस कदर बेबस मैं,


 पग पग गिरता और सम्भलता हू मैं, पग पग गिरता फिर सम्भलता हू मैं, पग पग चलते हुए रास्ता ढूनडताहु मैं,
ना पता है मूज़े कोई रास्ता और ना पता  है मंज़िल का बस पग पग गिरता फिर सम्भलता हू मैं..--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

aisa q hota h...(sad shayri)


"aisa q hota h aksar mera saath, dur chala jata hai mujse jo hota hai mere paas, deta hai kuch pal khushi k wo, dikhata hai khwaab zindagi k wo, karta hai wada har pal saath rehne ka wo, fir ek din aankho mein de kar ashk aur chheen kar har khwaab khushi ka dur chala jata hai jo mera hota hai behad khaas..('ͺ')"


-- 
Thanks and Regards
 *****Archana*****