Saturday 20 June 2015

ishwar vaani-84, ishwar aur shaitaan ki rah

Ishwar kahte hain "Jo vykati mera naam to lete hain, meri poorn vidhi-vidhaan se aaradhna bhi karte hain kintu yadi WO kisi bhi prani evam prakati ko nuksaan pahuchaate hain, WO meri kripa khote jaate hain,

Bhale aise log shaitaan poojak na ho lekin is prakaar ke kaarya karne wale chahe jitni meri upaasna aur bhakti kar le par WO upasna aur bhakti main na sweekar kar shaitan sweekarta hai,

Issi prakaar bhale hi koi vykti shaitan ki bhakti aur upaasna kare kintu prakati evam praani jagat ko haani na pahuchaaye uski upasna main hi sweekarta hoon,

Ramayana mein issi prakar ka jikra hai, bhale Ravan mahan Shiv-bhakt tha kintu karm anusaar WO ek dusht raakshash tha, aur issi kaaran jab usse sabse adhik aavshyakta apne isht dev ki padi tabhi unhone bhi usse thukra diya,
Iske vipreet vibhishan Jo raakshash kul ka hone ke baad bhi ishwariye marg par chal prakti aur prani jagat ki bhawana dil mein rakh Ram ke saath satya ke maarg par chala, to Lanka ka chir-sthaayi raja bana, bhale usne yugon ki badnaami apne sarr le li kintu galat ka sath nahi diya, isliye mera WO priye hua,

Usi prakar yadi koi vyakti burai ka aur prani evam prakati ko nuksaan pahuchata hai, bhale WO khud ko kita hi shreshth khud ko bata le, WO meri kripa ka paatra nahi banta, evam yugon tak dukh paata hai,
Shrishti ke vinaash ke samay un logon ko iski keemat chukaani hogi, kintu Jo log neki ka rasta apns prani aur prakati ki hifazat karenge WO ananya sukh bhogenge.




Tumhara kalyan ho"


No comments:

Post a Comment