Thursday 19 March 2015

kanya daan ek kupratha

 Hindu paramparao me ladki ke kanyadan ki pratha sadiyo se chali aa rahi hai, kanyadan ke bina na to ladki ka vivah sambhav hai na ladke ka, isliye Hindu sanskrati me iska bada mahatv hai, iske saath hi kanyadan ko hinduo ke samast daano me shresht sthaan prapt hai, kahte hai jinki apni kanya nahi hoti wo doosro ki kanya ka daan kar punya paate hai, isliye ise samast daano me. Shresht sthaan prapt hai,

Par sadiyo se chali aa rahi is parampara ke kaaran naari ki samaaj ke samne kya sthiti hui hai shayad hi isse pahle kisi ne vichaar kiya ho, khud stree ne bhi sadiyo purani parampara ke karan ho rahe uske astitwa ke hanan ke vishya me vichaar kiya ho,

Sabse pahle hame ye jaanna chahiye daan un vastuo ka hota hai Jo nirjiv hai yaha "vastu" shabd par vishesh dhyaan de, iske atirikt gaaye aadi pashuo ka bhi daan kiya jaata hai kyoki ki manav unhe apni sampatti samjhta hai haalaki wo nirjiv nahi hai kintu daan unka kiya jata hai taki jiske Ghar wo jaaye usse labhanvit kare jaise hame kiya,

Kintu stree jiska kanya ke roop me daan kiya jaata hai use kya samjha jaaye ek vastu nirjiv jiska daan kiya jaata hai ya ek pashu, sawal ye uthtaa hai naari ki samaaj ke samne kya ahmiyat hai, sadiyo pahle log stree ko mahaj apni sampatti samjhte the, chooki wo nirjiv nahi thi isliye pashuo par apne malikana hak ke madhyanazar uska wo daan karte the naari ko bhi isi roop me maan kar daan karne lage,

Is baat ka koi thoss praman nahi ki aadi kaal se kanyadan ki pratha rahi hai, mahaz kuch kahaniyo aur lok manyatao ke aadhar par ham kah dete hai ki aadi kaal se ye parampara rahi hai jabki ise aadi kaal na kah kar sadiyo kahna jyada sahi hai, kanyadan ek aisi parampara jisme janm dene wale mata-pita apni
kanya ko doosre pariwaar mein kisi ki vadhu ke roop me daan karte hai, iske baad jis Ghar me uska vivah hota hai chahe waha jitni bhi takleef aur kasht ho use apna Ghar vivah ke baad use hi man kar wahi rahna hai. Kahte hai ma-baap ke Ghar se ladki ki doly uthti hai aur pati ke Ghar se arthi,

Vivahupraant mata-pita kanya ke Ghar ka paani tak peena paap samajhte hai, vivah poorva Jisé poore din Ghar ke kaamo me lagaye rahte the, jiski banai roti khate the an dooje Ghar ki bahu kya hui paani tak nai pi sakte jaise ab WO zahar ho gaya ho,

In sab riwaazo ne naari ki sthiti ko pursho ke samakh doyam kar diya, sarvpratham dahej jaisi kuriti ka janm kanyadan roopi kuriti ke saath hi hua kyoki mana Jane laga ki kanya ke daan ke saath anya bhotik vastuo ka daan uske daampatya jeevan ki nayi shuruaat me kaam aaynge kintu isse aur adhik lene ki ichha var paksh ke logo me badne lagi falswaroop dahej naamak kuriti ko janm diya, is kuriti ki aag me Jane kitni kanyaye aaj bhi sadiyo ki bhaati hi JAL rahi hai,


Iske saath hi bete-beti me bhed-bhaaw shuru hua, ladkiyo ko doosre ke Ghar ki amanat kah kar use bete jitna na to mata-pita ka pyar mila na apnapan, pal-pal ladki hone ka dansh wo jhelne lagi jaise ladki hona apraadh hai, bachpan se hi use dooje Ghar me rahne ke liye traind kiya Jane laga jisme uska komal bachpan ghum ho kar rah gaya, iske saath hi bete ki chahat ko badawa mila, ladki chahe jitni Kabil ho par ek din paraye Ghar jaygi aur beta chahe jitna nakabil ho yahi rah jayega, bete ko budape ki laathi, vansh a aage badane wala, ma-baap ko moksh dene wala kah kar uski ahmiyat beti se jyada maan li gayi,

Kintu ye parampara banayi kisne? Purshon ne hi na, purush aurat ko barabari ka adhikaar dena to door doyam se bhi neecha rakhne ka prayas sadiyo se karta raha hai, aur parampara-riti-riwaaz ke naam par aaj bhi uska shoshan kar raha hai, tabhi to vivah ke baad nari par hi Sab-rok tok hai ye kapde mat pahno, bina sindoor mang me bhare na raho aadi-aadi kintu vivah baad purush waise hi rahta hai jaise pahle, shadi ke baad naam va upnaam street ka hi badta hai purush ka nai kyoki ki nari ka daan ho chuka hai vivah me purush ka nahi, naari ab daasi hai pati ki aur wo uska malik bilkul waise hi jaise daan Kare huye pashu ka malik daan lene wala vyakti ho jata hai an chahe pashu ke saath jaisa bhi vayvhaar zindagi use wahi guzarni hai agar wo atyachaar aur kashto se tang aa kar wo waha se bhaag bhi jata to kahi ka nahi rahta, aisi hi sthiti vivah ke baad kanya ke daan ke uprant kanya ki hoti hai,

pursho ne kewal kanyadan rupi pratha hi sadiyo pahle kyo rakhi var-daan ki sath me kyo nahi rakhi aakhir shadi to ladke ki bhi hui hai, is par kabhi kisi be vichaar nahi kiya, street ka hi vivah ke baad vuvahit dukhna evam vivah Ching naari ke liye hi kyon rakhe gaye, pursho ke liye kyon nahi, purush sati kah kar sadiyo se uska shoshan karta raha hai aur wo sati kyon nahi ban Sakta, jaahir hai vivah ke baad bhi anya stree se kaamna se khud ko virakt kar apni indriyo ko vash me rakhne ka usme saahas nahi kintu naari na kisi anya purush se vivahuprant uske jaise sambandh rakh le iske liye use sati shabd me baandh diya, aur naari bhi usme bandh kar pursho ke kotilya bhaaw ko na Jaan saki aur kanyadan evam sati ke naam par sadiyon se aaj tak uska shoshan ho raha hai,

Jahir hai nari ko ek vastu aur sampatti man kar iske saath hi usse purush se kamtar maan kar ye prathaye shuru hui aur nari ko bewkoof banane ke liye is daan ko maha daan ka jama pahna diya, masoom nari apnr mata-pita ko ananya punya ki prapti ho isliye is kupratha ko sadiyo she aaj tak dhoti chali aa rahi hai aur bade hi aashcharya ki baat hai khud ko aadhunik kahne wali naari be isse  pahle shayad hi is vishay par dhyaan diya ho, ummid hai is lekh ko padne ke baad khud ko aadhunik kahne wali streeya is kupratha par ek baar vichaar avashya karengi aur apne shoshankaari pauranik niyamo ke khilaaf aawaz utha kar sach me apne aadhunik hone ka parichay dengi.....













1 comment: