Sunday 21 June 2015

ek katha

"Tum kahti ho Deepa usse bhula kar zindagi ki ek nayu shuruaat karu, par kaise samjhau tumhe uski bewafai ki peer is dil ko aise ghayal kare huye hai ki kambakht kisi aur ko dil mein basne hi nahi deti, bahut koshish ki khud ko sambhalne ki, usse bhulaane ki, par dilse zahan se uski yaad nahi jaati,"


"Par shilpa tum kab tak yu hi uski bewafai par aashu bahati rahogi, Jo chala gaya bhul kar usse aage bado, dekho ye duniya kaise baahe felaaye tumhara intzaar kar rahi hai, tumhe apne aap ko sambhlna aur aage badna hoga, jitna hoga kyonki duniya usse asweekar nahi karte Jo thokar kha ke girte hai, balki unhe nakarti hai Jo firse uth khade hone ka hosla kho dete hain,

Mana vishwash par gehra aaghat hua hai tumhare, par isse jivan ka ek ant na maan ek seekh maan wage bado, apne jivan ke anubhavo mein isse utaaro, fir dekhna tumhe kya milta hai"

"Shayad tum sahi kahti ho sakhi, par kahna aasan hai karna utna hi mushkil, jisko dilme, zahan mein, aatma mein, saanso mein basaya ho aur ussi ne is kadar vishghaat kiya ho, is zakham ka dard wohi samajh sakta hai jisko ye dard mila ho, par tum bhi apni jagah sahi ho, par mujhe kuch wakt aur do sakhi usse bhulaane ka",

"Jitna wakt Lena hai tum lo Shilpa, main har mushkil ghadi mein tumhare saath hoon, par tumhe khudse soch samjh kar ek paripakwa faisla lena hai, aur ek haari hui nahi balki ek mazboot iraado wali aadhunik stree banana hai na pursho par aashrit ek kamjor mahila, jiska laabh aksar ye purush uthaate hai, fir tum jaisi kamjor stree ko apni zindagi se tumhari tarah hi nikal dete hai",

"Tumne each kaha Deepa, agar main kamjor na ho kar ek mazboot iraado wali aurat hoti to mere saath kisi bhi purush ki aisa karne ki himmat na hoti, par kasoor samaj ke us parivesh ka hai jaha naari ko bachpan se hi ek puruah ke adhin hone ki naseehat di jaati hai, kabhi pita to kabhi bhai to kabhi pati, khud ko mazboot aur aatm nirbhar aur khud ko purush ke adhikaar shhetra se alag hone ki seekh kahan milti hai, agar sakhi ye seekh mile to mere jaisi mahilaao ki Zindagi yuh barbad hone se Bach jaaye,

Sakhi maine socha hai kyon na nari jaati ke uthhaan ka hi main kaarya karu aur unhe pursho ke haatho barbaad hone se bacha saku"

"Bahut khoob Shilpa, tum bulkul sahi soch rahi ho, apni nakaratmakta ko sakaratmak bana rahi hi, tum ek nek kaam karne ja rahi ho, dekhna sekdon mahulaao ke saath khud parmeshear ishwar tunhare saath khada ho tumhari sahayta karega, tum ek misaal banogi sampoorn nari jati ke liye, sampoorn nari samaj tum par naaz karega meri sakhi"



No comments:

Post a Comment