Friday 19 June 2015

ishwar vaani-83, dharm ka vastavik arth

Ishwar kahte hain "mera vastavik swaroop nirakar hai, bhakto ki ichha anusaar main roop dharta hoon, lekin kaliyug mein manushya mujhe vibhinn naam aur roop mein maan meri aaradhna karte hai kintu kuch moorkh aur papi manushya mere naam aur roopon ka bhed kar samaj mein arajakta felaate hain,

Kuch pakhandi aur dharm ka rakshak kahne wale manushya jinhe vaastav mein mera na to sahi roop pata hai aur na hi naam, aise log vyaktiyo ko gumraah karte hai aur manav ko manav ke khilaaf karke ladwaate hai,

Vibhinn dharmik granthon mein mere un maton aur us naam ko na maanne wale ko gerr-dharmi mana jata hai, yaha tak ki manavta ki saari had tod kar manav par amanviye vartaav kiya jata hai,

Aise dharmavlabi yebataye kya granth mein ye croorta Maine batlaayi hai, Maine kewal ye hi kaha hai ki mere atirikt kisi aur ki aaradhna na karo, mere bataye path par chalo, meri baatayi baato ko apne andar dhaaran karo, khud ko pak rakho, kaam-krodh-lobh-moh-ahankaar ko khud se door rakh mera hi naam japo,

Kintu Maine ye to nahi kaha mere vibhinn roopon ki avhelna karo, mere doosre roop aur baato ko maanne wale ki avhelna kar unka apmaan kar amanviye vyavhaar karo,

Maine adharmi ko kaha hai ki uska saath na do, adharmi kaun???? Adharmi arthaat Jo manavta ka dushman hai, Jo prakati aur praani jagat ka dushman hai, Jo shrishti ko nuksaan pahuchata hai, burai ka saath deta hai, shetaani takat ki pooja karta hai, sadev doosron ko kasht pahucha sukh ka anubhav Jo karta hai, WO adharmi vyakti hai, aise vyakti ka samaj se bahiskaar karna chahiye,


Khud ko samaj ke dharmik guruon ka gulaam na maan kar apni budhhi ka upyog kar nimn baaton ka palan karna chahiye, WO agyaani manushya koi mujhe jyoti manta hai to koi bindu, par WO nahi jante main to na jyoti hoon na bindu, main vaayu se bhi adhik pardarshi, JAL she bhi abhik bhaar yukt, nadi we adhik veg yukt, pathhar se adhik kathor aur Kali se bhi nirmal hoon...



Aapka kalyaan ho"





No comments:

Post a Comment