Sunday 15 March 2015

upar baitha rab wo ro raha hai

Upar baitha rab wo ro raha hai, uski banayi is duniya mein ye kya ho raha hai,
Insaan hi insaan ka lahoo baha raha hai, le kar allah-oshwar-prabhu ka naam hewaaniyat felaa raha hai,

Dekh insaan ki khooni holi aaj wo khud par hi lajja raha hai,
Khoti jaati insaaniyat ko dekh wo bhi aaj ashk baha raha hai,

Bahte huye in ashko ke sath bas ye hi dohraata hai,Banaya tha jise itni shiddat se Maine, bheja tha jise hifazat-ae-zahaan karne, usine ye hai kohraam macha diya,har insaan ne aaj insaan ka lahoo baha  mujhe bhi rula diya,

Hoon main ek hi jagat mein, aapas mein bat chuke insaan ne mujhe bhi kahi khuda to kahi raam bana diya, baat chuke is duniya ko insaan ne mujhe bhi baant diya


Dekh duniya ki ye haalat wo bhi aaj ro  raha hai,
Bheja tha insaan duniya sawarne ko, bheja tha insaan duniya nikharne ko, banaya tha jise apna hi ek pratiroop, di usse shaktiya uske hi anuroop,


Par Bhool kar insaniyat hewaanyat wo felaa raha hai, Insaaniyat ko marne insaan hathiyar uthaa raha hai,apne paapo mein le kar mera naam mujhe bhi yu sataa raha hai, khoon ki holi ke saath-khooni diwaali WO bana rahai hai,


Dekh duniya-daari wo rab bas aaj ye kah raha hai, meri banayi is duniya mein ye kya ho raha hai-2,
upar baitha rab wo ro raha hai, uski banayi is duniya mein ye kya ho raha hai.....



1 comment: