Thursday 12 September 2013

kavita- unke har diye har dard par bhi hum har pal muskurate rahe

"unke har diye har dard par bhi hum har pal muskurate rahe, wo hume ashk dete rahe aur hum humesha unhe chhipate rahe, socha tha shayad unhe ek din ahsaas hoga apne diye in zakhon ka, kabhi to band hoga unke in sitamon ka silsila, tha pata khudko behla rahe the hum, unke har jhooth ko bhi sachh man kar ussi ko zindagi maan rahe the hum, par ek bewafa se humne jo wafa-ae- ummid ki galti ki, kuch nahi yaaron ussi ki hi saza mujhe mili, aakhon mein aasuon ke saath aaj jeene par mazboor hoon, maut ko bulate hain apne paas par afsos usse bhi koshon door hoon, chaha tha kisi ko jahan apnee zindagi samajh kar ussi ne chheen le meri zindagi aur main zinda laash ban kar jeene par mazboor hoon"

No comments:

Post a Comment