Sunday 21 June 2015

ishwar vaanu-86, sampoorn manav

Ishwar kahte hain:" manushya ka shareer vibhinn kriyao ka yog hai, aur aatma is kriya ki sanchalak, arthaat vyakti achha ya bura jo bhi karta hai, apni budhhi aur vivek se hi karta hai, in sab par niyantran aur aadesh aatma hi deti hai,


Aatma parmatma ka hi ek swaroop hai, aatma apni shakti us parmeshwar se hi prapt karti hai, vibhinn aashram manav ko devta banane ki baat karte h, vidwaan kahte hai WO swam ishwar ka roop hain, kintu manushya ko manushya banane ki baat WO nahi karte aur na hi manav shareer mei rah kar bhi sampoorn manushya hain,

Ek sampoorn manushya hi apni aantrik shaktiyo ko jaagrat avastha mein LA kar ishwariye shakti prapt kar sakta hai,

Ishwariye shakti hi vyakti ko purush se maha purush banati hai, kintu ishwariye gun hone ke baad bhi manyshya swam devta arthaat ishwar nahi ban sakta kyonki WO to ek hi hai Jo main hoon,

Kintu aatma mein mere dwara hi mere tulya shaktiya hi hain, kintu inhe wohi prapt kar sakta hai Jo khud mein sampoorn manav banne ki lalsa aur abhilasha ho aur Jo iske liye sadev praysarat ho kar mere dwaara bataye marg par chalne ki drad ichha skati ho kar uska palan kare,

Isliye Jo bhi sansthaan aur dharm guru manav ko devta banane ki baat karte hain unhe is vishya par dhyaan dena chahiye aur ek sampoorn manav jaati ka nirmaan karna chahiye...




Aapka kakyaan ho"





ishwar vaani-85, bhandare ka mahatwa

Ishwar kahte hain: pratek vyakti ko apni saamarth anusaar saal mein ek baar avashya bhandara karana chahiye iske saath hi bhandare hetu daan-dakahina avashya dete rahna chahiye,

Bhandara na kewal bhookhe manushya ki bhookh shant karta hai apitu Jo vyakti kisi kaaran athwa pashu-pakshiyon ko pasand nahi karte unhe bhi chahte na chahte inke liye bhoojan ke liye vyavshta ho jati hai, kyoki bhandare ka bhojan Jo manav dwaara bach jata hai wo inhe prapt hota hai,

Is prakar bhandaara na sirf manav ki shhudha bhookh shant karta hai apitu anya pashu-pakshiyon ki ki bhi shhudha bhookh shant karts hai,

Aisa daan aur aisi dakshina hi main sweekar karta hoon Jo sadaa doosron ke hit aur jarurat-mandon ke liye kaam aata hai"

ek katha

"Tum kahti ho Deepa usse bhula kar zindagi ki ek nayu shuruaat karu, par kaise samjhau tumhe uski bewafai ki peer is dil ko aise ghayal kare huye hai ki kambakht kisi aur ko dil mein basne hi nahi deti, bahut koshish ki khud ko sambhalne ki, usse bhulaane ki, par dilse zahan se uski yaad nahi jaati,"


"Par shilpa tum kab tak yu hi uski bewafai par aashu bahati rahogi, Jo chala gaya bhul kar usse aage bado, dekho ye duniya kaise baahe felaaye tumhara intzaar kar rahi hai, tumhe apne aap ko sambhlna aur aage badna hoga, jitna hoga kyonki duniya usse asweekar nahi karte Jo thokar kha ke girte hai, balki unhe nakarti hai Jo firse uth khade hone ka hosla kho dete hain,

Mana vishwash par gehra aaghat hua hai tumhare, par isse jivan ka ek ant na maan ek seekh maan wage bado, apne jivan ke anubhavo mein isse utaaro, fir dekhna tumhe kya milta hai"

"Shayad tum sahi kahti ho sakhi, par kahna aasan hai karna utna hi mushkil, jisko dilme, zahan mein, aatma mein, saanso mein basaya ho aur ussi ne is kadar vishghaat kiya ho, is zakham ka dard wohi samajh sakta hai jisko ye dard mila ho, par tum bhi apni jagah sahi ho, par mujhe kuch wakt aur do sakhi usse bhulaane ka",

"Jitna wakt Lena hai tum lo Shilpa, main har mushkil ghadi mein tumhare saath hoon, par tumhe khudse soch samjh kar ek paripakwa faisla lena hai, aur ek haari hui nahi balki ek mazboot iraado wali aadhunik stree banana hai na pursho par aashrit ek kamjor mahila, jiska laabh aksar ye purush uthaate hai, fir tum jaisi kamjor stree ko apni zindagi se tumhari tarah hi nikal dete hai",

"Tumne each kaha Deepa, agar main kamjor na ho kar ek mazboot iraado wali aurat hoti to mere saath kisi bhi purush ki aisa karne ki himmat na hoti, par kasoor samaj ke us parivesh ka hai jaha naari ko bachpan se hi ek puruah ke adhin hone ki naseehat di jaati hai, kabhi pita to kabhi bhai to kabhi pati, khud ko mazboot aur aatm nirbhar aur khud ko purush ke adhikaar shhetra se alag hone ki seekh kahan milti hai, agar sakhi ye seekh mile to mere jaisi mahilaao ki Zindagi yuh barbad hone se Bach jaaye,

Sakhi maine socha hai kyon na nari jaati ke uthhaan ka hi main kaarya karu aur unhe pursho ke haatho barbaad hone se bacha saku"

"Bahut khoob Shilpa, tum bulkul sahi soch rahi ho, apni nakaratmakta ko sakaratmak bana rahi hi, tum ek nek kaam karne ja rahi ho, dekhna sekdon mahulaao ke saath khud parmeshear ishwar tunhare saath khada ho tumhari sahayta karega, tum ek misaal banogi sampoorn nari jati ke liye, sampoorn nari samaj tum par naaz karega meri sakhi"



Saturday 20 June 2015

dil mera tod kar

"Dil mera tod kar ae meri zindagi kidhar tu chali,
Hai padi sooni kitni mere dil ki ye gali,

Sookh chuka tere bina meri mohabbat ka ye kuaa,
Hai padi kitni murjhai meri chahat ki ye Kali,

Bahti thi thandi purwaai jaha, khil uthti thi har dali,
Felli rahti thi har taraf khushiyo se bhari hariyali,

Dil ko khilona kah khailne wali kahan tu chali,
ae dil ki khiladan kis oor tu kiski hone chali,

Dil mera tod kar-4

ishwar vaani-84, ishwar aur shaitaan ki rah

Ishwar kahte hain "Jo vykati mera naam to lete hain, meri poorn vidhi-vidhaan se aaradhna bhi karte hain kintu yadi WO kisi bhi prani evam prakati ko nuksaan pahuchaate hain, WO meri kripa khote jaate hain,

Bhale aise log shaitaan poojak na ho lekin is prakaar ke kaarya karne wale chahe jitni meri upaasna aur bhakti kar le par WO upasna aur bhakti main na sweekar kar shaitan sweekarta hai,

Issi prakaar bhale hi koi vykti shaitan ki bhakti aur upaasna kare kintu prakati evam praani jagat ko haani na pahuchaaye uski upasna main hi sweekarta hoon,

Ramayana mein issi prakar ka jikra hai, bhale Ravan mahan Shiv-bhakt tha kintu karm anusaar WO ek dusht raakshash tha, aur issi kaaran jab usse sabse adhik aavshyakta apne isht dev ki padi tabhi unhone bhi usse thukra diya,
Iske vipreet vibhishan Jo raakshash kul ka hone ke baad bhi ishwariye marg par chal prakti aur prani jagat ki bhawana dil mein rakh Ram ke saath satya ke maarg par chala, to Lanka ka chir-sthaayi raja bana, bhale usne yugon ki badnaami apne sarr le li kintu galat ka sath nahi diya, isliye mera WO priye hua,

Usi prakar yadi koi vyakti burai ka aur prani evam prakati ko nuksaan pahuchata hai, bhale WO khud ko kita hi shreshth khud ko bata le, WO meri kripa ka paatra nahi banta, evam yugon tak dukh paata hai,
Shrishti ke vinaash ke samay un logon ko iski keemat chukaani hogi, kintu Jo log neki ka rasta apns prani aur prakati ki hifazat karenge WO ananya sukh bhogenge.




Tumhara kalyan ho"


Friday 19 June 2015

ishwar vaani-83, dharm ka vastavik arth

Ishwar kahte hain "mera vastavik swaroop nirakar hai, bhakto ki ichha anusaar main roop dharta hoon, lekin kaliyug mein manushya mujhe vibhinn naam aur roop mein maan meri aaradhna karte hai kintu kuch moorkh aur papi manushya mere naam aur roopon ka bhed kar samaj mein arajakta felaate hain,

Kuch pakhandi aur dharm ka rakshak kahne wale manushya jinhe vaastav mein mera na to sahi roop pata hai aur na hi naam, aise log vyaktiyo ko gumraah karte hai aur manav ko manav ke khilaaf karke ladwaate hai,

Vibhinn dharmik granthon mein mere un maton aur us naam ko na maanne wale ko gerr-dharmi mana jata hai, yaha tak ki manavta ki saari had tod kar manav par amanviye vartaav kiya jata hai,

Aise dharmavlabi yebataye kya granth mein ye croorta Maine batlaayi hai, Maine kewal ye hi kaha hai ki mere atirikt kisi aur ki aaradhna na karo, mere bataye path par chalo, meri baatayi baato ko apne andar dhaaran karo, khud ko pak rakho, kaam-krodh-lobh-moh-ahankaar ko khud se door rakh mera hi naam japo,

Kintu Maine ye to nahi kaha mere vibhinn roopon ki avhelna karo, mere doosre roop aur baato ko maanne wale ki avhelna kar unka apmaan kar amanviye vyavhaar karo,

Maine adharmi ko kaha hai ki uska saath na do, adharmi kaun???? Adharmi arthaat Jo manavta ka dushman hai, Jo prakati aur praani jagat ka dushman hai, Jo shrishti ko nuksaan pahuchata hai, burai ka saath deta hai, shetaani takat ki pooja karta hai, sadev doosron ko kasht pahucha sukh ka anubhav Jo karta hai, WO adharmi vyakti hai, aise vyakti ka samaj se bahiskaar karna chahiye,


Khud ko samaj ke dharmik guruon ka gulaam na maan kar apni budhhi ka upyog kar nimn baaton ka palan karna chahiye, WO agyaani manushya koi mujhe jyoti manta hai to koi bindu, par WO nahi jante main to na jyoti hoon na bindu, main vaayu se bhi adhik pardarshi, JAL she bhi abhik bhaar yukt, nadi we adhik veg yukt, pathhar se adhik kathor aur Kali se bhi nirmal hoon...



Aapka kalyaan ho"





meri zindagi tumse hai

"Meri zindagi tumse hai, meri bandagi tumse hai, tumse hai meri har kahani, meri aawangi tumse hai, meri deewangi tumse hai, har khushi tumse hai, meri zindagi tumse hai-2"