Friday 26 June 2015

pauranik katha-5, crodh ka gulaam

"Ek baar ki baat hai, jab Sikandar ki behad thaki hui senaa ne ghar wapas chalne ke liye sikandar se kaha, WO bhi iske liye maan gaya, lekin apne saath wo  ek saadhu ko le Jana chahta tha, us saadhu ki waha badi hi charcha thi,

Sikandar saadhu se Milne aur apne saath chalne ka nivedan karne unke pass pahucha, saadhu nirvastra ho kar dhyaan kar rahe the, sikandar saadhu ke dhyaan se bahar aane ka intzaar karne laga, jaise hi saadhu dhyaan se bahar aaye sikandar ne unhe apne saath chalne ka nivedan kiya, is par saadhu maharaj bole tumhe jana hai jao main nahi jaunga, is par sikandar ke senik bhadak uthe aur bole tujhe pata hai tere samne kaun khada hai, is par saadhu bole mujhe pata hai, par mujhe kaha jana hai kaha nahi meri ichha par nirbhar karta hai na ki kisi aur ki,

Ye sun kar sikandar bhadak utha, usne talwar nikaali aur saadhu ke gale par rakh ke bola an chaloge ya nahi, sadhu ka jawab tha nahi, sikandar aag babula ho gaya, aur saadhu ka sarr dhad se alag karne ke liye jaise hi talwaar uthaayi wo saadhu bole, tum mujhe bhale maar mujhe aaj do par iske baad khud ko sikandar mahan mat kahna, sikandar ne kaha matlab kya hai tumhar?

Sadhu maharaj bole tum khud ko mahan raja kahte ho par asal mein tum mere gulaam ke tum gulaam ho, Sikandar ne kaha abhipraaye kya hai spasht kahe, saadhu maharaj bole Maine crodh ko apna gulaam banaya hai, jab tak main nahi chahta WO mujhe nahi aata kintu tum uske gulaam ho WO jab chaahe tumhe apne vash mein le letaa hai,


Saadhu maharaj ki baat sun kar Sikandar unke perro par gir pada, aur shhama magne laga, saadhu ne usse maaf kar diya aur sikandar bina unhe liye waha se chala gaya"





No comments:

Post a Comment