Thursday 12 September 2013

hme malum na tha-kavita

"pyar kya hota h hme malum na tha, dard kya hota h hme malum na tha, milan aur judai, khushi aur gam, muskan aur fir ashko ko b hmne kabi pehchana na tha, jane kaise tum mujhe mil gaye, kami thi jiski zindagi mein wo rang mujhe mil gaye, jin bato ko pahle jana aur pehchana na tha, jinse mera kabi afsana na tha aaj wohi meri pehchan ban gaye,
de kar hasi kuch pal ki mujhe zindagi bhar k liye rota chhod gaye, manga tha bas itna hi unse jivan bhar ka sath jiska, wo kuch dur tak to chale tham kar hath mera fir kisi aur k gale lag gaye mujhe akela chhod gaye,

tanha aur akeli zindagi mein aaj pata chala mujhe ki aakhir pyar kya hota hai, bewafa aashik ki yaad mein jab ye dil pal pal tadap kar rota hai tabhi apni iss nadani ka ahsas hota hai, tabi mohbbat me khud ko kitna luta chuke h iska ahsas hota h, tabi wafadari ki iss khata ka ahsas hota h"

No comments:

Post a Comment