"mujhe
to tere pas aane ki bas wazah chahiye, jo chhina hai tune mujhse uske
paas rahne ki jagah chahiye, thak chuke hai chalte chalte bahut hm ab to
sukun se baithne ke liye bas ek kinara chahiye, royi hai meri aankhe jiski judai
par, aah uthti hai seene mein jiski har wafai par, bas jine par na sahi marne
k baad hi sahi jo juda na sake fir kabhi hum unse unka saath sirf bas aisa
chahiye"
this is not only a hindi sher o shayri site, there is also u can see short stories, articals, poetry in ur own language yes off course in hindi......
Tuesday, 24 September 2013
जीने की कोई आस नही दिखती,
"जीने की कोई आस नही दिखती, बेवजह सी है ये जिंन्दगी लगती,ऐ मेरे खुदा जरा तू अब तो सुनले मेरी ये फरियाद बुला ले मुझे तू अपने पास"
Sunday, 22 September 2013
Bhaawnaheen Bhagwan
"Kabhi
kabhi hume apne dil ke virdhh faisle karne padte hain, ishwar hume aise
modd pe kyon le aata hai, ek taraf to khushiya deta hai jannat zamin pe
hai ye dikhata hai aur doosri taraf wo sab khuch chheen kar sirf dil
mein dard aur aansu de jaata hai, ye mana sab kuch usii ka hai, wo jab
chahe hume kuch de aur jab chahe chheen le, shayad wo aisa isliye karta
hai kyonki wo bhaawnaheen hai, uske seene mein dil nahi pathhar hai
tabhi usse prathnao aur bhaavnao se matlab nahi jab chaahe bas usse hum
se juda kar deta hai ye kah kar ki ab tumhra yaha samay poora hua, ye
bhaavnaheen bhagwan kya kisi ki bhavnao ki kadra karega ye to sirf aanu
hi dega kyonki iski fitrat hi ye hai"
Thursday, 12 September 2013
kavita- unke har diye har dard par bhi hum har pal muskurate rahe
"unke har diye har dard par bhi hum har pal muskurate rahe, wo hume ashk dete rahe aur hum humesha unhe chhipate rahe, socha tha shayad unhe ek din ahsaas hoga apne diye in zakhon ka, kabhi to band hoga unke in sitamon ka silsila, tha pata khudko behla rahe the hum, unke har jhooth ko bhi sachh man kar ussi ko zindagi maan rahe the hum, par ek bewafa se humne jo wafa-ae- ummid ki galti ki, kuch nahi yaaron ussi ki hi saza mujhe mili, aakhon mein aasuon ke saath aaj jeene par mazboor hoon, maut ko bulate hain apne paas par afsos usse bhi koshon door hoon, chaha tha kisi ko jahan apnee zindagi samajh kar ussi ne chheen le meri zindagi aur main zinda laash ban kar jeene par mazboor hoon"
hme malum na tha-kavita
"pyar
kya hota h hme malum na tha, dard kya hota h hme malum na tha, milan
aur judai, khushi aur gam, muskan aur fir ashko ko b hmne kabi pehchana
na tha, jane kaise tum mujhe mil gaye, kami thi jiski zindagi mein wo
rang mujhe mil gaye, jin bato ko pahle jana aur pehchana na tha, jinse
mera kabi afsana na tha aaj wohi meri pehchan ban gaye,
de kar hasi kuch pal ki mujhe zindagi bhar k liye rota chhod gaye, manga tha bas itna hi unse jivan bhar ka sath jiska, wo kuch dur tak to chale tham kar hath mera fir kisi aur k gale lag gaye mujhe akela chhod gaye,
tanha aur akeli zindagi mein aaj pata chala mujhe ki aakhir pyar kya hota hai, bewafa aashik ki yaad mein jab ye dil pal pal tadap kar rota hai tabhi apni iss nadani ka ahsas hota hai, tabi mohbbat me khud ko kitna luta chuke h iska ahsas hota h, tabi wafadari ki iss khata ka ahsas hota h"
de kar hasi kuch pal ki mujhe zindagi bhar k liye rota chhod gaye, manga tha bas itna hi unse jivan bhar ka sath jiska, wo kuch dur tak to chale tham kar hath mera fir kisi aur k gale lag gaye mujhe akela chhod gaye,
tanha aur akeli zindagi mein aaj pata chala mujhe ki aakhir pyar kya hota hai, bewafa aashik ki yaad mein jab ye dil pal pal tadap kar rota hai tabhi apni iss nadani ka ahsas hota hai, tabi mohbbat me khud ko kitna luta chuke h iska ahsas hota h, tabi wafadari ki iss khata ka ahsas hota h"
Subscribe to:
Posts (Atom)