Monday 15 June 2015

ishwar vaani-81, pashu-pakshi bhi mante h ishwar ki satta

Ishwar kahte h" yu to maanav ye samajhta aaya h ki uske atirikt koi anya jeev nahi mujhe poojta,kintu ye satya nahi h,

Sabse pahle ishwar ka arth samajhna h, ishwar arthaat WO shakti Jo aapka palan-poshan karti h, suraksha karti h aur aapki samast moolbhoot aavshyaktao ko poora karti h, WO hi ishwar h,

Gharelu pashu-pakshiyon ke liye unka malik hi bhagw q ki wohi unki samast moolbhut aavshyaktao ko poora karte h,

Ishi prakar Jo pashu-pakshi gharon me nahi rahte jis sthaan par rahte h WO unka ishwar h q ki waha uski sabhi moolbhut aavdhyskta pura hoti h,

Jagngle me rahne wale jeev-jantu jangle ko ishwar mante h q ki waha unki aavshyakta puri hoti hai, wise hi sagar me nadi me naalo me gharondo aadi me rahne wale jeevo ka ishwar WO hi sthaan h jahan unki moolbhut aavshyakta poori hoti h,

Han un jivo ki pooja vidhi manaviye vidhiyo se bhinn hoti h kintu unka sneh aur Samarpan tatha  nihswaarth bhaav sachhai hi inki pooja vidhi h,

Isliye ye kahna galat h ki manav ke atirikt koi bhi jeev mujhe nahi poojta meri satta nahi manta,

Shrashti ka nirmata hone ke naate samast shrishti mein mera hi roop virajit h, saakar nirakaar jaise bhi koi mujhe pukarta h uski sahayata hetu avashya me aata hu, yahi main hon Ishwar
...."l

No comments:

Post a Comment