Sunday 21 June 2015

ishwar vaanu-86, sampoorn manav

Ishwar kahte hain:" manushya ka shareer vibhinn kriyao ka yog hai, aur aatma is kriya ki sanchalak, arthaat vyakti achha ya bura jo bhi karta hai, apni budhhi aur vivek se hi karta hai, in sab par niyantran aur aadesh aatma hi deti hai,


Aatma parmatma ka hi ek swaroop hai, aatma apni shakti us parmeshwar se hi prapt karti hai, vibhinn aashram manav ko devta banane ki baat karte h, vidwaan kahte hai WO swam ishwar ka roop hain, kintu manushya ko manushya banane ki baat WO nahi karte aur na hi manav shareer mei rah kar bhi sampoorn manushya hain,

Ek sampoorn manushya hi apni aantrik shaktiyo ko jaagrat avastha mein LA kar ishwariye shakti prapt kar sakta hai,

Ishwariye shakti hi vyakti ko purush se maha purush banati hai, kintu ishwariye gun hone ke baad bhi manyshya swam devta arthaat ishwar nahi ban sakta kyonki WO to ek hi hai Jo main hoon,

Kintu aatma mein mere dwara hi mere tulya shaktiya hi hain, kintu inhe wohi prapt kar sakta hai Jo khud mein sampoorn manav banne ki lalsa aur abhilasha ho aur Jo iske liye sadev praysarat ho kar mere dwaara bataye marg par chalne ki drad ichha skati ho kar uska palan kare,

Isliye Jo bhi sansthaan aur dharm guru manav ko devta banane ki baat karte hain unhe is vishya par dhyaan dena chahiye aur ek sampoorn manav jaati ka nirmaan karna chahiye...




Aapka kakyaan ho"





No comments:

Post a Comment