Wednesday 11 March 2015

A True story(ek sawal)

Kabhi kabhi aisa kuch ho jata hai ki hamare sapne hi hamare dushman ban jaate hai, wo sapne jinhe poor a karne ke liye jee-jaan laga dete hai aur fir aisa kuch hota hai WO hi khwaab hame rulaane lagte hai,


Ye kahani kisi aur ki nahi balki meri apni hai, ek aam ladki ke hi sapne the meri in aankho me, ek aam ladki si hi zindagi jeene ki hasrat thi meri, aankho mein chhote chhote khwaab ek aam ladki jaise,

Par kismat me meri ek aam ladki ki zindagi nahi likhi thi, Maine bahut koshish ki apne sapne poore karne ki par main asafal rahi,

Bachpan se hi ladke ladki ka bhed-bhaaw sahti hui main jab kishoravastha me pahuchi to sochne lagi ek din meri zindagi me wo aisa shakhs aayega Jo mujhr is bhed-bhaaw bhari doyam darje ki zinadgi se door me jaayga, bas isi  ummid me jeene lagi, fir ek din usne mere jeevan me dastak di, Maine bhi usme uski shakl-soorat, gora,-kala,jaati-dharm aur tamam tarah ki deewaro se pare usse pyaar kiya, uski khushi ke liye na sirf apni khushiyo ka gala dabaya balki apne aatm samman ka bhi gala ghont diya taaki WO khush rahe aur taaumar meta haath thaam kar chal sake met sahara ban sake, par usne na sirf  thess pahuchai balki mere vishwaash ko bhi taar-taar kar diya,

Wakt ke saath maine paya ki mohabbat ke mamle mein main kitni galat thi, usne  meri bhawnao aur zazbaato se khilwaad karke apni zindagi se yu  nikal diya jaise doodh me se makhi kaaran usse mujhse apaar dhan dahej ke roop me chahiye that WO nahi mil raha tha, wo mujhe apni hawas poorti ke liye rakhail banane ko to taiyaar tha par shaadi ke liye nahi,


Usse khud ko door karne ki koshish me thi main ki dosto ne aur logon bhe mujhse kaha har purush ek jaisa nahi hota. Tumhe ek achha sa ladka firse dhoondna chahiye, Maine internet ke dwaara firse naya pyaar paya bhi par usne bhi wahi kiya Jo pahle ne kiya,


Wakt ke saath mujhe pata chala har purush aisa hi hota hai, fir ek din ek purush ne hi mujhse kaha tumhare andar WO baat hi nahi ki koi purush tumse pyaar Kare kyoki na tum aakarshit karne wali ho na ameer ho aur na hi professional,


Iske baad mujhe ahsaas ho gaya ki mere saath aisa kyo hua, meri saheliyo ki love marriage Lekin mujhe na Ghar se pyaar mila aur na...kaaran kya tha us purush ne bata hi diya tha, pata chala pyaar aur shaadi kya dekh ke ki jaati hai aur jin ladkiyo me paas ye na ho WO kreal pursho ka dil behlaane me kaam aati hai chaahe wo veshya na ho par har purush ki nazar me unke pariwaar me bahar ki ladki kisi veshya se kam nahi hoti,
.

Aaj jab Maine is sachhai ko Jana to mere hi sapne muje darane lage hain, Jo bhi mere saath hua iske baad do hi raaste mere pass bache pahla to ye ki dukh aur dhokho se tang aa kar maut ko gale laga lu aur doosra raasta ye ki ghar-sansaar chhod moh-maya ka tyaag kar veraargya le lu, Maine doosra maarg chun liya hai veraagya ka,


Par dil mein is baat ki tees mujhe hamesha rahegi ki mujhe mere bholepan ki duniya ne kitni badi saza di, maana main khoobsoorat nahi ameer nahi par main ek bejaan gudiya bhi to nahi, purush pradhaan is samaj mein bachpan se hi kadam-2 par shoshan hua, khata mujhse ek ye aur ho gayi ki Maine unhi pursho se pyaar wafadaari samman aur barabari ke adhikaar ki ummid kar daali,

Aaj sanyaas ka faisla lete huye ye ahsaas mujhe ho gaya hai ye duniyadaari aur ye farebi jhoothe rishte mere liye nahi hai, ye Sab chaalbaaz logon ke liye hain, Jo duniya me mere jaisa seedha saada shakhs aata hai usse ye samaj uske sapno ko hi uske shoshan ka hathiyar bana kar tabah kar deta hai aur WO kahi ka nahi rahta, baad mein use samay se pahle wahi jana padta hai jaha se WO aaya tha ishwar ke pass,

Bachpan mein school mein bachhe mujhse doori bana ke rakhte the kaaran unki nazar mein main duniya ki sabse badsoorat ladki thi. Kaash unki baat maani hoti aur jhoothe  sapne nahi dekhe hotel to aaj mujhe ye tadap nahi milti,  ab hosh aaya hai to ishwar ke alawa koi raasta nazar nahi aata, isliye jisne mujhe bheja hai uski sharan mein Jana hi hitkar hai mere liye aisa mujhe lagta hai, dosto aapko kya lagta hai mera faisla sahi please apni advise jaroor mujhe dein



Ek sawal har padne waale ke liye chhode ja rahi hoon kya khata hui thi mujhse...



A True story

No comments:

Post a Comment