Sunday 21 June 2015

ek katha

"Tum kahti ho Deepa usse bhula kar zindagi ki ek nayu shuruaat karu, par kaise samjhau tumhe uski bewafai ki peer is dil ko aise ghayal kare huye hai ki kambakht kisi aur ko dil mein basne hi nahi deti, bahut koshish ki khud ko sambhalne ki, usse bhulaane ki, par dilse zahan se uski yaad nahi jaati,"


"Par shilpa tum kab tak yu hi uski bewafai par aashu bahati rahogi, Jo chala gaya bhul kar usse aage bado, dekho ye duniya kaise baahe felaaye tumhara intzaar kar rahi hai, tumhe apne aap ko sambhlna aur aage badna hoga, jitna hoga kyonki duniya usse asweekar nahi karte Jo thokar kha ke girte hai, balki unhe nakarti hai Jo firse uth khade hone ka hosla kho dete hain,

Mana vishwash par gehra aaghat hua hai tumhare, par isse jivan ka ek ant na maan ek seekh maan wage bado, apne jivan ke anubhavo mein isse utaaro, fir dekhna tumhe kya milta hai"

"Shayad tum sahi kahti ho sakhi, par kahna aasan hai karna utna hi mushkil, jisko dilme, zahan mein, aatma mein, saanso mein basaya ho aur ussi ne is kadar vishghaat kiya ho, is zakham ka dard wohi samajh sakta hai jisko ye dard mila ho, par tum bhi apni jagah sahi ho, par mujhe kuch wakt aur do sakhi usse bhulaane ka",

"Jitna wakt Lena hai tum lo Shilpa, main har mushkil ghadi mein tumhare saath hoon, par tumhe khudse soch samjh kar ek paripakwa faisla lena hai, aur ek haari hui nahi balki ek mazboot iraado wali aadhunik stree banana hai na pursho par aashrit ek kamjor mahila, jiska laabh aksar ye purush uthaate hai, fir tum jaisi kamjor stree ko apni zindagi se tumhari tarah hi nikal dete hai",

"Tumne each kaha Deepa, agar main kamjor na ho kar ek mazboot iraado wali aurat hoti to mere saath kisi bhi purush ki aisa karne ki himmat na hoti, par kasoor samaj ke us parivesh ka hai jaha naari ko bachpan se hi ek puruah ke adhin hone ki naseehat di jaati hai, kabhi pita to kabhi bhai to kabhi pati, khud ko mazboot aur aatm nirbhar aur khud ko purush ke adhikaar shhetra se alag hone ki seekh kahan milti hai, agar sakhi ye seekh mile to mere jaisi mahilaao ki Zindagi yuh barbad hone se Bach jaaye,

Sakhi maine socha hai kyon na nari jaati ke uthhaan ka hi main kaarya karu aur unhe pursho ke haatho barbaad hone se bacha saku"

"Bahut khoob Shilpa, tum bulkul sahi soch rahi ho, apni nakaratmakta ko sakaratmak bana rahi hi, tum ek nek kaam karne ja rahi ho, dekhna sekdon mahulaao ke saath khud parmeshear ishwar tunhare saath khada ho tumhari sahayta karega, tum ek misaal banogi sampoorn nari jati ke liye, sampoorn nari samaj tum par naaz karega meri sakhi"



Saturday 20 June 2015

dil mera tod kar

"Dil mera tod kar ae meri zindagi kidhar tu chali,
Hai padi sooni kitni mere dil ki ye gali,

Sookh chuka tere bina meri mohabbat ka ye kuaa,
Hai padi kitni murjhai meri chahat ki ye Kali,

Bahti thi thandi purwaai jaha, khil uthti thi har dali,
Felli rahti thi har taraf khushiyo se bhari hariyali,

Dil ko khilona kah khailne wali kahan tu chali,
ae dil ki khiladan kis oor tu kiski hone chali,

Dil mera tod kar-4

ishwar vaani-84, ishwar aur shaitaan ki rah

Ishwar kahte hain "Jo vykati mera naam to lete hain, meri poorn vidhi-vidhaan se aaradhna bhi karte hain kintu yadi WO kisi bhi prani evam prakati ko nuksaan pahuchaate hain, WO meri kripa khote jaate hain,

Bhale aise log shaitaan poojak na ho lekin is prakaar ke kaarya karne wale chahe jitni meri upaasna aur bhakti kar le par WO upasna aur bhakti main na sweekar kar shaitan sweekarta hai,

Issi prakaar bhale hi koi vykti shaitan ki bhakti aur upaasna kare kintu prakati evam praani jagat ko haani na pahuchaaye uski upasna main hi sweekarta hoon,

Ramayana mein issi prakar ka jikra hai, bhale Ravan mahan Shiv-bhakt tha kintu karm anusaar WO ek dusht raakshash tha, aur issi kaaran jab usse sabse adhik aavshyakta apne isht dev ki padi tabhi unhone bhi usse thukra diya,
Iske vipreet vibhishan Jo raakshash kul ka hone ke baad bhi ishwariye marg par chal prakti aur prani jagat ki bhawana dil mein rakh Ram ke saath satya ke maarg par chala, to Lanka ka chir-sthaayi raja bana, bhale usne yugon ki badnaami apne sarr le li kintu galat ka sath nahi diya, isliye mera WO priye hua,

Usi prakar yadi koi vyakti burai ka aur prani evam prakati ko nuksaan pahuchata hai, bhale WO khud ko kita hi shreshth khud ko bata le, WO meri kripa ka paatra nahi banta, evam yugon tak dukh paata hai,
Shrishti ke vinaash ke samay un logon ko iski keemat chukaani hogi, kintu Jo log neki ka rasta apns prani aur prakati ki hifazat karenge WO ananya sukh bhogenge.




Tumhara kalyan ho"


Friday 19 June 2015

ishwar vaani-83, dharm ka vastavik arth

Ishwar kahte hain "mera vastavik swaroop nirakar hai, bhakto ki ichha anusaar main roop dharta hoon, lekin kaliyug mein manushya mujhe vibhinn naam aur roop mein maan meri aaradhna karte hai kintu kuch moorkh aur papi manushya mere naam aur roopon ka bhed kar samaj mein arajakta felaate hain,

Kuch pakhandi aur dharm ka rakshak kahne wale manushya jinhe vaastav mein mera na to sahi roop pata hai aur na hi naam, aise log vyaktiyo ko gumraah karte hai aur manav ko manav ke khilaaf karke ladwaate hai,

Vibhinn dharmik granthon mein mere un maton aur us naam ko na maanne wale ko gerr-dharmi mana jata hai, yaha tak ki manavta ki saari had tod kar manav par amanviye vartaav kiya jata hai,

Aise dharmavlabi yebataye kya granth mein ye croorta Maine batlaayi hai, Maine kewal ye hi kaha hai ki mere atirikt kisi aur ki aaradhna na karo, mere bataye path par chalo, meri baatayi baato ko apne andar dhaaran karo, khud ko pak rakho, kaam-krodh-lobh-moh-ahankaar ko khud se door rakh mera hi naam japo,

Kintu Maine ye to nahi kaha mere vibhinn roopon ki avhelna karo, mere doosre roop aur baato ko maanne wale ki avhelna kar unka apmaan kar amanviye vyavhaar karo,

Maine adharmi ko kaha hai ki uska saath na do, adharmi kaun???? Adharmi arthaat Jo manavta ka dushman hai, Jo prakati aur praani jagat ka dushman hai, Jo shrishti ko nuksaan pahuchata hai, burai ka saath deta hai, shetaani takat ki pooja karta hai, sadev doosron ko kasht pahucha sukh ka anubhav Jo karta hai, WO adharmi vyakti hai, aise vyakti ka samaj se bahiskaar karna chahiye,


Khud ko samaj ke dharmik guruon ka gulaam na maan kar apni budhhi ka upyog kar nimn baaton ka palan karna chahiye, WO agyaani manushya koi mujhe jyoti manta hai to koi bindu, par WO nahi jante main to na jyoti hoon na bindu, main vaayu se bhi adhik pardarshi, JAL she bhi abhik bhaar yukt, nadi we adhik veg yukt, pathhar se adhik kathor aur Kali se bhi nirmal hoon...



Aapka kalyaan ho"





meri zindagi tumse hai

"Meri zindagi tumse hai, meri bandagi tumse hai, tumse hai meri har kahani, meri aawangi tumse hai, meri deewangi tumse hai, har khushi tumse hai, meri zindagi tumse hai-2"

ishwar vaani-82, ishwar ka saakar nikar swaroop

Ishwar kahte hain "yadhapi manushya mujhe vibhinn naamo se pukarte hain, mere vibhinn naamo ko lekar evam meri baaton ko vibhinn mato ka aadhar maan kar ladte jhagdte rahte hain kintu vaastav mein wo meri baato aur mere naam ka arth nahi samajhte,


Main hoon ishwar ish-war, jiske vardaan swaroop swaroop samast shrashti ka nirmaan hua hai,

Ye naadan aur moorkh manushya nahi jante mera vastavik roop to niraakar aur pardarshi hai, jis bhaaw se vyakti ne mujhe yaad kiya wohi sakar roop Maine apna usse darshan diye, iske saath hi desh/kaal/paristithiyo aur manavta ki haani hone par mujhe vibhinn roopo mein aana padta hai,

Isliye hey nadan manushya tu ye samajh aur jaan le mera saakar aur niraakar roop dono satya hai, main hi kan-kan aur tum sabka nirmata hoon, isliye mujhme naam aur roopon mein na baant kar mere samast roopon maan-samman kar meri aaradhna karni chahiye,



Tumhara kalyaan ho"

Tuesday 16 June 2015

samlengikta soch ya bimari- ek lekh

Kuch din poorva ek khabar TV aur akhbaro me bahut aa rahi thi ki Aiim New Delhi ki ek Dr. Aatm hatya kar li aur wazah uske pati ka samlengik hona, is vishya par isse poorva bhi maine ek lekh likha tha, aur aaj ka ye lekh bhi usse jyada bhinn to nahi hai,

Sabse pahle to janna ye hai ki samlegikta kya hai? Kya ye bimari hai ya soch? Aur samkengiko par vibhhinn prakar ke atyachaar kaha tak jayaz hain?

Sabse pahle to ye jaan lijiye samlengikta bimari na ho kar ek soch hai, bilkul waisi hi jaise samanya vyaktiyo ki soch, han inka vyakti aakarshan viprit lingi na ho kar samlingi hota hai kintu ye bimari nahi hai,

Manovigyan ke anusaar kuch samlengik vyaktiyo ko samanya banya ja Santa lekin uske hame ye janna hai ki vyakti janmse samlingi hai ya vayask hone par wo hua,

Yadi vyakti janm se samlingi hai to usse us jaise vyaktyon se milne aur apne hisab se zindagi jine ki hame izazat deni chahiye kyoki agar ham agar uske sath jabardasti karte hai aur apne hisaab se usse dhaalne ki koshish karate hai to ye ek manviye atyachaar hoga, aur aise me agar uska vivah viprit lingi se kara bhi diya to natiza WO hi hoga jo Aiims ki Dr. Ka dilli me hua, isliye hame aur hamare samaj ko dherya se baith kar is gambhhir vishya par nirnay Lena hoga, aur samlingiyo ko apradhik drishti se dekh unhe samaj se bahuskrit karna band karna hoga,ye na bhoole unhe janm dene wale 2 viprit lingi manushya hi the,

Iske saath jin samlingiyo ko thik kiya ja sakta hai unke vishya me jaane, Jo vyakti balayavastha me samanya the kintu vayask ho kar samlingi ban gaye, aise me unke jivan me hui is beech ki ghatnao ka moolyankan karna hoga, samanya tah unhe dhokha-fareb aur unki bhawnao ko viprit lingi be aahat kiya hoga, aur prem tatha sadbhawna ka bhaaw unhe samlingi se mila hoga, samanya taur par aise vyaktiyo ko pariwar ke paraspar sneh aur uchit dekhbhaal  se thik kiya ja sakta hai, isme dost, pariwar aur aaspas ka mahol kaafi had tak sahyogi ho sakta hai, unke paraspar prem aur sahyog se vyakti ka aatm vishwaas badega aur vakt ke saath dhire-dhire wo samanya jivan jine lagega, par isme sabhi ko poorn sahyog karna hoga,

Par iske saath hi ye hame avashya jaan lena chahiye ki samlengikta us vyakti ko janm se hai ya vyask ho kar usme pariwartan aaya hai, aur iske saath hi ye avashya jaan lena chahiye samlengikta soch hai na ki bimari..