Sunday 15 March 2015

ishwar ki anmol dharohar hoti hain betiya

Ishwar ki anmol dharohar hoti hain betiya,
Khushiyo ki saugaat hoti hain betiya,
Gam apne chhipa kar sabke ashk pochti hain betiya,
Khush naseeb hain wo jinke ghar janm leti hain betiya,


Hoti hain shikaar apno ke hi bhed-bhaav ka,
Hoti hain shikaar duniya ke bhi bhed-bhaav ka,
Sab Jaan kar chup rahti hain betiya,
Kuch kahti nahi kisi se ghut-ghut kar jeeti hain bas ye betiya,

Kabhi durga ban kar to kabhi lakshmi ban kar, ban kar sarashwati duniya ko aaina dikhati hain betiya,
Kabhi ma ban kar to kabhi bahan ban kar apni har bhoomika nibhaati hain betiya,

Sahti hain dansh umar bhar beti hone ka, har pal jeeti hai jeevan doyam darze ka, parampara ke naam par babul bhi saath jinka chhod deta hai ek din,
Daan kanya ka kar harsh paata hai ghar har din,

Door apno se ho kar bhi door nahi hoti hain betiya,
Door ja kar apno se gerro ko apna banati hai betiya,
Pyaar mile ya mile dutkaar sab sah kar bhi har pal mushkurati hain betiya,

Bete to dekhte hain ek Ghar, do-do ghar sawarti hain betiya, apne zakhm chhipa sabko Marham lagati hain betiya, na paati ho pyaar bhale taumar apno ka, tarasti ho do boond mohabbat bhari niharti nazro ka,
Par pee kar har zahar pyaar lutaati hain beshumaar ye betiya,

Pal-pal deti kubaani apno ke liye, har pal lutaati ye zindgaani apno ke liye, na kahti kuch kisise, chup rah sab sahti  hain ye betiya hai, mile chaahe zakhm jitne bhi apno se, na koi shikwa na shikayat karti hain ye betiya,  janmo ke punyo baad ja kar kahi janm leti hai ye betoya, aisi  hoti hain betiya,



Budaape ki laathi kahne wala beta saath jab chhod jaata hai, ban kar dooje Ghar ki dulhan ma-baap ki WO laathi bhi ban jaati hain betiya, mangta hai beta jahan ma-baap ki dhan-daulat, ma-baap ke aashirwaad ko hi sabse badi poonji maan bas wahi chahti hain betiya,


Sach hi to hai ye Ishwar ki sabse anmol dharohar hoti hain betiya, khushiyo ki saugaat hoti hain betiya-4


No comments:

Post a Comment