Friday 20 January 2012

Kaun Hoon Main

waqt ki kitaab mein apna astitva dhoondti hoon main, kaun hoon main,ek bujha huaa chirag hoon ya ek adhoora khwaab hoon main, duniya ko nahi jarurat meri kyon aaj iss kadar yu bebas hoon main, waqt ki kitaab mein apna astitva dhoonti hoon main, dekhe the khwaab maine bhi aasman chhune ke liye, socha tha maine bhi kabhi kuch haasil karne ke liye, jalta tha kabhi mere seene bhi ek chiraag ummido ka, himmat thi mujhme duniya jeet lene ki, par halaat se iss kadar haar gayi,gerro se nahi apno se main laachar huiii, tha aitbaar uss rab pe jitna, ussi k faisle se meri duniya barbaad huii, kahte hai log jo huaa achha huaa, par kya jaane wo naadan, meri to ab har khushi uss waqt ki kitaab mein dafan hai ho chuki,bujh gaya mere seene se ummido se jaltawo chirag,rah gaye meri aankho mein wo adhoore khwaab, na ab kabhi fir se koi lau uthegi aur na koi chingari mere bujhe huye diye ko fir se jala sakegi, ye khwaab jo dekhe the meri aankh ne na ho sakenge poore, ye zindagi meri bas ye sawal poochtee rahegi baar baar " kaun hoon main..............,"

No comments:

Post a Comment